Chapter 10

1.9K 159 7
                                    

Pura din sana apne kamre mein rest karti hai. Dadi bhi kuch nahi bolti hai. Sana ghar ke landline se apne ma ke sath bat karti hai.

Sana - Hello maa

Sh mom - hai beta. Abhi khushkhabri ka pata chala. Tere sasural walo ne mithai bheja hai. Pata hi nahi chala meri gudiya kab itni badi ho gayi ki ab woh khud maa banne wali hai. Par bacha tu khud bhi abhi bahut choti hai. Tujhe apna bahut khayal rakhna hoga.

Sana - Maa ap chinta mat karo mein apna pura khayal rakhungi. Maa bhabi kaisi hai?

Sh mom - Thik hai.

Sana - Papa aur bhaiya kaise hai?

Sh mom - Jaise the waise hi hai

Sana - Maa aap thik ho na?

Sh mom - Bilkul thik hu. Sana udhar sab ache hai na beta? Damad ji tera kheyal to rakhta hai na?

Sana - Hai maa bahut kheyal rakhte hai ( sobing silently). Itna kheyal to koi pati nahi rakhta hoga jitna mera pati rakhte hai.

Sh mom - Yeh to bahut achi bat hai. Teri bhabi humesha kehti thi na tujhe koi rajkumar leke jayega.

Sana - Hmmm..... Acha ma mujhe kuch kam hai abhi mein ph rakhti hu. Bad mein bat karti hu.

Sh mom - Thik hai beta. Apna khayal rakhna.

Rat mein after dinner Sidharth enter into the room.

Sid - Shehnaaz kal se tumhe ghar ke koi bhi kam karne ki zaroorat nahi hai.

Sana yeh sunke khush ho jati hai. Usse laga ki finally uske pati ne uske bare mein socha but his next statement break her heart once again.

Sid - Mein mere bache ke sath koi risk nahi lena chata. Isiliye apna khayal rakho. Agar zara sa bhi laparwahi ki na to mujhse bura koi nahi hoga. Sana ne kuch nahi kaha just node positively.

Now its 3 months.

Janvi ji - Bacha pi le yeh doodh.

Sana - Nahi maa mujhe man nahi ho raha hai dudh pine ka. Mujhe na dahi papdi chaat khane ka bahut man ho raha hai.

Janvi ji - Thik hai. Pehle yeh dudh pile. Mein Sidharth ko bolti hu woh tujhe lakar dega.

Sana - Instantly say nahi nahi unko mat boliye mein toh aise hi bol rahi thi. Dijiye mein dudh pi leti hu. Table se glass leke pi leti hai.

Janvi ji feel very bad for sana. Unko pata hai ki Sidharth ko sana se koi lagav nahi hai sirf bache ke liye hai. Iss time pe ek aurat ko sabse zada apne pati ki zaroorat hoti hai. Par sana bilkul akeli hai. Uski basic cravings bhi Sidharth pura nahi karta. Par janvi ji bahut pyar karti hai sana se. Woh apni taraf se puri try karte hai but fir bhi ek pati ka kami koi pura nahi kar sakta. Shadi ke itne mahine bad bhi yeh dono ek dusre se anjan hai. Sana ko to fir bhi pata hai Sidharth ko kya khana pasand hai, kis colour ka kapre pehenna pasand hai. But Sidharth ke liye sana bilkul ajnabee hai. Iskadar uska dimag block ho chuka hai ki usse kisi cheez ka koi hosh hi nahi hai. Sana ke pas bhi koi aur option nahi hai. Usne bahut try kiya but ektarfa try karne se kuch nahi hota. Jay aur mahi hai par woh unke sath bhi kuch share nahi karti hai. Woh nahi chati hai ki family mein uske wajah se jhagre ho. Usse bachpan se hi muh band karke dukh takleef jhelne ki adat hai. Shadi ke bad se ekbar bhi woh apni maike nahi gayi hai nahi udhar se koi milne aya.

Jab uski ma ko pata chala ki woh pregnant hai to unhone sana ki dad ko kaha tha ki unko milna hai sana se.. Par sana ke father ne saf saf mana kar diya. Ek yeh bap hai jisko apni beti se koi pyar koi lagav kuch bhi nahi hai sirf isilye kyuki woh ladki hai. Aur ek uska pati hai jisse sirf apne khandan ka waris chahiye aur kuch nahi. Na koi parwa na koi pyaar no koi izzat kuch nahi.

Par kehte hai na lakh burai mein bhi ek achai hoti hai. Aur woh hai uski mummy ji uski mother in law hai. Jo humesha uski sath rehti hai . Beti ki tarah pyar karti hai. Par fir bhi woh apna dukh unke sath bhi share nahi karti hai. Sana roj apni ankhon se dekhti hai ki kaise unko bezzait hona padta hai. Is ghar mein un dono ka situation same hai. Janvi ne do bete ko paida ki hai isiliye sayed woh iss ghar pe teek gayi par sana ka kya hoga?????

Evening mein sana apne room mein apne hi kheyalo mein khoyi hu hai then janvi ji came with a plate.

Janvi - Sana beta yeh le.

Sana bahut khus ho jati hai woh dekh ke kyuki uski mummy ji ne uske liya chaat banake layi hai.

Woh mummy ji jo iss ghar mein uska ek lauta sahara hai. Jo bilkul maa ki tarah usko sambhal ke rakhti hai. Sana ke dukh ka ehsaas hai unko kyuki usi halat se woh khud bhi guzar rahi hai kahi salo se.

Sana - Mummy ji apne Sidharth ji se kaha tha kya?

Janvi - Nahi meine khud banaya hai tere liye. Aisa ho sakta hai ki meri beti ne kuch manga aur mein na du. Chal jaldi se khale.

Sana smile brightly and eating chaat with so much happiness.

Janvi ji pov.

Hey bhagaban aap kyu is masoom si bachi ko iss narak mein bheja. Kamse kam mujhe apni maike mein to barabar ka pyar mila. Par isko to udhar bhi pyar nahi mila nahi idhar. Kaise bap hain iska jo kisiko isse milne ane bhi nahi deta. Sayed mere hi parwarish mein koi kami reh gayi hogi isiliye to mera beta hoke bhi sidharth mein mujh jaisa kuch bhi nahi hai. Bhagaban mujhe shakti dena taki mein isko humesha sambhal ke rakh saku.

pov. end

Janvi - Tu aram se kha, mein ati hai.

Sana - Thik hai.

...................................................................................

UNWANTED RELATION ✅जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें