Rayyan, Wajdaan or Arshi hospital pohuchte hain...
Rayyan ki bendege hoti hai, Arshi us k sirhaane khari hoti hai...
Doctor k check up k baad, nurse bendage kr k chali jaati hai, tabhi Wajdaan andar aata hai...
...
Wajdaan... Rayyan
Arshi or Rayyan, Wajdaan ki taraf mutawajja hote hain...
Wajdaan... Mr Khan ne sab batadiya hai police ko
Rayyan ek gehri saans leta hai, sar jhuke howe...
Wajdaan... Tumhain sath chalna hoga police station or hosakta h aaj wahen ruka bhi ho, kyun k is wakt raat hogai hai bail nh ho payegi...
Arshi... Par Rayyan is halat me police me station kaise ruk sakta hai Bhai ise chot lagi hai
Wajdaan... Janta houn Arshi par abhi hum kuch nh sakte tm fikr nh krna me Rayyan k sath hi rahounga, Rayyan tum bahar aao me wait kr raha houn
Rayyan... G Bhai me aata houn
Wajdaan... Hmmm
...
Rayyan Arshi k hath thaamta hai or use khud k theek hone ka yakeen dilata hai...Rayyan... Me theek houn Arshi or ek na ek din mujhe is sab ka saamna krna hi tha, tum fikr na karo Bhai k sath ghar jao
Arshi... Nh me khud chali jaoungi Bhai ka tumhare sath rehna zarori hai
Rayyan... Harghiz nh Bhai tumhain chor kr a jayengen mere pas Tum ghar Jao
Arshi... Ok
...
Rayaan ko Wajdaan ka dost police station le jaata hai or Wajdaan, Arshi ko ghar drop krta hai... Arshi car se utarne lagti hai par Wajdaan ki baat use theherne pr majboor krti deti hai...
...
Wajdaan... Arshi ek baat pochoun
Arshi jaate jaate theherti hai...
Arshi... G Bhai
Wajdaan... Kia abhi bhi tumhain koi shak hai, Rayyan ki mohabbat pr, kia abhi bhi itna kuch hojaane k baad bhi tumhare dil me koi narm gosha nh us k liye
...
Arshi chup rehti hai, kuch bol nh paati or wahan se bina kuch kahe, Wajdaan se nazrain churayen chali jaati hai...
...
Wajdaan bina lap khole hasne lagta hai...
Wajdaan... Rayyan ki mohabbat se ziyada din door nh reh paogi tum Arshi
...
Arshi seedha jaati hai or namaz parhti hai, sajde ki halat me bohut roti hai...
...Arshi... YA ALLAH.... yeh kia ho raha h, mere sath jis se itna door bhaag rhi thi, jise apna dushman samajhti a rahi thi, wohi mera muhafiz tha, wo kitna bura hai ya tha iska andaza nh laga pa rhi me usne mujhe bachaane k liye kitni takleef uthaayi hai, or ek me us se mohabbat krne se bhi qasir houn..........Me nh jaanti me us se mohabbat kr paoungi ya nh par mujhe lagne laga h, Rayyan se ziyada mujhe koi nh chahega, YA ALLAH ya to meri mohabbat us k dil k nikaal de ya phir uski mohabbat mere dil me.........
Arshi kehte kehte theher jaati hai.... Use sab yaad aane lagta h, kab kab or kaise kaise Rayyan ne khud ko khatre me daal kr use bachaya hota hai...
Uski aankhain mazeed num hojaati hain... Or wo yakdam keh jaati hai.. Ya uski mohabbat mere dil me daalde, me nh jaanti me us k saamne yeh kabhi keh bhi paoungi k mujhe us se mohabbat hone lagi h ya nh par mujhe is baat ka gila nh hoga k me us se mohabbat nh kar paayi, jo mujhe toot kr chahta hai
...
Arshi namaz khatam krti hai or bahar garden me a kr tehelne lagti hai, use Rayyan ki fikr khaayi ja rhi hoti hai...
...
Arshi... 💭 Me kia karoun kaise pata lagaoun Rayyan ka..... Han Bhai se pochti houn.... Parrrrrrrrr......Nh unhoun ne kuch galat samajh liya to.... Ahhhhhhhhhhh kia kroun me...
...
Raat gehri hi rahi hoti hai, 2 baj jaate hain or akhir ko Arshi ka sabar khatam hojaata h, wo foran se taxi leti hai or police station chali jaati hai...
...Arshi police station pohuchti hai,
to dekhti hai, kuch habarh tabarh dikhaayi de rhi hoti hai, Arshi ek officer ko rok kr pochti hai....
...
Arshu... Excuse me officer yahan kuch howa hai kia
Officer... Actually.... Yes yahan abhi kuch ghantoun pehle ek mujrim ko laya gaya tha to usne dosre mujrim pr hamla krdiya... or bichara pehle se hi zakhmi tha
...
Arshi ko foran Rayyan ka khayaal aata hai...
Arshi... Kia...... Aaisa kaise hosakta h, kahan hai wo batayen aap kuch bolte kyun nh hai... Rayyan kahan hai...
...
Arshi ko lagta h uski saansoun ko kisi ne muthi me qaid krliya hai, Wo bina ruke bole ja rhi hoti hai...
Or yakdam uski aankhoun k aage andhaira chaane lagta hai or wo girne lagti hai, uski aankhoun k aage andhaira a jaata hai.... Pr sambhalti hai...
Officer... Excuse me Miss.... Aap theek hain... Mujhe aap theek nh lag rhi
....
Arshi... Nh..... me...... me theek houn, unhain kaha le kr gaye hain batayen mujhe please
Officer... Qareeb hi hospital le jaya gaya hai unhain
Arshi... Shurkiya
...
Arshi bina kuch soche samjhe dhorti hoi wahan pohuchti hai, Wo hospital crime department ka hota hai....
Means criminals ka hospital....
Wahan kuch police officer hote hain, un officers ko ignore krte howe,,,, Wo officers k restricted area me ghus jaati hai.... Officers use rokne ki koshish krte hain... Lekin wo nh rukti or rooms check krne lagti hai...
...
Officer... Madam.....!!!! Meri baat sune aap yahan aaise nh ghus sakti please ruk jayen.....
Arshu... Rayyan...... Rayaan officer Rayyan kahan hai, mujhe us se milna h, kahan ha wo aap batate kyun nh kuch
...
Arshi officer se behes hi kr rhi hoti hai..... K achanak Rayyan ek kamre se nikalta hai, Rayyan, Arshi ko dekh kr bohut hairan hota hai or uski taraf dekhta h or dorhta howa us k qareeb jaata hai...
...
Rayyan...Arshiya......!!!!! Tum.......tum yahan kia kr rhi ho tumhain is wakt ghar hona chahiye tha
Arshi... Rayyan..... Tum theek hona
...
Wo Rayyan ko uppar se niche tk dekhti hai, usk bazoun ko thaame hoi hoti hai, uski aankhain nam hoti hai...
...
Rayyan... Me bilkul theek houn...
Or tabhi wahan ek tall gentleman bhaari c awaaz me Rayaan ko pukaarta hai... Rayyan or Arshi unki taraf dekhte hai...
....
To be continued.....
YOU ARE READING
"Junoon-e-Ishq" 🔥
FantasyArshiya 💞 A girl who loves to write, lives her life own her own rules. She is so long hair, sweet smile beautiful and kind girl, always ready to help others. She loves and take care of her family, loves her friends too. She likes poetry, nature, an...