part 21

49 3 0
                                    


*** sk- Pure love ***
  part 21

next day...
kashish jab uthati hai to sujal ko baithe hue hi sota pati hai...use kal ka sab kuchh yad aata hai aur kashish ki aankh fir se bhar jati hai...aur wo rote hue wash room me chali jati hai...

kashish to herself:- kyun bhagwaan ji kyun kiya aapne aisa...lena hi tha to meri jaan le lete par mere bachhe ne kisi ka kya bigada tha...aaj pehli baar maine sujal ko itana toota hua, kamzor aur lachaar paya...unhone pehli baar kuchh manga tha mujhse aur main wo bhi na de payi...(kashish ki rone ki awaaz se sujal ki neend khuli usne apne side pe dekha kashish waha nahi thi phir wo wash room ki taraf bhaga...

sujal;- kashish...darwaja kholo kashish...plzz...(but kashish is crying...)

kashish:- i m sorry sujal...

sujal:- kashish jaan main tumse naraj nahi hun...plzz darwaaja...jo hona tha ab wo laut to nahi sakta na...plzz kashish open the door...humara pya itana kamzor nahi hai kashish...aur ishme tumhari galti nahi hai...yeh sab bhi piyush aur aaditya ka hi kiya dhara hai...(kashish yeh sunte hi fauran darwaaja kholti hai...)

kashish:- matalab??

sujal:- matalab kal tumhe yahan lane ke baad main jab garden me ja raha tha tab meri nazar stairs ki railing pe gayi wahan kuchh oily sa tha...phir maine se achhe se dekha tha...kisi ne wahan se oil saaf kiya tha...par nishaan abhi the...aur railing ke aas paas kuchh oil ke chhete bhi the...

kashish:- iska matalab usne jaan bujhkar mujhe...isliye usne mujhse kaha tha ki mera phone aay hai taki main...

sujal:- haa...i promise u kashish ab main is piyush ko jaan se maar dunga...isne mujhse bachha...aur khud mahan banne ke liye kitani ghatiya baat kahi usne mujhse...

kashish:- kya...kya kaha?

sujal usne mujhse kaha ki...piyush:- sujal...sujal listen...sujal meri baat to suno...(Sujal stops) actually sujal mujhe tumhe kuchh batana hai...actually i reallly dont know yeh sach hai ya mera bharam par...sujal tumhari kashish tumhare bachhe ko sambhal tak nahi payi kitani care less hai wo...actuallly na sujal wo sayad bachha chahti hi nahi thi isiliye usne sayad janbhujh kar...ab dekho na wo itani khubsurat hai aur bachha paida hone ke baad kaha uska figure waisa nahi rehta isiliye sayad...sochana sujal...

kashish:- kya...sujal kahin aapko bhi to...

sujal(shouts):- pagal ho gayi ho kya...mujhe piyush samajh rakha hai?...aise baat dubaramuh se nikali na to ek jhaapad marunga...samjhi...(kashish crying)kashish meri taraf dekho...mana ki main kal toot gaya tha...is liye kuchh nahi keh raha tha...par iska matalab yeh to nahi na ki main tumhara dard nahi samajhta hun...i promise u kashish bas kuchh din aur inhe inke kiye jarur milegi...hum deinge...

kashish:- par sujal humara bachha...woh to laut kar nahi aayega...

sujal:- kisne kaha nahi ayega...ayega kashish...jarur aayega...kismat se jayad aur samay se pehle kisi ko kuchh nahi milta kashish...tum yeh samjho...abhi uske aane ka waqt nahi tha...aur abhi humari kismat me wo nahi tha...ab plzz be my strong kashish...main tumhe aise nahi dekh sakta...

kashish:- aur aapne kabhi socha jab maine kal aapko us haal me dekha tha to mujhe kitani takleef hui rahi hogi...main bhi aapko aise nahi dekh sakti sujal...

sujal:- haan kashish ab hum dono hi aur strong baneinge...humein abhi in dono se humare bachhe ki maut ka badla lena hai...(both hug)

kashish in her mind:- ha sujal aapne sahi kaha...ab to tu gaya piyush...tune mujhse mera bachha chheena hai aur ab main tujhse teri aakhiri khushi aakhiri hasi tak chheen lungi...tu chain se mar bhi nahi payega...par tujhe maut bhi main hi dungi...aur agar main aisa nahi kiya to mera naam bhi Kashish Sujal Garewaal nahi...

PURE LOVE ~ Sujal Kashish~ FanfictionWhere stories live. Discover now