Jaise School ke Yaar...

644 56 8
                                    

Shayad aab aap dono ko andaaza hua hoga, ki hum subah kya bhulne ki baat kar rahe the...
(But, KS and HM still couldn't figure it out exactly)

Baaki sab, chaliye kaam pe lagiye, Cheeta Santu hume kuch cases mein tumhari madad lagegi, humare saath aao dono.

PJ: Humari Hazratganj mein duty hain, hum aate hain. (BS nodded)
Jai Hind Madam Sir, Jai Hind Karishma madam.

HM-KS: Ji, Jai Hind Pushpa ji.

BS: Aap dono apna kaam kar sakti hain, bina kaano se haath hataye!

SS- Lekin Madam mera ek sawal hain. Aap kaho toh puchu? (Innocently)

BS: Haan. Bolo, iss mein puchna kya hain...

SS: Nahi woh aap keheti hain na aapko zayada sawaal pasand nahi hain, toh maine socha...

(HM signs Santu, to stop with her eyes)

(Santu understands and continues)

Nahi...aa...sorry madam main bas yeh puchna chahti thi, Agar yeh dono kaano pe se haath nahi hatayenge toh yeh kaam kaise karenge? Jaise File sign karna, file nikalna...

CC- Wah, wah Santu ji wah!
Kya dimag paaya hain aapne, jo koi nahi soch paaya woh soch li aap...aap

(Receives a glare from BS)

BJ: Chup ho jaa Nithalle warna tu bhi gaya aaj...

CC- Humare kehene ka matlab hain, baat toh sahi hain na madam.
(With his heart beating with real Cheetah's speed)

BS: Aaj dono ki Duty 8 baje khatam hone waali hai , abhi 7:15 ho rahe hain, sign karne ka kaam duty ke baad bhi ho sakta hain, aur rahi baat files nikalne ki, toh uske liye yeh Billu hain na...

To Billu: Billu tum inki madad karoge, jaise laptop kholne mein yaa case file nikalne mein.

Aap dono bohot saare pending cases hain, unki study kar sakti hain, madam.
I hope aap dono ko koi aitraaz nahi hain?!

HM: Nahi, nahi madam bilkul nahi hain. (Nodding her head negatively)

KS: Ji, ji madam hum kar lenge. Abb toh Billa bhi hain madad ke liye. Ho jaayega sab.

.....

Billu: Iss thane ke Only Important Person ko inhone, kya bana daala...
Billu the Spy,
Yeh kya ho gaya tere saath bhaae (bhai) !

(Whispering to himself)

.....

BS: Ji theek hain. Chalo Cheeta Santu.

CC-SS: Aaye madam.

(Went giving one last look to their seniors who looked no less than cute little school kids)
....

Hall

KS: Bille tum jaao jaake Badnaam ka zeher leke aao... jaao.

BJ: Ji Madam, abhi laata hu.

KS after being assured Billu left turned towards Maddam sir.
.
.
.
KS: Yeh kya hain Maddam sir?
(Moving her hands without leaving ears, trying to show the state they are standing in)

HM: Yahi hain jo hain, hume toh waise bhi aadat hain Karishma Singh... training ke dino mein hume har week yeh saza toh complimentary milti thi.
(Lightly Laughs, trying to lighten the mood)

Kya kare Masti bhi toh karte the hum.
(Raising her right eyebrow)

KS: Hume bhi Maddam sir, lekin tab ki aur aaj ki baat mein antar hain... sochiye koi aa gaya aur aise dekh liya toh?
(Being little tensed)

HM: Tab toh fir hum dono ki image ka kya keheti hain aap apni language mein...c...ch...churan haan, churan ho jaayega.
Dua kijiye ki yeh 40 min mein koi naa aaye.
(Raising her eyebrows)

KS: Aur kar bhi kya sakte hain...dekhte hain!
Hume ek case ki study karni hain hum aate hain maddam sir.

HM: Ji KS hum bhi aaj apne bache hue official mails padh lete hain.
(After few seconds, looks at KS and continues..)
Karishma Singh, kya aap bhi vahi soch rahi hain jo hum soch rahe hain?

KS: Lagta toh vahi hain Maddam sir, par pehele aap bataiye...

MS: Umm...
Accha theek hain, hum yeh soch rahe the ki dost toh hum dono hain hi... aur

KS: Aaj saath mein aise khade hokar lag raha hain, Jaise School ke Yaar ho, hain na ?! (Laughs)

HM: Exactly! (Laughs)
.
.
.
BS watches both of them from Gym room's window , together giggling, seeing them like this, somewhere soothes her heart with peace and satisfaction!

"Aap dono aise hi saath raho. Hum jaante hain, bhale hi tareeke alag hain, lekin saath milkar aap dono kisi bhi situation ko aasaan bana deti hain." she thinks.

In hall,

Both, took a deep breath, smiled at each other with a feeling of newness this experience brought to their lives, and went for their respective work.

•••

It's not the situation we are in, but our reaction that  actually defines it.
Enjoy everything that life is throwing at you, feel it and learn a lesson from it. ✨

Everything comes for a reason. 🌷

Let's see how this incident brings out new emotions to their bonds.

Stay tuned!

Thank you! 🌻

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now