Hadi:Bhai aap bhi pata nahi kis ki baton pe aa gayi hai.Tayar to hu use shaadi ke liye.
Murtasim punch on his face and hold his collar and said;
Murtasim:Pata nahi tha jise chota bhai samaj kar dilo mein jaga di thi woh asal mein ek astin ka sanp hai.Tujhe agar januwar kahu to Phir bhi un januwar ki bhi be izzati hogi.Kyun ki januwar bhi aise harqat nahi karta.Itna nich Aur gire hui harqat karne se Pehle zara bhi tere zamir ne Tujhe nahi ruka.Jab yeh takleef mein tere age girgirai us waqt bhi tera dil nahi pigla.Kis kisam ki insaan hai tu.Tu to januwar se bhi badtar hai.Mere ghar mein koi muzrim ki jaga nahi hogi.
Hadi holds Murtasim's leg and said;
Hadi:Bhai Galti ho gaya Mujhse.Is dafa maf kar de.Wada karta hu kabhi dobara aisa nahi hoga.
Murtasim takes him on the feet of Haya and said;
Murtasim:Tera jo fitrat hai na tu kabhi sudharnewala to hai nahi.Aab yeh magarmas ki ansu maat nikal.Saza Tujhe milke rahega.Aur Waise bhi zurm ki koi mafi nahi hoti kas kar ke aurat ki izzat lutnewale ki.Mafi mang Haya se Aur dafa ho ja yaha se.Inspecter lee jai is bad Bakht ko yaha se.
Hadi:Maf kardo Haya Aur bachalo Mujhe.
Meerab:Aab Haya kyun tumhe bachai tumhe to bada ghamand tha ki koi tumhara Kuch nahi bigad sakta.Hadi can't able to meet his eyes with Meerab.
Maa begum:Mante hai iska zurm bada hai Lekin ghar ki izzat ke bade mein to socho.Agar yeh Baat bahar pata chale to Haya ka kya hoga.Waise bhi yateem hai.Agar is sacchai ka ilm sab ko ho jai to koi shaadi bhi nahi karega.Maat uchalo ghar ki izzat.
Meerab feels irritated with Maa begum's words.
Murtasim:Bas kijiye maa.Aab bas.Aap ki ghar ki izzat ki chakkar mein ek ladki qurban ho gayi Aur aap ko fadak bhi nahi pada.Maa hai na aap to sare bacche ek jaise kyun nahi dekhe aap ne.Agar aap us waqt Hadi ko ruk leti to baat aaj yaha tak nahi aata.Aap kaise chup reh gayi.Aap bhi aurat hai na?Kaise yeh na insafi ko bardast kiya.Aap ki wajah se aaj Baat yaha tak aayi.Haya ki halat ke Zimmedar jitna Hadi hai utna aap bhi hai.Dono ke zurm ek barabar hai.Aur ghar ke izzat ke jap na jape to behtar hai.Ghar insaan se bante hai agar woh na rahe to izzat ka karenge kya.
Maa begum lower her gaze and police put handcuffs on Hadi's hand.
Hadi said Murtasim to stop the police but he didn't listen.
Right then Anwar khan returned from the village and shocked to see all of these.
Anwar:Yeh kiya ho raha hai?Aur mere bete ko kaha lee ja rahe hai aap log.
Hadi gets hopes after sees his father.
Police:Hadi khan ke khilaf rape ki charges lage hai.
Anwar:Kiya?Kisne kiya hai yeh?
Murtasim:Maine kiya hai Chachajan.Aur aap ko pata hai yeh sab kiske sath hua hai.Haya ke sath.Pisle kahi salo se woh ladki iski wehsipan ka shikar hai.Anwar Khan gives a shocking expression.
Hadi:Baba Galti ho gaya mujhse.Aur yeh Haya bhi koi dud ki dhuli nahi hai.Isne hi Mujhe Pehle ishara kiya Phir mujhse yeh Galti hui.
Haya:Jhoth bol raha hai yeh.Anwar Khan gives him a tight slap and said;
Anwar:Sharam aa raha hai Tujhe apna beta kehte hui.Maine bete ko nahi ek januwar ko paida kiya hai.Accha hua aaj teri maa zinda nahi Warna woh to yeh dekke hi mar jati.Itna be gairat kaise ho gaya tu.Tu ek ladki ko apne hawas ka shikar banaya.Aur hum mein se kisi ko pata bhi nahi chala.
Murtasim:Maa ko sab pata tha Phir bhi woh chup thi.Kyun ki unhe dar tha ghar ki izzat na nilam ho jai.Anwar Khan comes to Maa begum and said;
Anwar:Ghar ki izzat beti ki izzat se badke to nahi hai.Maine apni bete ki zimmedari aap par yeh soch kar sonpa tha ki aap use sahi tarbiyat denge Lekin afsos Bhabi begum na aap use aurat ki izzat karna sikha payi Aur nahi uski Galti pe saza dena.Kash mein aaj be aulad hota to Shayed yeh zillat na uthana padta.Aise beta hone se na hona hi behtar hai.Mujhe kisi ke age muh dikhane ka qabil bhi nahi choda bad bakht ne.Inspecter saab lee jai ise mere nazron ke samne se.
Police take him away and Anwar khan comes to Haya and folded his hand and said;
Anwar:Maf kardo beta.Agar Mujhe pata hota to tumhare sath yeh zulm kabhi nahi hota.Maine beta paida to kar liya Lekin use insaan nahi bana paya Aur is baat ka afsos Mujhe marte dam tak rahegi.
Haya holds his hand and said;
Haya:Is mein aap ki koi Galti nahi hai mamu.Aap sharminda maat ho.(Looking at Meerab)Thank you bhabi.
Meerab hugs her tight.
Murtasim:Qasurwar hum sab hai Haya.Ghar mein bhi hum tumhe hifajat na kar sake.Pata nahi tha ki insaan ke bhir mein bheriyan bhi rehta hai.Aur Kuch logo ne usko sab se chupake bhi rakha.Bhai mante the Mujhe Lekin bhai hone ka na farz nibha saka Aur nahi tumhe hifajat kar saka.
Anwar:Agar mere samne yeh Pehle aata to use usi waqt goli mar deta.Lekin fiqr nahi karo.Hum sab hai tumhare sath.Aap tumhe kisi se bhi darne ki zarorat nahi hai.
Meerab:Bekhauf Aur azad hoke jio.Apne liye jio Aur bohot khush raho.Haya smiles.
Author's note:How you like the chapter?Please let me know.
YOU ARE READING
𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀
FanfictionCharacter from the drama but plot belongs to me Ranking on #1 out of 1000 stories of Pakistan.