FIFTEEN

1.2K 71 17
                                    

In the Night.

Hadi comes to Haya and said;

Hadi:Kya Bakwas ki meri pyari Bhabi se?
Haya:(with scariness) Maine kuch nahi kaha.
Hadi:Dhamkake gayi hai woh aaj Aur keh rahi thi mere ulti ginti shuru.Lekin woh bhi Mujhe janti nahi hai Hadi Khan hu.Mujhe sab ke samne be naqab karna itna asan nahi hai.Aur nahi koi mujh pe ungli uthaiga.Ghum Phir ke sara ilzam tum dono pe ayega.Aur mein bhi keh dunga woh mere piche padi hui hai isliye apni irade pe kamiyab nahi hone ki wajah se mere kirdar pe ungli utha rahi hai.
Haya:Tum aisa kuch nahi karoge.
Hadi:Karunga mein aisa.Tum dekhna bas.Lekin aab yeh sab chodo.Mera entertainment ka waqt hai.Chalo mera entertainment karo.

Hadi holds her tight and Haya pushed him away.

Hadi:Itni himmat Mujhe dhakka deti hai.Bohot himmat aa gayi.Aab dekh mein kiya karta hu.

Hadi wants to snatch her dupatta but someone holds his hand and Hadi turned around and see it's Meerab.

Hadi:Bhabi.
Meerab:Kaha tha na chupe hui dushman ki ulti ginti shuru.Tumhara waqt bhi khatam hua.Bohot kar liya zulm aab bas.
Hadi:Bhabi aap Mujhe galat samaj rahi hai.Mein to Haya ko samjha raha tha ki murtasim bhai ka picha chod de.Woh aap ki jaga lene ki koshish kar rahi hai.

Meerab gives him a tight slap and said;

Meerab:Uski sad se chadar kinch kar tum use samjha rahe the.Bewokuf samaj rakha hai Mujhe.Kya lagta hai tumhari bade mein Kuch janti nahi hu.Apni ankhon se dekha hai maine kiya karte ho tum har raat Haya ki kamre mein aake.
Hadi:Pata laga ke bhi konsa tir mar diya.Aab kiya karoge?Mujhe saza dogi Meerab Bhabi.

Hadi laughing hard and Meerab feels disgusting.

Hadi:Kon Yakeen karega is baat pe.Khamakha ke kichar uchlega Haya ki daman pe.Sari Galti iski mani jayegi.Mein to aise ki aise hi reh jaunga.Lekin tum is ghar se nikal di jaugi yeh pakka hai.Tumhe lagta hai Mujh par ilzam lagaoge aur mera bhai tumhe is ghar mein bardast karenge.Aisa nahi hoga Murtasim bhai mujhse pyar bohot karte hai.To bhai Aur biwi mein se woh bhai ko chunenge aur yeh mein tumhe likkhe de sakta hu.To yeh sab chodo Aur is baat ko yehi khatam kardo.Fiqr nahi karo badle mein tumhe bhi khush kar dunga.

Hadi winks at Meerab and she split on his face.

Hadi gets angered and wants to raise his hand on her.But Meerab holds his hand and pulled him out and called everyone in the loud tone.

Everyone comes there and Murtasim asked;

Murtasim:Kiya hua Meerab?
Meerab:Murtasim woh...
Hadi:Bhabi ko pata nahi kiya ho gaya hai bhai?Ajeebegari baten kar rahi hai.Pata nahi kaise kaise baat kar rahi hai mujhse.
Meerab:Chup ek dam chup.Ek Bakwas Aur ki na to Anjaam Accha nahi hoga.
Murtasim:Koi Mujhe bataiga yaha ho kya raha hai.
Maa begum:Kuch nahi.Meerab bas.Jau apne kamre mein.
Meerab:Aaj aap Mujhe chup nahi kara sakte.Sach to samne aake rahegi.
Murtasim:Konsa Sach?
Maa begum:Tumhari biwi ka dimag kharab ho gaya hai.Leke jau ise kamre mein.
Meerab:Janna chahte hai na sach Murtasim.To suniye...
Maa begum:Meerab bas karo.
Meerab:Aaj mein bas nahi karungi.Jo bolna hai bolke rahungi.Murtasim Aap ka yeh Bhai Hadi insaan nahi hai dharinda hai.14 Saal ki umar se yeh Haya ke sath zaidti karte aaya hai.Sexual abuse ka shikar hai woh.

Haya closed her eyes and Murtasim gives a shocking expression and can't believe what he heard now.

Hadi:Jhoth bol rahi hai bhabi.Mein bhala ghar ki ladki ke sath aisa kyun karungi.Haya Bilkul choti behen ki tarha hai mere liye.Bhai behen ki rishten pe kichar maat lagaiye bhabi.Akhir kya dushmani hai aap ko mujhse.
Meerab:Bhai behen ki rishten ka samaj bhi hai tumhe.Behen mante ho use?To adhi raat ko behen ki kamre mein kiya karne jate ho woh bhi zara batau sab ko.
Hadi:Woh mein to bas.....
Meerab:Woh mein to bas kiya.Aab bolti band ho gayi.Kuch nahi bolna Januwar kahi ka.Aur Aap maa begum sab Kuch jante hui bhi chup thi.Kyun ghar izzat nilam na ho jai.Lekin us ladki ki zara Parwah nahi hui ki jo pata nahi kitne din kitne salo se zurm bardast kar rahi hai.Ek ladki ki izzat se jyada kimti tha aap liye ghar ki izzat thi.Are izzat jai bhad mein aap ko to us waqt is dharinda ka hath tod dena chahiye tha taki iski badti hui hath ruk jai.Lekin aap ne aisa kuch nahi kiya.Ek aurat hoke dusri aurat ke sath yeh zaidti hone diya.Jitna gunhegar Hadi hai utna hi gunhegar aap bhi hai.Yeh zulm karta gaya Aur aap use woh karne diya.Mujhe bada ghamand tha mao ko leke Mujhe lagta tha maa kabhi bacchon ke sath bura nahi hone deti.Chahe woh unki sagi aulad ho yaa kisi Aur ki.Ma to ma hoti hai Aur uske liye sare bacche ek jaise.Lekin aap ne meri woh Galatfehmi tod diya.Mujhe galat sabit kiya Aur Mujhe samaj aaya Kuch maye aisi bhi hoti hai.Jo ghar ke mard ki Galti chupa ke aurat ko kehti hai chup raho.
Maa begum:Ghar ki izzat Aur mashre pe apni jaga barkarar rakhne ke liye bohot qurbaniyan deni padti hai.Agar yeh Baat bahar jai to pata hai kiya hoga.Hadi ko koi kuch nahi bolega sare ilzam Haya pe ayegi.Kisi ke age muh dikhane ki qabil nahi rahegi.
Meerab:Agar nasl beto se aage badta hai to ghar ki izzat ke thikedar hum beti kyun hote hai.Beta chahe sath khoon bhi kar de to woh maf ho jata hai.Aur humare sath galat bhi ho to chup reh jao taki ghar ki izzat pe baat na ay.Kamal ki soch hai bhai! Lekin is baar mein kisi ko chup nahi karane dungi.Saza to iska ibratnak hoga.
Maa begum:Ise saza de ke Haya ki izzat wapas aa jayegi?Nahi na.Agar yeh baat bahar jayegi to ise koi shaadi bhi nahi karega.Is liye mera manna hai Hadi Aur Haya ki shaadi kar diya jai.

Meerab is getting shocked and looked at Murtasim and he still on shocked.

Maa begum:Yeh baat yehi khatam karo.Ghar ki Baat ghar mein hi reh jai to behtar hai.Jau sab apne apne kamre mein.Aur is bade mein Aur koi Baat nahi.

Hadi smirked at Meerab.

Author's note:It's our society's toxicity that when they find out their daughter is victims of abuse,They told their daughter to keep quiet rather than giving a tight punishment to the abusers.And At that time a lot of disgust is felt when the oppressor asks to marry the victim.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now