Part 10: Friendship & challenge

148 18 2
                                    

On the other hand

Pramod gusse me phir se hospital chala jata hai aur
kuch der baad usse Milne uski London wali friend Krisha aati hai
She is very close to Pramod, pramod used to share everything about susheela

Krisha: pramod mujhe aashish ne sab bataya, ye sab nahi hona chahiye tha tumhare sath…you really don't deserve this, bahut bura laga mujhe ye sunkar, tumhari kya halath hogayi hogi ye imagine bhi nahi kar pa rahi thi mein, tumhari bahaut fikar ho rahi thi aur mein apne aap ko yaha aane se rok nahi payi, suna hai tab se tum hospital me hi ho! Pramod ek baar roke apna dil halka Karo,
Itni badi problem aayi hai tumhare life me, itne dukh mein tum ji rahe ho, Mujhe q nahi bataya tumne pehle? Me Pehle hi aajati, i know ese waqt me apne logo ke sath ki bahut jarurat hoti hai

Pramod:  Thank you so much yaha aane ke liye Krisha, mere bare me itna sochne ke liye! I am really feeling better after seeing you,  Kitni strange baat hai na! Tum mere liye London se yaha aayi aur mere parents living room and kitchen se bhi mere paas nahi Aa paye! Nahi ghar se hospital tak!

Krisha: kya bol rahe ho pramod, mujhe kuch samajh nahi aaraha

(Pramod tells her everything what happened in chautala house)

Krisha: strange, yakeen toh mujhe bhi nahi ho raha Mini aunty aur Jai unkal esa kar sakte hai! Mene kabhi tumse esa experience nahi suna tumhare parents ke bare me, i always adored them for how the support you and I was impressed with there cool and understanding parenting

Pramod: any way, usdin baad sab badal Gaya hai, tum khanakha yaha aayi Krisha, 2 din baad mein  London hi  jaraha tha

Krisha: London q pramod? Ghar me jo hua hai iswajese? Pramod tum Landon mein peheli baar mujhese mile the tab tumne kaha tha ki me yaha bas padhe ke liye hu, kaam to mujhe mere papa ke hospital me karna hai, unke sath
Aur aaj pyar me heartbreak milne ke baad London jane ka Decision?
Kis liye pramod? Tumhare mom-dad ne hamesha se tumhe support Kiya aur bus ek baar wese treat nahi Kiya jesa tum chahte the to sidha London jane ka Decision le liya tumne!
Pramod socho na, 6 din baad Ghar Gaye the tum, shayad utne time span mein Mini aunty royi honge, jai uncle aur unhone apne aap ko sawar liya hoga

Pramod: sirf wahi reason nahi hai Krisha, is baat se me kitna bhi inkaar Karu per yaha mujhe susheela ji ki bahut yaad aati hai, sochta hu ki kash ye jhagda na ho pata, kash hum abhi bhi sath rehte, par...

Krisha: par you still have to stay here & stay strong pramod, apni feelings ke sath hamesha ladhna hoga tumhe! London is not a great option, is tarah apni feelings se nahi bhag Paoge pramod,
Jab tum roj apni room dekhoge, roj inhe galiyo se gujroge, to hi ek din is Saab ki aadat hokar ye baat tumhe normal lagne lagegi pramod, aur inse ladhne ki jarurat nahi padegi
Ye situation shayad tumhe aur bhi strong banane aaye hain pramod, aur bhi jyada strong, tumhe Haarna nahi hai pramod

Pramod: tum sahi kehe rahi ho Krishna, me jaldbaji kar raha tha, me nahi bhagunga, nahi haaruga, i will stay here
Thank you Krisha, mujhe sahi rah dikhane

Krisha: very good pramod, and remember i will be always there for you!
________________________________
(At maddy's house)

Susheela: wese baby tumhari shakal dekhne layak hogayi thi jab Maddy behosh hua tha, kitna pareshan thi tum, Bahat pyar karti ho kya usse

Baby: yess susheela, i Love him so much! Just like you love Puttu

Susheela: puttu cousin hai mera

Baby: aur Maddy mera!

Susheela: ohh main kuch aur samjhi

Baby: woh samajh gayi me, Maddy actually bada Bhai hai mera! Wese aaj toh tumne uske hosh uda diye, tumhe Nazuk naat Samajh raha tha woh, mene kaha woh susheela hai susheela, dhakad girl

Turning Page: New Journey Begins (Sumodjiyaras)(Agnimamehil)Where stories live. Discover now