Part 5: Sumod Meet

202 21 5
                                    

2 days later
( Dp & kusum in there room)

Dp:yo ke ho gaya hai meri beti ko, us din jo wo ghar gayi wapas aai hi na shop me, purre do din ghar par apne kamre me bita diye usne, uski tabiyat to thik hai na

Kusum: aap samajhiye na uske dil ko chot lagi hai wo bharne me waqt to lagega hi na

Dp: na dil to mari Garima ka bhi tuta hai , me dono ki tulna nahi kar Raha , susheela ke bhale ke liye hi bol raha hu, dukan jaygi
Vahake Kaam me man lagaygi to dil behel jayga uska, busy rahegi to accha rahega usi ke liye, istarah kamre me baithi rahegi to kese ubhar payegi, Garima ko dekho busy rehti hai isliye 2 din se pehle aur ab me kitna farak pada hai usme

Kusum: har kisi ka problems ke sath deal karne ka Tarika alag hota hai, meri baat Hui hai susheela se, usko waha shop mein Tanav mehesus ho raha hai, bahut mehnat se usne apni pehchan banayi hai waha, uske is emotional halat me agar usse koi galti hui  to uski itne sare dino ki mehnat par pani phir jayga,ye sab wo k&d ke liye hi kar rahi hai,
Use bas thode se samay ki jarurat hai, use thoda shant hojane do, bitane do use akele me wo jitna chahti hai utna wakt, aap yo baat to jante ho na, pramod ne bhi susheela ke sath k&s kafi waqt bitaya hai , wo yaha nahi hai isliye uski yaade Judi Hui hain waha jo susheela ko kaam karne se rook rahi hai , wo concentrat nahi ho parahi hai isliye wo thik se kaam na karpaygi itni jaldi, tab tak aap aur Garima milke shop to chala rahe ho na, Garima ko bhi apne papa ke sath kaam karne ko accha lagta hai, use himmat milti hai, phir susheela aajaygi to aap ghar aaoge na

Dp: aap thik kehe rahi hai ji,aakhir ek maa ki tarah baccho ko koi samjha na sakta hai
.....................

(Pragni bhi us shaam ko Chautala hospital ke bahar usdin baad pehli baar milte hai)

Pramod: kese ho Agni? Maaf karna par me tumhari aur Garima ki shadi nahi aatend kar paya

Agni: Shadi hui hi kaha hai !

Pramod: Matlab!!? (Shocked) Kai...Kai meri aur susheela ji ke jhgada aur meri barat wapas Jane ki wajah se to nahi ...
I am really very sorry Agni

Agni: tumhe sorry kehene ki koi jarurat na hai, yo shadi tutne ki ek hi wajah hai jo mein khud hu, mene meri maa ko bataya hi nahi tha Garima ji ke nai hone ke bare me aur balki unse jhuth kaha ki wo ek teacher hai, yahi baat samne aagayi, Garima ji bhoat bhadak gayi jo ki jayas tha, aur yo shadi tut gayi

Pramod: itni badi Galti kese ki tumne Kher! Ab ye sab baate karne ka kya fayda, shayad us din hamari shadi hona hamari kismat me likha hi nahi tha
        Mere waha se nikalte hi chautala Hospital se call aane lage, emergency surgery ke liye mujhe Jana pada, ek bus ka accident hua tha , kitne sare log hospital me admit ho rahe the
Is situation me meri shadi ho bhi rahi hoti na to chalti hui shadi ke bich mese uthkar me yaha aajata
2 din se itna busy hu ki me apne aap ko process hi nahi kar paya hu ki mere sath kya hua hai, ho raha hai , kya ho chuka hai
Me khud nahi janta rather mujhse ye sochne ka moka hi nahi Mila ki me ye shadi tutne ke bare me kya  feel raha hu, Susheela ji ke liye kya feel kar Raha hu, mom ko to mene dekha bhi nahi papa Hospital me sath kaam kar rahe hai phir bhi unse baat nahi hopayi

Agni: mere sath bhi kuch aisa hi hua hai, wo accident mere Area se bahar hua tha phir bhi bich bich me jaruri tahkikat karne ke liye kabhi kabhi Jana padta hai
Jese hi free time milta hai me Garima ji ko call ya massage karne ki koshish karta hu par wo koi reply hi na Derahi hai
            ek baar hamari bus shadi hone ke baad me sab kuch sach sach bata deta maa ko, aur phir to wo apni barber bahu Garima ji ko accept karne ke liye hi unhe majboor ho na hi padta,Wo q nahi samajhti

Tabhi susheela ki aawaj aati hai

Susheela: q ki wo chahti thi ki use bahu accept karna uski saas ki majburi nahi choice ho

Turning Page: New Journey Begins (Sumodjiyaras)(Agnimamehil)Where stories live. Discover now