part 12

103 12 0
                                    

Maddy: wese thank you aakar mujhe batane ke liye ki this plan worked for you!
Batate waqt i was confident lekin baadme doubt hone laga tha ki ye kaam karega bhi ya nahi, tension aaya tha ,kya pata tumne mere bare kya socha hoga, tumhre gharwale kya kehete and all, mujhe lag raha tha ki tumhe esa suggestion nahi Dena chahiye tha & mujhe nahi bolna chahiye tha

Susheela: but Thanks tumhe bola, aur mere bare me jo jiswakt jo bhi Lage wo mujhse bola Karo, Jo sahi waqt par bolte hai me unki kadar karti hu q ki kisi ke chup rehne ki wajah se me pehele hi bahaut kuch seh chuki hu

Maddy: (kinda apset voice) Sushmetaah..

Susheela : susheela, anyways abhi me nikalti hu, tumhe bhi late ho gaya na, beed me aajana hamara k&s dekhne 😊 sab students ne ab tak class sarpe utha li hogi

Maddy: are nahi wo log mujhse jyada class ki monitor se darte hai, chalo bye baad me milengey

                  (Flashback ends)

Garima: Kaha kho gayi? Susheela..

Susheela: haa.. kahi nahi

Garima: ohk, wese ek baat to manni padegi, sirf kaam me hi nahi balki tumhare bartav me bhi kafi change sa aaya hai,
Aajkal gussa wagera bhi kam hoagaya hai, kafi soch samajh kar baat karne lagi ho ek dam shanti samajhdari se kaam le Rahi ho, ye kaise hua?

Susheela: pata nahi par ib itni jaldi gussa aata nahi , aur aaya bhi to control karna Sikh gayi hu, ib dusre jagah thodi na manmani kar sakte hai, abhi shayad kuch had tak apne emotions control karna Sikh gayi hu aur ese jina ab accha lag raha hai shanti se, aaj tak kuch decisions lene me bahut jald Baji ki hai mene aur us wajah se kai baar apna hi kaam kharab Kiya hai
Isliye mene socha hai ki ab Bina jaldbaazi kiye aache se sochungi, tumhari tarah..

Garima: (in mind: meri tarah ya pramod ki tarah)
.…………………………………………….
Chautala House 🏠

Pramod was busy on his laptop 💻

Mini’s pov:

ye pramod q esa hota ja raha hai! Pata hai uski shadi tuti hai , break-up hua hai par aakhir kab Tak esa rahega
      Aajkal to mujhse aur jai se bhi jyada baat nahi karta, akele hi rehta hai , har waqt kaam me busy
       Ye sab susheela ki wajah se hua hai, uske aane ke pehle achi khasi life thi hamari, Pramod hamesha se ek cheerful, happy person tha, use dekh kar hi logo ko Khushi mehsoos Hoti thi, ab to wo muskurana bhi bhool gaya hai, khush rahega bhi kese yaha rohattak ke logo ki baaton me susheela ka zikar hona, yaha ke raste yaha tak ki Chautala hospital har jagah us pramod ke liye ab susheela ki yaado se jud gayi hogi, yeha rahega to kese bhula payga use? Kaise apni zindagi me aage badhega?
          Upar se ye susheela bhi Kitni baar dikh jati hai ? Pramod ko bhi dikhti hogi kya? Suna hai Shadi Wale din ke do din baad wo Milne bhi gayi thi pramod se chahta hospital me , Kai wo phir se pramod ko apni taraf lane ki koshish to nahi kar rahi
     Jati kaha hai wo har Roz tayar hokar?
Shadi todne ke gusse me nikal Diya hoga Dharam pal ji ne use k&s se ! Unse yahi to ummeed hai ! Is chakkar me phir se Pramod ke paas na pohoch Jaye
          Use London Jane ke bare me baat karni hogi, waha rahega to waha ke logo me, waha ke environment me use aacha lagega! Abhi baat karti hu

(She goes inside pramod’s room)

Mini: kaam ho gaya beta?

Pramod: haa bas abhi khatam hogaya

Mini: woh Pramod, mujhe kuch important baat karni hai tumse

Pramod: bolo mom

Mini: tum London q nahi jate beta? Mujhe pata hai yaha kaam karne me tumhe kitni takleef ho rahi hai , beta tumhe life me aage badhna hoga , move on karna hoga, aur kitne din Tak ese dukhi rahoge?
Aur tum yaha concentrate hoke kaam bhi nahi kar paoge, us susheela ki yaadein tumhe bar bar satayegi
I know tum yaha mere aur jai ke liye ruke ho par hum humara khayal rakh sake hai, tum London chale jao beta , yaha se door jaoge to tumhare liye accha hoga

Pramod: par aap mujhe door bhejna q chahte ho mom? Kal signal par susheela ji dikhi isliye to nahi! Aap Ko mujh par bharosa nahi Raha kya?

Mini: ese q baat kar rahe ho pramod? Esi baat nahi hai

Pramod: to phir q me apne papa ka apna khud ka hospital chod ke waha London Jake kaam Karu?
Mera yaha kaam karna jyada jaruri hai aur pls mom mujhpar thoda bharosa rakhiye,
Me feeling ke banane kaam se bhagne wala ladka nahi hu , bahut strong hu mein, apne aap ko sambhal sakta hu yaha rehekar bhi & yaha kaam karna Mera haq hai, isliye main apne haq ko chod Kar yaha se kahi nahi jaunga
Mujhe abhi hospital Jana hai me Aata hu

(He left)

Mini’s pov:
yeh kya tha! Papa ka khud ka hospital, strong, haq!, ye to bilkul susheela ki tarah baat karne laga hai
Ye susheela ab tak uski dil me thi hi ab jaban aur behavior me bhi aagayi hai, me yaha use door bhejne ki koshish kar rahi hu aur wo jyada hi susheela ke paas ja Raha hai
Uske bare me itna sochta hai ki use ye nahi dikha ki me uske comfort, uski bhalai ke liye use London bhejne ki baat kar rahi thi na ki kal susheela ke dikh Jane ki wajah se
Susheela ka wo pehelwan wala attitude, gussa jise mujhe gussa aata tha ab to pramod hi ese banta jaraha hai
    Meri family ko bilkul apni family jesa bana diya hai usne, jese susheela ko uske papa dushman lagte the wse pramod ko ab hum dono uske dushman lagne lage hai
     Susheela ki wajah se mene mere pramod ko kho Diya hai


Pramod in car 

Pramod’s pov: 

(still in anger ) ab samajh aaraha hai susheela ji ka mood har waqt aisa q rehta tha, jab Ghar Wale hi hume samajhte na ho tab peacefully kaise rahe sakte hai

………………

Ranjha Ranjha Kardi ve main aape Ranjha hoyi 

Ranjha Ranjha saddo ni mainu heer na aakho koi

Translation:

I have been chanting the name of Ranjha so much that I myself have become Ranjha

Call me Ranjha because there is nobody with the name Heer hair

The situation of sumod nowadays

Jab susheela hi pramod ban Jaye aur pramod hi susheela ban jaye 
toh kaise koi sumod ko alag kar paye!












    

Turning Page: New Journey Begins (Sumodjiyaras)(Agnimamehil)Where stories live. Discover now