Rayyan, Wajdaan or officer apne bandoun k sath, Nida k ghar k bahar pohuchte hain or officers k bande ek ek kr k bodyguards ko dhair krte hain, Wajdaan or Rayyan khufiya raaste se andar jaate hain or Arshi ko dhoundne lagte hain. Par Rayyan jaise hi launch me pohuchta hai wahan Nida bethi hoti hai...
...
Nida... Oh...... Welcome... Welcome Mr Rayyan me aapka hi intezaar kr rhi thi
Rayyan... Arshi kahan hai Nida
Rayyan ek bhi second gaya kiye baghair pochta hai
Nida... Jab itna kuch jaante ho mere ghar k baare me to andaza laga sakte ho wo kahan hogi
...
Rayyan kuch dair teherta h or jaise hi uska zehen jaata h backyard ki taraf dorhta hai...
...
Nida bhaag kr jaati hai or us k raasta rok leti hai...
...
Nida... Kahan ja rahe ho Rayyan ruk jao meri baat abhi khatam nh hoi
...
Rayyan uska hath jhatakta hai...
...
Rayyan... Door raho mujhe or agar Arshi ko ek kharooch bhi ayi to me tumhari jan leleounga
...
Nida... Ha ha ha jaan to chuke houn tum meri apni haseen adaoun se
...
Wo Rayaan k gird chakkr laga rhi hoti hai...
...
Nida... Wese pata h kia ek friendly advice h, Arshiya ko chordo mar jaane do use, wo tumhare qabil nh hai
...
Rayyan ko Nida k alfaaz sakh zeher lagte hain or wo Nida ka gala daboj leta hai or use deewar se laga deta hai...
...
Rayyan... Aaj to boldia h tumne, aainda meri Arshi k baare me kuch bhi kaha to me tumhari zubaan nikaal lounga samjhi
Rayyan uska gala chordeta hai...
...
Nida ko bohut ghussa aata hai
Nida.... Youuuuuuuu........
Nida, Rayyan ko chammat lagane lagti hai or Rayyan us ka hath pakr leta hai...
Rayyan, Nida ko dhakka dete howe jaane lagta hai...
...
Nida... Iska hisaab dena hoga tumhain Rayyannnnnnnn
Rayyan murh kr dekhta hai to Nida ne us pr gun taane khari hoti hai...
...
Rayyan dekhta h par rukta nh or jaane lagta hai, Nida ko dekh kr mazeed ghussa aata hai or wo shoot krdeti hai, Rayyan k bazu pr goli lag kr guzaar jaati hai, khoon taizi se behne lagta hai, Rayyan ek pal ko dard ki shiddat se thamta hai or dosre hi pal wapas chalne lagta hai...
...
Nida... Ruk jao Rayyan warna is baar yeh goli seedha tumhare seene me lagegi
...
Isi douran Wajdaan a jaata hai or Nida k hath pr shoot krta h, us k hath se gun gir jaati hai...
...
Wajdaan dorh kr aata hai Rayyan k pass
Wajdaan... Rayyan tum theek ho
Rayyan... Me theek houn Bhai
...
Wajdaan... Par tum zakhmi ho
Rayyan... Me theek houn Bhai..... Mujhe ab Arshi ko dhoundna hoga, aap yahan sambhalain me dekhta houn use
Wajdaan... Hmmmm
...
Rayyan backyard pohuchta hai or Arshi ko pukaarne lagta hai...
Rayyan... Arshi....... Arshiyaaa...... Arshiya tum yahan ho
...
Arshi jo bilkul besud pari hoti hai, Rayyan ki awaaz se chonkti hai...
Arshi... Rayyan..... Rayyan.....
Arshi bohut rone lagti hai...
...
Rayyan theek us kamre k pass pohuchta h jahan Arshi band hoti hai.
...
Rayyan kamre me dakhil hota hai, nazar dhorhaane pr Arshi use ek chair pr bethi dikhaayi deti hai. Use rassi se bandha howa hota hai... Zameen pr bikhre sheeshoun ko kuchalta howa, Rayyan taizi se Arshi ki taraf jaata hai. Uski hath, pair kholta hai...
...
Rayyann... Arshi
Rayyan, Arshi ko kandhoun se thaamta hai...
Wo uska bheegha chehra saaf krte howe use pukaar raha hota hai, Arshi bheegi aankhoun se us ki taraf dekh , Rayyan ka preshaan chehra uski aankhoun k saamne hota hai, Rayyan Arshi k chehre k zakham ko dekhta hai, or us zakhm ko chuta hai...
Rayyan... Yeh meri waja se howa h, tum takleef me ho sirf meri waja se, hosake to maaf krdena mujhe
Arshi... Nh is me tumhari galti nh hai Rayyan aaisa mat kaho
...
Or wo agle hi pal tarap kr Rayyan k seene se ja lagti hai or zaro kataar rone lagti hai...
...
Rayaan ka dil tham sa gaya tha, Rayyan saakht sa betha uski siskiyan sun raha tha, Arshi siskiyoun k beech me bol parhti hai...
Arshi... mu... mujhe... mujhe yakeen tha tum le jaoge mujhe yahan se
...
Use apne kaanoun pr yakeen nh a raha tha, kia larki thi wo, sitam dhaane wale se hi umeed laagye bethi thi, kia use uski mohabbat ka yakeen a gaya tha ya phir wo sab ek hamdardi ki waja se kr rahi thi...
Rayyan kashmakash me parh jaata hai...
...
Arshi ko us k hathoun me use kuch mehsoos hota hai. Wo chehra utha kr dekhti hai, Rayyan ka kandha zakhmi hota hai...
...
Arshi... Rayyan
Rayyan, Arshi k bhehe gaal saaf krta hai...
Rayyan... Me theek houn
Arshi.... Rayyan...... saari meri galti hai
Or yakdam ek shoot ki awaaz se wo donoun chonkte hai
...
Ek dam se shoot ki awaaz se wo donoun chonkte hain...
Rayyan... Chalo yahn se
...
Rayyaan, Arshi ka hath thame wahan se jaldi se nikalta hai...
...
Rayyan or Arshi ghar k launch me pohuchte hain Wajdaan ko dekhne, wahan Nida ki Zindagi ki akhri saansain le rahi hoti hai, Arshi or Rayyan Wajdaan ko sawaliya nazroun se dekh rahe hote.... Tabhi unki nigha, Nida k Dad pr parhti hai...
...
Jinka nishana Nida hoti hai...
Kuch dair pehle jab Rayyan, Arshi ko dhoundne jaata h, Tabhi wahan Mr Khan a jaate hain, apne bodyguards k sath or Wajdaan ko shoot krne ki koshish krte hain, Wajdaan kisi na kisi tarhan zakhmi bodyguards ko apni dhaal bana leta h, Usi douraan Mr Khan ki goli Nida ko lag jaati hai. Or wo mar jaati hai...
...
Police officer Mr Khan ko arrest kr lete hai...
...
Mr Khan... Tum donoun bhaiyoun ko me dekhlounga, meri beti ki jaan tum donoun ki waja se gai hai
Police officer... Mr Khan bhool rahe hain aap itne saare gawahoun k saamne goli mari hai aapne apni hi beti ko chahe bedihaani me hi sahi
Mr Khan... Tum chup rahi officer tumhari chutti krwana Meri zimedaari hai
Police officer... Filhaal acha Hoga aap hamare sath police station chalain
Officer, Mr Khan ko wahn se le jaate hain...
...
Wajdaan... Arshi tum theek ho
Arshi... Hmmm
Wajdaan.... Rayyan hospital Chalo foran tumhara zakhm gehra hai
Rayyan... Nh Bhai me thee....
Arshi beech me bol parhti hai or Rayyan ko ghoorti hai...
Arshi... Hum chal rahe hain Bhai hospital chalain
Arshi Rayyan ka hath thaame use sahara deti chalne lagti hai, Rayyan kuch nh kehta, Arshi pehli baar us pr haq jata rahi hoti hai. Rayyan muskura kr use dekh raha hota hai. Use apne zakhm se takleef ki jaga khushi mehsoos ho rahi hoti hai...
...
To be continued...Hi guys... Kindly check this out also. You will surely like it. It's my besties work... Thank you ☺️👇
YOU ARE READING
"Junoon-e-Ishq" 🔥
FantasyArshiya 💞 A girl who loves to write, lives her life own her own rules. She is so long hair, sweet smile beautiful and kind girl, always ready to help others. She loves and take care of her family, loves her friends too. She likes poetry, nature, an...