part 3: Maa

247 22 6
                                    

Garima bhi uske regular kapde pehen kar  jese hi change karke washroom ke bahar aati hain susheema ko bahar se ek badi aawaj sunai deti hai isliye wo dono room se bahar aati hain aur bahar aakar dekhti hain ki unke shadi ki sajawat puttu aur shishupal dill par pathar rakh kar utar rahe hote hain, Dharampal ka chehera bhi Kafi utra hua tha , unke hath me susheema ki tuti hui  Doli thi, wo badi si aawaj us Doli ke tutne ke hi thi

Dp: (seeing that broken Doli) na yo ke hogaya yo sab? ( In saddest tone)

Ccc:sab Bohot ajeeb hogaya aaj to, ib kese hogi inki shadi? ib kon karega in dono se shadi, na koi shadi karega bhi q? Dekha na ke hogaya aaj? Dono ki dono behene ek jesi hain bataiye! Ib komal ji Garima ko dekho, accha khasa maan gayi thi komal ji yo nai hoke bhi use bahu bamane,abhi kar leti shadi baad me  jo bhi kaam ki baat thi use lekar samjha dete na komal ki ko, lekin nahi!
Aur susheela uske bare me ke hi bole! Itna accha rishta Tod diya, ab shadi bya me is ruthna - manana , maafi mangna yo sab to chalta hi rehta hai na!
Aur uper se hum there ladki Wale! Ladki walo ko thode dhiraj se hi to kaam Lena chahiye!

Avatar/ chunni ( me se koi ek): na isliye Dharam Pal tuzhe bola tha apni betiyo ko samjha ke rakh, to baar baar Maan- samman ki baate karti reheti hain na ke Mila isse? Wo samajhti hi nahi ki kabhi kabhi jhukna padta hain, samjhauta karna hi padta hain, ib to dono ko rishta milna mushkil hai, manne na lagata unki shadi hogi!

( Susheema ye sab sun rahi thi aur is baat ka dukh mehesus kar rahi thi ki kisi me bhi unka dukh samajhne ki koshish nahi ki, logo parva hain to bas unki shadi ki par nahi unki,unke sath hue galat bartav ki)

Kusum: na bus hogaya ab (shouts) ! Yo ke shadi shadi shadi laga rakha hai sab ne! Sab ko shadi tuti hain ishi ki parvah hain par meri betiyo ka dill tuta hain uski kosiko koi paravh nahi hai! Kisi ko bhi nahi!
Mere betiyo ne aavaj uthai wo dikh raha hain hain, lekin unke sath anyay hua hain, kitni badi na insaafi hui hain wo kisi ko kyu nahi dikh raha!
( Cries) Dhokha hua hai unke sath!
Wo dono pyar karti thi un ladko se! Socho na kya bot rahi hogi unpar, Galat hua hai meri betiyo ke sath!
Itna sab hua lekin unnhe kuch bhi bolne ki, unhe rokne ki kissi ki himmat na hui !
Bus tamasha dekhte rahe sab

Manne bhulne ki bimari hain par yo baat acchi tarah se pata hai ki agar Haathi Bajar par ya hathi bajar walo par,ya yaha khade kisi bhi rishtedar ke sath kuch galat horaha hota to sabse pehle meri betiya hi unke sath khadi rehti, unke liye ladhti magar unki yaapar kisi ko parva nahi sab shadi karake rawana karne par tule hue hai!

Dharam pal: sahi keherahi hai kusum ji, na chanchal tu abhi bhi manne apni hi betiyo ke khilaf bhadka rahi hai
Tu ke chahti hain ki aaj ke unke bartav ke liye me is unhe daatu taki unhe esa Lage ki unke papa bhi unko nahi samjhate! Unke papa ne hi unhe bina shadi ke paraya kiya hai!
Dharam pal ki Betiya hain wo, jhukna dikha hi na hain
Yo shadi shadi ke chakkar me pehle bhi me meri betiyo ko dukh de Chuka hu ab aur nahi, aakhi sehene ki bhi hadd hoti hai, ib me apni betiyo ko bilkul bhi is shadi Wale shabd se pareshan na karunga aur nahi kisi aur tarike se dukh Dunga

Agar unki kismat me likha ho to hogi unki shadi warana mhare liye meri betiya bilkul bhi bozh nahi hain!
Wo apne ghara me puri aajhad hain , jo chahe kar sakti hain , ab unhe support, pyaar aur kuch khushiyan ke khatir kisi aur ke ghar jane ki koi kara na hain

Kasum: are nahi! meri susheela Garima kab se upar hain, ke horaha unka, Kos Rahi hongi wo dono apni kismat ko wala, ke kar rahi hongi wo, kitna ro rahi hongi wo dono waha akele, ekto jhada bhi hogaya hain dono me,
Me aa rahi hu beta, tumhari mummy Papa sath hain tumhare sath hain

( After saying this both dp- kusum, puttu went upstairs in susheema's room and hugged them)

Niche Shishupal Sab ko politely kehete hain
Shishupal: dekhiye aaj Bhai sahab aur bhabhi ji ne aapse Jo uche aawaj me baat ki isliye me Maffi mangta hu, akhir maa-baap hain wo, apni santan ka dukha kese dekh payenge!
Eseme me aapse vinti karta hu hamare parivar par ruthne ki bajay hame samajhne ki koshish kijiye aur sehekarya kijiye, hame aap sab ki jarurat hai,do-do choriyo ki shadi tuti hain, hamare parivar ko thoda samay dijiye,

Avatar: shishupal sahi kehe raha hai, chalo ji , sab apne apne ghar chalo

Shishupal: na pls khana khakar jaiyega, koi bhuk mat lautna pls, chunni Bhai sahab pls jara sabko dawat ke liye le jaye

( Phir shishupal two thaliye leke susheela ke kamre me jata hai and somehow dp ko Khana khane ke liye convince karta hain aur dp aur puttu niche le jata hai but kusum susheema ke sath hi ruk jati hai, Kusum susheema ko khana khilati hai and now wo center me baithi hui hoti hain, susheema kusum ke godi me sar rakhke leti hui hoti hai aur kusum pyar se unke Baal sehelarahi hoti hai)

Susheela:  maa aaj ke itna galat kar diya humne? Ke aapko sach me lagta hai ki manne papa ke kiye karaye par pani fer diya hain! Manne Mini aunty ne jo bhi kiya use ignore karke Parmod se shadi kar leni chahiye thi!

Garima: batao na maa, jaha meri, mere papa ki, hamare kaam ki ijjat na ho ese ghar me muzhe Jana chahiye tha! Kya apne swabhiman ko sambhal kar itna galat kiya humne! Jo niche sab hame hi doshi thehra rahe hain

Kusuma: na beta! Kuch galat na kiya hain aap dono ne, swabhiman hi sab se badhkar hota hain aur use japne ke liye Himmat,  ye mene apni zindagi se sikha hain,
susheela tumhe yaad hain ek din tumne pucha tha hamare ghar basundi q nahi banti, uske piche ek bada karan hai ,
16 saal ki umar me meri shadi hui thi, meri shadi ke din sab khush the ,mere maa-bauji yani tumhare Nana-nani bohot hi lagan se sab tayariya kar rahe the, sab kuch acche se chal raha tha par achanak hi tere papa ki bua ne jhagda shuru kiya, darasal unhe shadi me basundi rakhune kaha tha par mere bauji wo arrange nahi kar paye isliye unhone khir rakhi thi, bus usi baat ko leker unhone mere gharwalo ko, muzhe itni khari-khoti sunai, na jane kya kya kaha, mere bauji sab chup-chap sun rahe the , phir aakhir me unhone bujaji ke samne ghutne tek ke maafi mangi tab jake yo shadi hui
Yo sab dekh ke me apne kamre me na jane kitna ro rahi thi, mera yo shadi karne ka man bhi na tha,par mujhme utni himmat nahi thi ki me kuch bhi kar pau, apne aap par sharam aa rahi thi ki mere sasural walo ki Wajah se kya kya sunna pada mere parivar ko
Phir shadi hui lekin mere dimag me bus wahi baate chal rahi thi, phir jab tumhare papa aur me akele kamre me the tab unhone manne kaha ki unki bua ne jo bhi kiya wo unhe bhi thik nahi laga phir muzhe thoda apna pan mehsus hua
Aur tabhi mene than Li thi ki me kabhi bhi basundi nahi banaungi aur tumhare papa ne bhi kabhi farmaaish nahi q ki wo jante the ki in sab baaton se mera dill dukhega, jab ki unhe to basundi bohot pasand thi
Phir baadme mera saamna tumari saas se hua, bohot strict thi wo beta, unhe har kaam perfect aur time par lagta tha, unki marji rakhte rakhte meri to jaan hatheli me aajati thi, unse bohot dar lagta tha, aur unke tano se bhi,
Dekhte hi dekhte wo mahike wali sabse hoshiyar, honhar kusum darpok aur stress se bhulkaad banti gayi aur aaj yo haal hogaya mera
Dekhte hi dekhte pata nahi Mera swabhiman ,aatmavishvas  kahi door hi chala gaya, shadi ke pehle Jo Susheela jesi kusum thi shadi ke baad wo kusum jesi kusum ban gayi
Iss Sab me bas wo basundi na banakar jitna hosake utna me mere bauji ka maan, unki ijjat aur us susheela jesi kusum ka swabhiMaan rakh pati hu utni hi khusi milti hain muzhe
( Susheema hugs Kusum)

Susheela: Maa! Me to yo sachme na janti thi ki itni choti baat ke piche itni badi baat chupi Hui thi, kitna chuch Saha hai aapne, Aap kamjor aur darpok nahi meri strong maa ho

Garima: haa maa, aap to humse jyada strong ho, manne to lagta thi ki basundi nahi bati hogi q ki shayad papa ko wa pasnd nahi hogi, par ye baat muzhe Aaj pata chali, hum aapki betiya aap jesi hi hain maa, susheela jesi aap nahi, aap jesi susheela hain, hamesha sacrifice karke strong rahene wali

Kusum: me nahi chahti beta jo dard mene sahe hai wo meri betiya bhi sahe, pati bhale hi accha ho par sasural Wale na ho to bhi Bohot fark padta hai, taklif hoto,
komal Devi ka tumhe sweekar karna aur mini ji ka tumhe madat karna ye dekhke ke muzhe tasalli mili thi, me Khushi thi aur isliye haa kaha tha par esa nahi hua
Agni apne maa ki aage kuch bol na sakta aur pramod unhe aage kuch sun na sakta
Ese me bhi mene tumse unhe rokar, jakar jabardasti tumari Shadi karadi to tum dono bhi waha meri tarah akeli pad jaogi ,me na chahti esa dubara ho
Aur agar ab Agni aur pramod wapas bhi aaye na tuhme lene, to tumare papa to unka swagat hi karnege lekin unhe ab muzhe tasalli Deni hogi, warna ye rishta to Naa hoga!
( With big eyes and anger























Turning Page: New Journey Begins (Sumodjiyaras)(Agnimamehil)Where stories live. Discover now