Meerab and Murtasim coming downstairs to take the breakfast.
Murtasim sitting on the chair and gossiping with Hadi.
Meerab serves him.Haya comes there and want sit next to Murtasim.
Hadi stop her and said;
Hadi:Waha kaha beith rahi ho?Woh jaga Bhabi ka hai tumhara nahi.
Haya:Mein to bas aise hi.
Murtasim:Kaise baat leke beith gaye ho Hadi.
Hadi:Sab ko apni had pata honi chahiye bhai.Warna log apni aukad bhul jate hai.
Murtasim:Aab bas.Baat karte karte yeh nahi bhulni chahiye humari lafzon ke wajah se kisi ko takleef bhi ho sakta hai.Zara si baat ka batangar nahi banana chahiye.Nasta karo.Meerab,aap bhi beith jaiye.Meerab takes her seat and looking at Haya.
In the room.
Meerab wearing the coat to Murtasim and he holds her.
Murtasim:Aap se pura din dur rehna Mujhe zara bhi Accha nahi lagta Meerab.
Meerab:Kam hai jana to padega hi.Is gaddi pe hai aap.Kitni sari zimmedari hai sad.
Murtasim:Yehi to nahi pasand Lekin na chahte hui bhi sari zimmedari nibhani pad rahi hai Mujhe.Kismat ne Mujhe yaha ki hukmaran bana diya.Yeh gaddi pe beithna jitna asan hai na utna hi mushkil is gadde ki zimmedari nibhani hai.Pata nahi kaise kaise faisla lena padta hai yaha beith ke.Mujhe to pata bhi nahi hota mein sahi faisla leta hu yaa galat.Allah Mujhe sahi faisla lene ki taufik de Aur sahi rasta dikhai.
Meerab:Jo har mamle mein Allah se madad mangte hai na unki madad Allah jarur karte hai.Mujhe Yakeen hai aap kabhi galat faisla nahi kar sakte.Aap se kabhi na insafi nahi hogi.
Murtasim:Dua karna mere liye taki mein insaaf ke raah mein tike reh saku.Khair chalta hu Allah Hafiz.Murtasim put a kiss on her forehead and left.
After Murtasim left,Meerab is thinking how the all letters disappear from the room when she hides in secret place.If anyone always following her?Who can be behind all of this?Meerab don't know how to find out?
Meerab goes to Haya's room.She was reading some books and she gets scared to see her;
Meerab:Tum humesha aise ghabrai hui kyun rehte ho?
Haya:Kyun ki mere kamre mein koi jyada aata jata nahi hai is liye Achanak aap ko dekke chok gayi Aur koi baat nahi.Meerab takes her book and said;
Meerab:Scientific book pad rahi ho.Interesting!
Haya:Mujhe kitab padna Accha lagta hai.
Meerab:To Phir padai kyun chod di?
Haya:Maan nahi tha.
Meerab:Fail hone ki wajah kiya thi?
Haya:Padai pe dyan nahi tha to fail hi to karungi.Yeh kaisa sawal hua.
Meerab:Logo ki muh se suni tum humesha kisi gehri soch mein ghum rehte ho.Kisi baat ka pareshani hai kiya?
Haya:Ji nahi apne kuch galat sun liya hoga.
Meerab:Kisi baat ki koi pareshani hai to bejhijak batau Mujhe.Shayed mein tumhari koi madad aa saku.Batau Haya.Meerab noticed suddenly her facial expression getting changed and she watched someone.Meerab turned around but didn't find anyone.
Haya:Maine kaha na Bilkul thik hu mein.Kyun pareshaan kar rahi hai aap Mujhe?Please jai aap yaha se.Mujhe akela chod de please.
Meerab left from there and coming out from the room she finds who can be there.But she didn't find anybody.
Meerab coming to the garden and thinks something must be fishy here.Is actually someone behind the mask or Haya plotting something?
Hadi comes there and gives coffee to Meerab.
Hadi:Pike dekhe.Aap bhi yaad rakhenge coffee aap ki ek laute devar ne banai the.
Meerab sipping on coffee and said;
Meerab:Wakai bohot acche bane hai.
Hadi:Bhabi.
Meerab:Hmm.
Hadi:Hume kabhi apni jaga chodni nahi chahiye Warna logo ko mauka mil jayega humse woh chinne ki.
Meerab:Kon kiya chin sakta hai Hadi bhai?Aur mein Yakeen rakhti hu koi kisi ka kismat kabhi nahi chin sakta.
Hadi:Lekin log to nazre bichai beithe hai woh chinne ki.Woh har mumkin koshish karenge Bhabi.Bebasi ka natak karenge.Bholepan ka mukhota pehen ke pit pise war karenge.Aap samjhenge dost hai woh mera Lekin asal mein dushman aap ka wohi hai.
Meerab:Aur woh kon karega Hadi bhai?Haya karegi?Hadi laughed and said;
Hadi:Kaha tha na aap bohot samajdar hai.Aap ke liye to ishara hi kafi tha.Mera kam tha aap ko agha karna.Aab zara samhal ke rehna.
Hadi left from there and Meerab is in deep thinking.
Is Hadi sending her all the letters?Is he the well wisher of her?
So who hides the all letters?Is it Haya?Is She wants to snatch the status from her?Is she behind the mask and wants to gets Murtasim?
Meerab didn't find any clue.
Meerab comes to the room and see Haya is there.She shocked to see her;
Meerab:Yaha kiya kar rahi ho tum?
Haya:Ji kuch bhi to nahi.
Meerab:Mere aane se Pehle Kuch to kar rahi thi.Bolo Haya.
Haya:Ji woh Bhabi Maa begum ne bhai ke kapre dene ko bola tha wohi dene aayi thi.
Meerab:Lekin kapre to humesha mulazma leke deti hai.To Aaj takalluf tumne kyun ki?
Haya:Mujhe kaha gaya hai is liye.Aap ko pasand na aaye to mein is kamre mein kabhi nahi ayungi.
Meerab:Aisi koi baat nahi.
Haya:Mein aati hu.
Meerab:Thik hai.Haya left from there and Meerab looks at her departure.
Author's note:Do you have any guesses about who is behind the mask and who is plotting all of this.
YOU ARE READING
𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀
FanfictionCharacter from the drama but plot belongs to me Ranking on #1 out of 1000 stories of Pakistan.