SIXTEEN

1.3K 77 18
                                    

Meerab feels disgusting to heard the marriage idea.

Maa begum:Murtasim tum aao mere sath.Kuch baat karni hai tumse.
Murtasim:Maa Mujhe thodi der ke liye akela chod de.
Maa begum:Reh lena akela Pehle suno Meri baat.

Maa begum forcefully take him with her.

Hadi go to his room.Haya also left from there.

Only Meerab stand alone in there.

In Haya's room.

Meerab sit next to her and don't know what to say.

Haya:Pata tha Mujhe agar yeh Baat samne aa bhi jai to koi faida nahi hoga.Dekh liya aap ne?
Meerab:Maa begum aise faisla kaise lee sakti hai.Un jaise maa jab aise dharinde ko bachane koshish karte hai na to unhe Aur barava milta hai.Khushfehmi ho jati woh log chahe Kuch bhi karle sara ilzam ladki ki sad ayega.Woh log chahe Kuch bhi karle koi kuch nahi bolega akhir mard jo hai.Bina kisi Galti ke muh ladki ko chupana padta hai zamane se Lekin zurm karnewalo ko koi kuch nahi kehta.Yeh mashra Aisa kyun hai.
Haya:Aab aisa hi ho raha hai mere sath.Bina Galti ke umar bhar saza pane jaa rahi hu.Har raat jab us aziyat se guzarti thi tab sochti thi in sab ka khatma bhi to kabhi na kabhi hoga.Lekin meri kismat itni acchi kaha.Aab to yeh Zindegi bhar chalta rahega.Pehle to chup chup ke qarib aata tha aab khule aam qarib aane ka license hoga uske pas.Mijaj e khuda hoga mera.Jo woh kahega sahi ho yaa galat Mujhe manna padega.Meri is takleef ka koi khatma nahi hai Bhabi.Aap chah kar bhi maa begum ki faisle nahi badal payenge.

Haya cried.

Meerab:Tumhe lagta hai mein us januwar ke sath tumhari shaadi hone dungi?Nahi Haya.Chahe kuch bhi ho jai Aur Mujhe kaisa bhi kimat kyun nahi chukani pade mein yeh shaadi hargiz hone nahi dungi.Tumhe Zindegi bhar uske sath tadapne nahi dungi.Tumhe bhi pura haq hai apni Zindegi jine ki Aur apni marzi se shaadi karne ki.
Haya:Aap ko lagta hai mujh jaisi ladki se koi shaadi karega.
Meerab:Kyun nahi karega?Duniya sab ki soch ghatiya nahi hota.Kuch acche log bhi hote hai jo yeh samajte hai rape yaa abuse mein ladki ki Galti nahi hoti.
Haya:Zamana to yehi manega Galti meri thi.Mujhe samhal ke rehna chahiye tha.
Meerab:14 saal ki umar mein jab tumhare sath yeh Pehli baar hua tha to tumhe us waqt kisi chij ki samaj thi jo samhal ke chaloge.Galti agar hai to Hadi ki jo ghar ki ladki pe ganda nazar dala.Galti maa begum ki hai jo sab Kuch jante hui bhi chup thi.Tumhari koi Galti nahi hai Haya.Is mein koi bhi ladki ki Galti nahi hoti.Yeh Baat aaj ke baad kabhi maat kehna.Aur ek baat mere hote hui tumhari shaadi kabhi bhi Hadi ke sath nahi hogi.Mein aisa hone nahi dungi.

Haya hugs her tight.

Meerab comes to the room and see Murtasim sitting on the sofa.

Meerab put her hand on his shoulder and said;

Meerab:Mana liya Maa begum ne aap ko shaadi ke liye.
Murtasim:Kisi ki koi Baat Mujhe Samaj mein nahi aa raha Aur nahi Yakeen aa raha hai.Mera khud ka chota bhai itna gira hua ho jayega Mujhe pata nahi tha.
Meerab:Woh sirf gire hui hi nahi hai murtasim woh januwar ban chuka hai.Uske sath Haya ki shaadi karwake us ladki ke sath Aur zaidti maat kijiye.Aap ko nahi pata woh har rooz kis aziyat se guzarti hai.Aab shaadi ho jai to yeh takleef permanent ho jayegi.Woh kabhi bhi is trauma se bahar nahi aa payegi.Hume use insaaf dilana hai.Uski maan se is khauf ko hatana hai.Shaadi is masle ka haal nahi hai.Aur yeh kya tarika hai gunhegar ko saza dene ki bajai uske shaadi karwa de taki ladki umar bhar takleef paye.Murtasim,Hadi saza ki haqdar hai.Usne bohot bada zurm kiya hai jo na qable mafi hai.
Murtasim:Mere liye faisla karna bohot mushkil hai.Ek taraf bhai hai to dusri taraf behen.Mere liye dono hi ek jaise hai.Kis ki haq mein faisla karu.
Meerab:Faisla karte waqt Bhai yaa behen maat dekhiye.Sahi Aur Galat ko dekhe.Yaha Hadi aap ka bhai nahi hai kisi ke muzrim hai.Aur muzrim ki saza ibratnak honi chahiye taki zamana bhi dekhe Aur mashra bhi ladki ke sath zaidti karne ki saza kiya hoti hai.
Murtasim:Is gadde pe beithe faisla karna bohot mushkil hai.Samaj nahi aa raha karu to karu kiya.
Meerab:Aap ne ekbar Mujhe kaha tha na agar aap se koi galat faisla ho jai to mujhe samhal lena.Murtasim yeh shaadi ek galat faisla hai.Aap logo ko kyun Haya ki takleef nazar nahi aa rahi.
Murtasim:Maa ka Kehna hai yeh Haya ke liye behtar hai.
Meerab:Jis admi ke sath barson se zalil ho rahi hai uske sath shaadi uske haq mein behtar hai.Kya aap logo ne uski marzi puchi.Janne ki koshish ki woh kya chahti hai.Aap ki maa ne bas apna faisla suna diya.Maf kijiyega Murtasim Lekin aap ki maa bhi barabar ki qusurwar hai.Pehle to woh chup thi Aur yeh zurm ko hone diya.Aur aab kisi ke bade mein nahi soch rahi balki unhe fiqr hai is ghar ki shaan izzat ko barkarar rakhna.Use bachane ke liye chahe kisi ko qurbani ka bakra bhi kyun na banani pade isse unhe koi fadak nahi padega.Lekin Aap to samajdar hai murtasim to aaj aap ki qadam kyun ladkhada rahe hai.Kyun aaj aap insaaf nahi kar paa rahe hai.Kyun ki woh shaks aap ka chota bhai hai yaa Phir ghar ki izzat nilam ho jane ka khauf sata raha hai aap ko.
Murtasim:Mujhe to aab tak Yakeen hi nahi aa raha Hadi ne yeh sab Kuch kiya.
Meerab:Aap Yakeen kare yaa na kare.Aap ka chota bhai insaan kehlane ka bhi layek nahi hai.Woh apni wehsipan ka saboot Haya ko deta aa raha hai.
Murtasim:Mein kiya faisla karu Meerab.Bohot mushkil jaga pe hu mein.

Meerab looks at him.

Author's Note:I try my best to portray the actual scene.Don't know how much I can.How you like the chapter?Please let me know.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now