Rayyan or Arshi countryside jaate hain or us jagah ek khoobsurat chota sa ghar hota hain, jahan wo donoun theherte hain...
Rayyan or Arshi us khoobsurat ghar or haseen mosam me, ek dosre ka hath thame bethe howe, khirki se par dekh rahe hote hain...
Arshi us k kandhe par sar rakhe howe hoti hai...
.
Arshi... Ek baat pochoun Rayyan
Rayyan... Han pocho
.
Arshi... Tum mujhse itni mohabbat kyun krte ho Rayyan
Rayyan... Mujhe khud nh maloom, bs jab tumhain pehli baar dekha tab se tumse mohabbat hogai or ek pal bhi tumhare bagair rehna dushwaar tha mere liye, bs chahta tha tum sath ho mere har pal har lamha
.
Arshi sar uthaye usko dekhne lagti hai...
.Arshi... Mujhe bhi tumse kab or kaise itni mohabbat hojayengi socha hi na tha mene, nafrat kab mohabbat me badal gai samajh hi nh paayi me, ab to tumhare bagair, rehna bhi mushkil lagta h mujhe
Rayyan... Tabhi tum mujhse door bhaag rhi thi
.
Arshi nazrain jhuka leti hai or Rayyan k hath me apne hath ki grift or mazboot krte howe apna hath us j seene par hath rakhleti hai...Rayyan apna hath us k hath oar rakhleta hai, Arshi nazrain jhuka leti hai, phir Rayyan ki aankhoun me dekhti hai...
.
Arshi... Dar gai thi me
Rayyan... Meri mohabbat pr shak tha tumhain
Arshi... Nh harghiz nh, bs apne kahe gaye alfaazoun pr malal tha
.
Rayyan apne hathoun me Arshi ka chehra thaamta hai bohut narmi se...
.
Rayyan... Har malal ko nikaal do Arshi apne dil se mere dil me sirf mohabbat hai tumhare liye or kuch bhi nh
Arshi... Tum jaante ho, jab jab tumhain marne ka kaha khud ko marta paya mene
.
Arshi ki aankhain nam hone lagti hain...
.
Rayyan... Tumhare lab jo kehte the tumhari aankhoun ne unka sath kabhi nh diya
Arshi... 🥺🥺🥺
.
Rayyan... Isiliye tumhare alfazoun ki nh me tumhari aankhoun ki sunta tha, Akhri bar bhi jab tumne kaha k tum nh rehna chahti mere sath mujhse mohabbat nh krti sab jhount tha jaanta tha me
Arshi... Par tum mujhe chor kr kyum chale gaye the tb
Rayyan... Kyun k agle din yehi krne wala tha me par Ruba ne sath dediya sahi wakt pr
.
Arshi... Kia sach
Rayyan... Han pata tha aaise hi nh manogi Tum
.
Arshi aankhoun se muskurane lagti hai...
.
Rayyan... Apni hasi to apne chehre se kabhi juda na karna Arshi yeh meri khushi ki waja hai
Arshi... ☺️☺️
.
Kuch dair younhi baatoun me guzarti h or phir donoun nend ki agosh me nikal parhte hain...
.
To be continued....
YOU ARE READING
"Junoon-e-Ishq" 🔥
FantasyArshiya 💞 A girl who loves to write, lives her life own her own rules. She is so long hair, sweet smile beautiful and kind girl, always ready to help others. She loves and take care of her family, loves her friends too. She likes poetry, nature, an...