CHAPTER 6 ~ ❤️ !!

866 152 7
                                        

Cheetah Vivek aur haseena Ghar pauchte hai.... Aur sadhna teeno ko fresh hone k liye bolte hai... Aur teeno fresh hone chale jate hai... Thodi der baad teeno fresh ho kar aate hai lunch karne k liye baithe jate hai...

Santosh sadhna aur Karishma mil kar sab ko Khana serve karte hai... Tabhi sadhna halwa lete hai aur haseena se bolte hai...

Sadhna: Haseena bhaiya jara aap yeh halwa try kar ke baatye to Kaisa hai...

Sadhna jaise yeh bolte hai Karishma sadhna ko dekhte hai.... Karishma sadhna se bolte hai...

Karishma: Bhabhi nhi please....

Vivek: Kya huwa...

Santosh: wo kya hai na Vivek bhaiya aaj humare Kitne kehene par Karishma Di ne haseena bhaiya ka man Pasand halwa banaya hai..

Sikha: Aur ab khila se dar rahe hai... Bol rahe hai ki aacha nhi bana hai...

Cheetah: Ab aacha bana hai ki nhi Iska decision to haseena bhaiya hi baatyenge...

Anand: Aap halwa serve kigye...

Sab Karishma ko force kar bolte hai ki haseena ko halwa serve kare kahe kar... Cheetah aapna camera nikal ta hai aur recording start karta hai... Karishma halwa lekar haseena k pass aate hai aur haseena ko serve karte hai...

Sab haseena ko hi dekh rahe the... Haseena halwa khate hai aur Santosh bolte hai...

Santosh: Kaisa hai...

Haseena: Aacha hai...

Santosh: Aacha ki bhaut aacha bhaiya...

Haseena: Bhaut aacha hai...

Cheetah: To aur ligye na...

Haseena: Leta Hoon...

Anand: Leta Hoon Kya bhaiya yeh ligye...

Anand itna bol Karishma se halwa ka bowl lete hai aur Sara halwa haseena ko serve kar dete hai.... Karishma ko chor sab hasne lagte hai... And for Karishma shock Haseena Pura halwa kha jate hai.... Sab khule muh haseena ko dekh rahe the yeh dekh haseena bolte hai...

Haseena: Kya aap sab mujhe aise Kyu dekh rahe hai...

Sikha: Bhaiya aapne itna Sara halwa akele kha Liya...

Cheetah: Like seriously HASEENA MALIK ne itna Sara halwa kha Liya...

Santosh: Jo kabhi bhi sweets nhi khate the wo aaj itna halwa kha Liya...

Anand: Aap ki diet ka Kya huwa bhaiya...

Haseena sab ki question se pareshan ho jate hai... Aur bolte hai...

Haseena: Mere Marzi main jitna bhi khau aap sab ko kyaa...

Haseena gusse me bolte hai aur waha se chale jate hai.... Sab sad ho jate hai as aaj pahle bar haseena ne itna gussa Kiya tha... Yeh dekh Vivek Bolta hai...

Vivek: Udas mat ho ko... Tum logo ki hi galti hai itna sawal Kon karta hai...

Sadhna: Aur nahi to kyaa... Aaj pahle bar Karishma ne bhaiya k liye halwa banaya tha aur unhe Pasand aaya to unhone kha Liya Sab...

Sab smile karte hai aur nod karte hai... Iss pure time Karishma shant the... Aur man me soch rahe the...

Karishma in mind: Halwa Sach me Aacha bana tha ki halwa me kuch gadbad the iseliye haseena ne sab kha Liya Taki Kisi ko kuch pata na chale...

Sab aapne me baate kar rahe the aur Karishma aapne soch me busy the....
Sab lunch finish karte hai aur ghumne Jane k liye ready ho jate hai...

__

Forever In Love Ft. Kareena !! ( Completed )Stories to obsess over. Discover now