New Task!

459 44 4
                                    


Disclaimer: This is a work of fiction. Unless otherwise indicated, all the names, characters, businesses, places, events and incidents in this book are either the product of the author’s imagination or used in a fictitious manner. Any resemblance to actual persons, living or dead, or actual events is purely coincidental.

....

KG: Karan Gupta
VG: Vikas Gupta
....

Haseena and Karishma reached headquarters.
.
.
.
HM: Andar aa sakte hain sir?
(Standing at DSP's cabin door and knocking)

DSP: Ji aaiye, aap dono.

HM-KS: Jai Hind Sir! (Saluting)

DSP: Jai Hind. Inse miliye yeh hain Major Karan Gupta.

HM-KS: Jai Hind Sir!

KG: Aree, nahi-nahi aapko hume salute karne ki zaroorat nahi hain. Hum Army mein Major the, abb retire ho gaye hain.

KS: Kaa baat kar rahe hain Sir, ek Fauji hamesha Fauji hi reheta hain, aur yeh salute toh humara Dil se hain sir, aapki nisvarth desh seva ke liye.

HM: Bilkul sahi kaha aapne Karishma Singh. Woh kehete hain na sir, "A Soldier Never retires".
Aap se toh hume aur zayada motivation aur inspiration milti hain sir, aapne desh ke liye kuch kar guzarne ke liye. (Smiling)

KG: Bohot naam sunna tha humne aap dono ka, aur aapke MPT ka. Aaj aap se milkar hume yakeen ho gaya hain ki jab tak aap jaise police officers iss desh mein hain, issi mitti ka koi kuch bhi nahi bigaad sakta. (With a proud smile)

HM-KS: Dhanyawad Sir. (Happily)
.
.
.
DSP: Hum sab jaante hain!!
Humne aap dono ko yaha yeh batane bulaya hain ki Sir (KG) ka betaVikas Gupta, bohot bade businessman hain, aur woh London se kal aayenge. Toh unki protection ki duty hum aap dono ko dete hain.

HM-KS : Ji Sir. (Professionally)

DSP: Lekin unki iccha hain ki woh police station ke work functions janana chahte hain. Toh aap dono unhe apne saath MPT lejayengi aur lagbhag 1 hafte ke liye unhe thane ki kary sheli se avagat karwayengi.

(HM and KS looks confusingly at each other)
.
.
.
KG: I know aap soch rahi hain ki aisa kaise ho sakta hain. Lekin humara beta London mein kuch hi mahino ke liye raha hain, vaha uska ek dost hain uske saath business partner bankar. Lekin aab uski iccha hain ki woh wapas India aakar UPSC ki exam de.

HM-KS Nods, understanding the reason.

KG: (continues) Toh humne usse kaha ki pehele tum police ke functions dekh lo, usse samjh lo, fir hi koi decision lena. London jitna aasaan nahi hoga yeh kaam.

HM: Maaf kijiyega sir, beech mein bolne ke liye, lekin aapke bete ko UPSC yaani IAS/IPS/IFS ki taiyari karni hain, aur aap unhe ek Police Thane ke baare mein jaane keh rahe hain?

KG: Ji, janate hain dono ka way of functioning alag hain. Lekin hum chahte hain ki woh thane ke baare mein pehele jaane.
Usse pata hona chahiye ki basic cheeze kaise aur kaha se shuru hoti hain.
IPS/IAS ki training aur workings toh woh LBSNAA jaake seekh jaayega.

....

(Note: Lal Bahadur Shastri National Academy of Administration (LBSNAA) , Mussoorie is a premier training institution for the civil services in India.)

....

KG: Humara maana hain ki kisi bhi higher position pe hone ka matlab yeh nahi ki aap apne juniors ke kaam aur unke efforts ki koi value naa kare. Hume humesha, seekhne ki iccha aur har kisi ke kaam ke prati kritagya (grateful) hona chahiye.

Discovering the Bonds! Where stories live. Discover now