Sana turant udhar se jane lagti hai but Sid uski hat pakad lete hai.
Sana piche mudti hai and said yeh kya badtameezi hai?
Sid - Turant hat chod deta hai and said sorry. Mujhe bas tumse kuch kehna hai.
Sana - Mujhe kuch nahi sunna. Samjhe app?
Sid - Plz shehnaaz 5 minute meri bat sunlo plz.
Sana somehow control her anger and said jo kehna hai jaldi boliye.
Sid - M mein tumse apna har galti ke liye mafi mangna chata hu. Mein koi excuse nahi dunga ki maine iss wajah se ki hai yah uss wajah se ki hai. Jab maine woh sab kiya mujhe realise nahi hua tha. Mujhe lagta tha wohi sahi hai. Maine kuch planning karke nahi kiya tha woh sab. Mein janta hu meri galti ki koi mafi nahi hai. Fir bhi tumse mafi mangna chata hu apna har galti ke liye.
Sana - Hogaya?
Sid - Kya?
Sana - Jo kehna tha woh keh diya?
Khatam ho gaya na ya abhi bhi aur kuch baki hai?Sid - Tumhara guss jais hai. Maine Jo bhi kiya woh mein tumhe hurt karne ke liye nahi kiya. Mujhe lagta tha sab aisi hi hota hai. Yeh hi normal hai. Mujhe nahi pata tha pyaar kya hota hai. Mujhe lagta tha shadi bas ek responsibility hai bas bache paida karna hai vansh ko age badhana hai.
Sana - Bache nahi kahiye ladke paida karna hai... Kyu ki apko to ladkiyo se nafrat hai. Thik kaha na maine?
Sid - With moist eyes nafrat nahi hai. Matlab mere dimag mein bachpan se woh sab dalte gaye to mein pura block ho chuka tha. Mein kisiko blame nahi kar raha hu because galti mujhse hua hai. Mera ek sorry sab thik nahi kar sakta I know. But phir bhi sorry un sare galtiyo ke liye jo maine kiya. Maine tumhe dukh diya, apne bachiyo ko sath galat kaiya.
Sana - ( Shouted) apke nahi woh mere bache hai sirf mere bache. Ap koi nahi ho unke liye. Apne khud hazar bar kaha hai ki woh apke bache nahi hai.
Sid - ( Crying ) Hai woh tumhare hai par mera bhi to hai na. Mein janta hu maine khud bahut galat kaha tha. Sorry.
Sana - Wow kitna asan hai bas ek sorry keh diya.
Sid - Nahi mujhe pata hai asan nahi hai bilkul asan ha tumhare liye.
Sana - Apko pata hai apne kya kya kiya hai? Kuch nahi pata hai apko. Chaliye aj mein apko batati hu. Ek kahani batati hu apko ek ladki ki. Jiska nam shehnaaz hai sirf aur sirf shehnaaz. Iske age piche kuch bhi nahi hai.
Yeh ladki shehnaaz ek aisi parivaar mein paida hui jaha par uski koi zaroorat nahi thi. Kyuki woh ladki thi isiliye. Uski maa ne to usko bahut pyaar diya par uske papa ne kabhi use pyaar nahi kiya. Bas paida ho gayi mar to nahi sakte isiliye ghar pe rakh liya. Har choti se choti bat pe usko dant te the marte the aur agar uski ma bachane jati to usko bhi mar parte the. Sirf papa hai nahi uske bhai bhi usko pasand nahi karte the aur mar pit galiye yeh sab kuch chalta tha. Dhire dhire na us choti si bachi ko adat par gayi uss chiz ki. Woh kabhi kisise koi bhi complain nahi karti thi kyu ki usko pata lag gaya tha ki agar uski ma usko bachane aye to usko bhi mar paregi.
Dhire dhire woh ladki badi hoti gayi. Woh studies mein bahut achi thi. Par 12th ke bad usko agey padne ka permission nahi diya. Dete bhi kyu bojh tha apne bap ke liye. Toh paise kyu kharach karna iske piche.
Fir achanak se ekdin usse kaha jata hai ki uski shadi hone wali hai. Woh dar jati hai par kuch kahe nahi pati hai. Kisse kehti thi kya kehti? Usse to bas faisla bataya gaya pucha nahi kisine.
Par na uski bhabhi humesha usko kehti thi ki dekhna ek Rajkumar ayega aur usse idhar se uthake leke jayega. Usse bahut pyaar karega. Aur woh bewakoof ladki sapne dekhna suru kar diya apne rajkumar ka. Fir ekdin woh aya usko dekhne. Par dekha nahi, nahi kuch bat Kiya. Usko laga Sayed nature hi aise hai unke. Fir uski shadi ho gayi aur woh chali gayi apni rajkumar ke sath uske ghar. Bahut sare umeed aur sapne le kar gayi thi.
Par shadi ki rat hi uski sare sapne Tut gaye. Uske yeh bata diya gaya ki yeh shadi pyaar ki wajah se nahi bache paida karne ke liye ki gayi hai. Uski pati ne uske sath physicaly rishta to bana liye but pyaar nahi tha usme. Usko dard hua bahut but woh kuch nahi keh payi.
Aur fir suru hua eka Naya Jang. Fir bhi woh itni bewakoof thi ki woh chup karke har chiz sehti rahi iss umeed me ki Sayed uske pati usko pyar karle thoda sa. Par aisa hua nahi. Woh Tut ti rahi dhire dhire.
Phir uski zindegi mein ek khushiya ayi usko pata chala ki woh ma banne wali hai. Aur uski dil mein nayi umeed jagi apni bache ko leke.
Par yeh khusi bhi zada din ka nahi tha. Usko pata chalta hai ki uske bap ke tarah udhar bhi logo ko sirf ladka chahiye ladki nahi. Par usko itna sab hone ke bad bhi bahut strong belief tha apne husband pe ku bhale hi uske pati usko pyar nahi karta par bache ko zarur karenge. Par afsos uska yeh yakeen bhi Tut gaya. Usne do betiyo ki Janam di aur uske pati dekhne tak nahi ayi. Woh bechari ladki sochti rahi ki bap hai dur nahi reh payenge apne khoon se, ajaya ge par hua nahi. Usko pehle room se nikal diya kyuki uski pati ko bahut problem hota tha apne hi bachiyo ki rone ki awaz se.
Jis din uski betiyo ne pehli bar usko ma kaha woh khusi se jhoom uthi. Woh share karna chati thi yeh bat apne pati ke sath par nahi kar payi. Fir usne apni bachiyo ko baba bolna sikhaya par woh sunke bhi uske pati ko koi fadak nahi pada. Fir ekdin dusro ke kehne se uske pati ne uske upar bahut bada ilzaam lagake nikal diya usko ghar se bacho ke sath. Us ladki ke pas kuch nahi tha kuch bhi nahi. Bacho ko khilane ke liye hat mein paise bhi nahi the.
Aur to aur uske baap ne bhi usko sahara nahi diya. Sabne chod diya usko Marne ke liye.
Yeh thi uski kahani.
To bataiye Sidharth Sharma kaisa laga apka kahani?
Both crying....
Sid just uttered a sorry.
Sana - Mafi chahiye na apko... Lo kar diya apko maaf. Mein aur meri ruhi aur pihu hum teeno ne apko maaf kar diye. Bas aur kuch nahi hai mere pas. Mein apni zindagi sirf apni apni betiyo ke sath jeena chahti hu.
Sana left from there.
Sid apne knees pe baith ke rota rehta hai and said yeh maine kya kar diya...
......................................
आप पढ़ रहे हैं
UNWANTED RELATION ✅
FanfictionKya Sidharth ko kabhi samaj ayega ki betiya koi bojh yah fir manhus nahi hoti? Kya shehnaaz kbhi Sidharth aur apne sasural Wale ko maf kar payegi Jin logo ne usko aur uski do fool jaise bachio pe torture kiya? ...