After morning puja dadi said to shehnaaz
S dadi - Choti bahu aj tumhari pehli rasoi hai to subha ka nasta tum banaogi sab ke liye.
S mom - Hai beta tum nasta bana dena mein aur mahi tumhe sabji kat ne mein madat kar denge.
S dadi - koi madat nahi karega. Aj pahli rasoi hai par kal se to usko kam karna padega toh kya har kam mein tum suki madat karne jaogi?
Mahi - Dadi woh aj uska pehla din hai aur woh bahut choti bhi hai to itna sare logo ka khana kaise banayegi?
S dadi - Meri na 14 sal ki umar mein shadi hui thi to mujhe mat sikhao ki kaun choti hai ya nahi. Yeh tumhari mumbai nahi hai. Apna muh na idhar band hi rakho tum. Aur tum choti bahu idhar khadi khadi kya batein sun rahi ho jao jake khana banana suru karo. Aur tum dono mere sath mere kamre me mujhe kam hai kuch.
Woh intentionally janvi ji au vmahi ko udha se lekar gayi..
Sana kitchen mein chali jati hai. She was numb to react. Aisa nahi hai ki usko khana banana nahi ata. She is a very good cook but she doesn't expect this kind of behaviour from dadi. Pehle kal rat ka incident aur abhi yeh aisi batein woh tut rahi hai dhire dhire. Uper se usko pain bhi hai. Woh apne sare dukh ko ek taraf rakh ke nasta banane mein lag jati hai. She made puri, chole, aloo paratha, kheer, aur tara ke liye sandwich. Woh khana banane ke bad table pe sab kuch set karti hai. Then everybody gathered to the dinning table.
Mahi - Arey wah sana tune itna sab kuch bana liya ayr kya khusboo hai khane ki.
S dadi - Tum itna uchlo mat pehle kha to lene do.
Jay dadi ko kuch bolne jata hai but mahi usko isharo se chup ho jane ke liye bolti hai.
S mom - Ap sab baith jao.
Sare log baith jate hai except janvi mahi and sana. Sana sabko khana pados ti hai. Sid normally baith ke khana kha raha hota hai jaise kuch hua hi nahi. He even didn't realised ki sana pain mein hai.
Tara - Wow chachi sandwich my favourite. Thank u.
Jay - Wow sana kya khana banaya hai tumne. Taste first class hai.
Sid dad - Hmm bahu khana acha bana hai.
Jay - Arey Sidharth tu bhi to bol tujhe kaisa laga?
Sidharth - Acha hai
Jay thought ufff yeh ladka bhi na.
Jay - Sana idhar aao. Yeh lo tumhare liye ek chota sa gift.
Sana - Bhaiya yeh to mobile hai.
Jay - Hmm tumhare liye. Mujhe pata hai tunhare pass nahi hai phone toh isilye.
Sana is very happy. Uske dosto ke pass to mobile tha but uske pass nahi tha aur nahi usne kabhi himmat ki mangne ki.
S dadi - Jay iski kya zaroorat tha?
Jay - Zaroorat hai dadi. Aj kal Mobile necessary hai. Aur hum to chale jayenge to sana mahi aur tara sa bat bhi kar legi aur jab bhi uska man karega woh apni mummy se bhi bat kar legi. Aur sana maine na isme naya sim bhi laga diya hai.
Sana - Thank u bhaiya par mujhe to mobile use karna hi nahi ata.
Mahi - Koi bat nahi sana mein tujhe sikha dungi. Thik hai?
Sana - Acha didi.
Dadi kuch nahi bolti hai. Kyunki unko pata hai ki woh Sidharth aue apne bete ko bato mein fasa sakta hai pr jay ko nahi.
Dadi thought bas jay ko ekbar jano do fir mein isko dekhungi.
Mahi - sana idhar aa. Yeh le and give her a blue colour velvet box. Khol ke to dekh ekbar .
Sana - Wow didi yeh to bahut achi hai.
Mahi - Pasand aya tujhe?
Sana - Bahut zada.
S mom - Mahi kya hai beta?
Mahi - Maa yeh ek daimond ka pendent aur kano ke liye diamond studs.
S mom - Arey wah yeh to bahut sundar hai.
Mahi - Hai maa aj kal sab yeh se hi pahente hai.
S dad - Choti bahu idhar aao and he gave her some cash as nek for her pehli rasoi.
After breakfast sid said
Mein nikalti hu bahut sare kam pending hai. Bhai aap bhi chalo na mere sath factory ka new section bhi to apne nahi dekha.
Jay - Hai dekhenge but aj pehla din hai tera shadi ke bad to aj ghar pe hi ruk ja na.
Sid -Nahi bhai kam bahut important hai. Ap chalo mere sath.
Sid and jay chala jate hai. Sid ke dad bhi chale jate hai kuch kam se and dadi apne room mein chali jati hai rest karne ke liye.
S mom - Mahi sana aao hum teeno bhi nasta kar lete hai.
Mahi - Hai maa chaliye. Aja sana.
After breakfast janvi ji said ab tum dono jao aram karlo, mein idhar sambhal lungi.
Sana - Nahi mummy ji ap aram karo mein karleti hu.
Mahi - Hai mein aur sana sara kam karlenge.
S mom - Bilkul nahi. Tum dono jao. Mein badi hu na. Meri bat mano aur jao ab.
Mahi - Thik hai maa. Sana chal mere room mein chal mein tera ph bhi set kar dungi aur tujhe sab sikha bhi dungi.
Sana - Thik hai didi chaliye.
In mahi's room mahi set sana's phone and sabka number bhi save kar deti hai. After that mahi usse sab kuch sikha bhi deti hai. Dono baithke bahut gappe marte hai. Sana usse apni school ki batein bhi batati hai sare.
Lunch time....
Janvi ji sid aur jay ka lunch driver ke hato factory pe bhijwa deti hai. Dadi aur sid ke papa pehle khana khate hai uske bad baki log bhi lunch kar lete hai. Pura daupaher sana mahi janvi ji batein karte hai. Janvi ji bahut khus hai apni dono bahu ko lekar. Shyam ko sid aur jay factory se waps ate hai.
Sid - Maa mein kamre mein ja raha hu ap shehnaaz ko zara bhej dijiye.
S mom - Beta jao Sidharth bula raha hai tumhe.
Sana - Ji mummy ji.
Sana bahut dar jati hai. Usse firse kal rat ki sari batein yaad aa jati hai. But uske pas koi option bhi nahi hai. Woh bahut dar ke room ke andar jati hai.
Sana - Ji apne bulaya?
Sid - Hai woh yeh lo and give a small box to her.
Sana - Yeh kya hai?
Sid -Woh tumhare pehle rasoi ka nek. Dekhlo khol ke.
Sana opened the box and it's a beautiful gold jhumka. Sana bahut khus ho jati hai usse lagta Sayed woh sid ko samajne mein galti kar diya but uska yeh galatfahmi abhi dur hogi just wait.
Sana - Yeh bahut khubsurat hai thank you Sidharth ji. Apka choice bahut acha hai.
Sid - Yeh maine nahi mere factory ke jo manager hai usne lekar aya shop se. Bhai ne bataya ki pehli rasoi ke liye tumhe kuch Dena hai to mene usko bheja tha. Mera pas itna faltu waqt nahi hai. Aur hai suno kal se mere kapre nikal ke rakh na mere kam se wapas anese pehle hi. Aur subah bhi kapre nikal ke rakhna. Jo patni ka duty hai usko nibhao aur har bat batana mujhe pasand nahi hai and go to the washroom.
Sana was just stunned. Firse us masum ka dil toot gaya. Usne us jhumke ko doobara dekha bhi nahi Jake wardrobe mein rakh diya aur Sidharth ke kapre nikal ke bed pe rakha apni ansu pochi aur room se bahar chali gayi.
...............................................................................................................
आप पढ़ रहे हैं
UNWANTED RELATION ✅
FanficKya Sidharth ko kabhi samaj ayega ki betiya koi bojh yah fir manhus nahi hoti? Kya shehnaaz kbhi Sidharth aur apne sasural Wale ko maf kar payegi Jin logo ne usko aur uski do fool jaise bachio pe torture kiya? ...