Qist 6

9 1 0
                                    

Arshi... Mene kaha choro mujhe yeh kia battameezi hai
Rayyan... Ek baat kitni baar bologi
Arshi... Kia ho tum balke kyun tum
Rayyan haste howe...
Rayyan... Tumhare liye
Rayyan car start krta or chalane lagta h...
Rayyan Arshi k musalsal sawaal se pareshan hojaata hai or apni gun nikaal kr apne hath me pakar leta hai... Arshi gun dekh kr saakht hojaati hai or phati aankhoun se Rayyan ki taraf dekhne lagti hai...
Rayyan... Kia howa chup kyun hoagayen ab kuch nh kahogi....Agar mujhe pata hota k ek choti si gun tumhain chup krwa sakti hai to me pehle hi iska deedar krwa deta tumhain
Arshi... Tumhain lagta h me daroungi tumse ya tumhari is gun se bhool hai tumhari
Rayyan.... Sssshhhhhhhhhhh chup Meri baat ghor se suno, tumhari jaan khatre me hai to meri ijazat k bagair ghar se harghiz na nikalna jab tk me na kahoun
Arshi... Kia..... kia bakwas kr rahe ho meri Jan kyun khatre hogi bhala youn mujhe apni baatoun me na uljhao car roko mujhe jana hi abhi
Rayyan... Meri baat abhi khatam nh hoi
....
Arshi bohut chirchiri shakal se sath
Arshi... Ahhhhhhhh........ jane do mujhe jan chordooo..... Meri  kahan se a gaye ho meri zindagi me kia chahte ho
Rayyan..... Tumhain.... Tumhain chahta houn
Arshi Kuch dair hairani se use dekhti hai.....
Arshi... Dekho me wada krti houn kabhi tumhain apni shakal nh dikhaoungi yahan se door chali jaoungi mujhe jaane do please
Rayyan ek dam car rok deta hai or Arshi k chehre k qareeb jaata hai uski aankhoun se uski zulfoun ki latoun ko hatata hai... Arshi k donoun hath Rayyan k dosre hath me hote hai, jinhain wo churwane ki koshish kr rahi hoti hai...
Rayyan... Mujhse door nh ja sakti tum harghiz bhi nh,me iski ijazat nh dounga tumhain, or hn jo mene kaha yaad rakhna tumhari jan khatre me h, yaani meri jaan khatre me hai, isliye ghar se mat nikalna warna mushkil me parh sakti ho tum..... Jao ghar a gaya h tumhara or isi k sath Rayyan us k hath chor deta hai....
Arshi ek dam se bahar dekhti h, ghar a gaya hota hai or wo ek lamha bhi zaya kiye bagair car se utarti hai or bhaag jaati hai ghar ki taraf....
...
Arshi ghar aati hai sab so chuke hote hain... Wo bhi seedha apne kamre me chali jaati hai or saans leti hai bed pr beth jaati hai...
Arshi... Kia insaan hai yeh kia chahta hai mujhse pagal krdega yeh akhir itna junoon kis cheez ka isko wehshi insaan
Arshi abhi soch me hi hoti hai k achanak uske phone pr call aati hai...
Arshi... Hello
Rayyan... Rayyan here mene jo kaha yaad rakhna, meri nazrain tum pr hain
Arshi hakka bakka reh jaati hai...
Arshi... Tu...... Tum tumhain mera number kaise mila
Rayyan... Tumhain is se gharz nh honi chahiye mene jo kaha bs wo yaad rakho
Arshi... Tumhain lagta h me tum se dar kr kahen nh jaoungi soch h tumhari me apni marzi se jaoungi or aaoungi tum mujhe nh rok sakte samjhe
Rayyan... Theek hai jo krna hai karo par aage jo hoga uski zimedaar tum khud hogi
Rayyan phone rakh deta hai...
Arshi phone bed pr bathakte howe....
Arshi... Samajhta kia h yeh khud ko me sunoungi wo bhi iski kabhi nh kabhi bhi nh aaahhhhhhhh
Arshi sar jhatakti hoi bed pr laitti hai or so jaati hai....
...
Agle din Shamshair mention, Rayyan ko bulaya jaata hai wahan Nida bhi mujood hoti hai...
Nida... Dad Rayyan ko kal hi mera kaam krdena chahiye tha or kitna wakt lega yeh use khatam krne me mujhse ab uski existence bardaasht se bahir ho rhi hai
Nida bohut chirchire andaaz me bol rhi hoti hai...
Shamshair... Fikr mat kro tum Rayyan ne mujhe kabhi mayoos nh kia umeed hai ab bhi nh krega
Rayyan... Mujhe kuch wakt chahiye or jaise hi mouka milega aapka kaam hojayega
Rayyan thehre bagair wahan se chala jaata hai wo kamre ke darwaze pr hi pohuchta h par Nida k alfaaz use rukne par majboor krdete hai wo rukta h or kamre k bahar se unki baatain sunne lagta hai....
...
Nida... Dad..... mujhe nh lagta Rayyan yeh kr payega mujhe khud hi yeh kaam krna hoga
Shamshair... Par kyun aaisa kyun lagta hai tumhain
Nida... Patanh dad pr lagta h jaise Rayyan bahane talaash kr raha hai use na maarne k khair bs aap mujhe ek khoon ki ijazat dede bs sab fit h us k baad
Shamshair... Jo bhi me iski ijazat nh dounga tumhain wait kro kuch din Rayyan dekhlega
Nida... Par Dad....... Aap nh jaante yeh kaam itna asaan nh hai.... Wo bohut shatir larki hai mujhe pata h kis tarhn usko trap or handle krna hai or mouka milte hi khatam krna h aap bs han kehdain baaki mujh pr chordain
...
Rayyan unki baatain sun raha hota hai...
Nida... Kal wo office lazmi ayegi kyun k Kal submition hai us ki drama script ki or waapsi pr wo apne pairoun or chal kr nh ja payegi
Shamshair... Nida jo krna h karo but be aware
Nida... Fikr hi mat karen Dad me aapki beti houn bhaarosa rakhain
Shamshair... I wish tum kamiyaab hojao
Rayyan ko yeh sab sun kr bohut ghussa aata hai...
Rayyan.... Mere hote howe kabhi tunhare ghande irade kamiyaab nh houngen Nida kabhi nh
Rayyan wahan se nikal jaata hai...
....
To be continued.....



"Junoon-e-Ishq" 🔥Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon