Part 17

77 2 5
                                    

Next Morning,
Scene starts in Diya's house,
Diya was sitting at the breakfast table waiting for Shakti to prepare the breakfast.
Diya: Shakti......aa jaa yaar....bhookh lagi hain.
Shakti: Tu khud aa kar bana le na....fir pata chalega ki kitni mehnat lagti hain khana banane mein.
Diya: Oho! Tu toh aise bol raha hain jaise khana banana bohot mushkil kaam hain. Lakshmi....tu ne bhi toh khana banaya hain na?
Lakshmi: Main uski maddat karke aati hoon......
Diya: Tu baith jaa shaanti se......aaj dono ladke khana banayenge....sahi kaha na Rishi?

Rishi: Haan.....
Said Rishi while trying to make tea for both the ladies and coffee for himself and Shakti in the kitchen.

Just then the door bell rang,
Diya:Itni subah subah kaun aaya hoga yaar?
Lakshmi: Main dekhti hoon....
Saying this Lakshmi stood up and opened the door only to find a man in his early 30's standing there.

Saying this Lakshmi stood up and opened the door only to find a man in his early 30's standing there

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Lakshmi: Jii aap kaun?
The man: Jii main hoon Raghuveer Mittal
.....mujhe Diya jii se milna hain.
Lakshmi: Andar aaiye......
The man came inside with a smile.
Diya: Lakshmi.....yeh kaun hain?
Lakshmi: Tujhse milne aaya hain.....
Diya: Kyun? Kaun hain yeh?
Lakshmi: Tu nahi jaanti ise?
Diya: Nahi...kaun hain yeh? Oh Mr...kaun ho tum? Aur......ek minute...ek minute.....tum toh wahi ho na jo kal mere khaane ke plate ko Pari ki engagement mein...khaana khaate wakt ghurr ghurr kar dekh rahe the?
Raghuveer: Jii Haan...main wahi hoon lekin main aapke khaane ko nahi...aapko dekh raha tha.
Diya's mouth opened in a 'O'.
Diya: Besharam......aisi baatein karte sharam nahi aati? Ek toh mere ghar mein aa gaye aur upar se.......ek min.....tumhe mere ghar ka address kaha se mila?
Raghuveer: Jisko shiddat se chaha...vo mil hi gaya mujhe.....
Diya: Dekho tum na.....
Shakti: Kya hua Diya? Tu chilla kyun rahi hain?
Said Shakti while coming out from the kitchen with breakfast followed by Rishi.
Diya: Tujhe yaad hain yeh.....kal.....
Shakti: Arrey haan....aaiye aaiye.....aane mein koi pareshaani toh nahi hui na?
Diya: Hein? Tujhe pata tha yeh aane waale hain?
Shakti: Haan bhi aur nahi bhi....
Diya: Kya?
Shakti: Matlab yeh ki inhone kal mujhe ek anjaan number se call kiya tha aur tere ghar ka address maanga. Aur fir maine inhe address de diya...bas yeh nahi pata tha ki yeh aane waale hain ya nahi.
Diya: Kaun hain yeh jise tu itni respect de raha hain?
Shakti: Pata nahi.....address maanga toh maine de diya.
Diya hit Shakti harshly on his head.
Shakti: Ouch! Maara kyun jangli billi?
Diya: Mujhse bina pooche kyun di mere ghar ka address tu ne?
Shakti: Kyunki teri so called behen Pari ne mujhe kaha tha aisa karne ke liye.
Diya: Par kyun?
Shakti: Ab vo toh teri behen hi jaane. Anyways.....aap yaha karne kya aaye hain Mr.Raghuveer?
Raghuveer: Kuch confess karne aaya hoon....
Shakti: Confess? Kya?
Raghuveer came to Diya and held her hand.
Raghuveer: Jab maine aapko dekha....tab se main aapko pasand karne laga hoon. Kya hun ek relationship mein reh sakte hain?
Diya detached her hands from Raghuveer's and then spoke.
Diya: Dekhiye....mujhe unn sabmein koi interest nahi hain......
Raghuveer: Aap jald baazi mein faisla mat lijiye......aap wakt le lijiye thoda sa.....2 dim baad bhi agar aapka yahi faisla raha toh main aapki zindagi se hamesha hamesha ke liye chala jaaunga.....chalta hoon....take care.
Saying this Raghuveer left with a smil on his face.
Lakshmi then closed the door.
Shakti: Wahh Diya...congrats....tujhe toh tera naya boyfriend mil gaya.
Diya: Bakwaas mat kar kutte......nashta bann gaya?
Shakti: Hanji madam....
Shakti served the breakfast to everyone and Rishi served the tea and coffee.

Shakti: Diya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Shakti: Diya....waise tujhe offer accept kar hi lena chahiye.
Diya: Faltu baatein mat kar Shakti.....jis insaan ko main jaanti nahi..pehchanti nahi...use maine kaise haan keh sakti hoon yaar?
Shakti: Tu use jaanti nahi isiliye toh vo chahta hain ki tum dono relationship mein raho. Tu Haan kar de.....relationship mein rahegi....usse pyaar automatically ho jaaega yaar tujhe.
Diya: Nahi yaar......
Lakshmi: Tu ek baar kosish toh karke dekh....tu harr kisi ko apni life se durr kar degi toh kaise chalega?
Rishi: Haan Diya.......agar tumhe apna sahi life partner chahiye...dhoondna hain toh risk toh lena hi parega na?
Diya: Hmm.....
After eating Diya came to the kitchen. She was leaving when Shakti entered.
Shakti: Main jaanta hoon Diya ki tu ne aaj tak bohot heartbreak sahen kiye hain aur...ek aur heartbreak tu bardaasht nahi kar paayegi lekin....agar tu second chance nahi degi kisi ko toh tu toh hamesha akeli reh jaaegi na life mein? Soch kar dekh......
Diya: Tu sahi keh raha hain lekin.....baar baar na yahi baat dil mein aa rahi hain ki kya ho agar main usse pyaar karne lagi aur uss moment par vo mujhe chod kar chala jaaye?
Shakti: Nahi jaaega tujhe chod kar.....iss baat ki guarantee main leta hoon.
Diya: Accha? Agar bhaag gaya toh?
Shakti: Toh ek kaam karunga.....main tujhse shaadi kar loonga aur zindagi bharr tujhe apne haathon se khana bana kar khilaunga....okayy?
Diya giggled hearing this and hit Shakti playfully to which Shakti giggled as well.

Scene shifts to Oberoi Mansion,
Neelam was sitting in the hall reading a book with full concentration when Malishka came inside with her mother.
Malishka: Aunty......Rishi ke baare mein suna maine....aap kaho toh main usse baat karu?
Neelam: No beta....tum jaa kar baitho upar araam se....Sonia se baatein karo....hum aur Gita mil kar sab sort out kar lenge. You just relax.
Malishka(with a smile): Okayy aunty.....
Malishka left upstairs.
Neelam: Gita......Rishi bahar nikal raha hain haathon se....shouldn't we control him?
Gita: Yeah we should lekin kaise kare yahi samajh nahi aa raha hain.
Neelam: I have a plan......agar hum uss 2 kauri ki ladki ko nikaalwa de uske ghar se....toh use majburan yeh shaher chodna parega apni friend ke saath.....toh....
Gita: Why so many efforts Neelam?
Neelam: Matlab?
Gita: Matlab yeh ki....why should we do so much efforts when we can directly kill her?
Neelam was shocked to hear this.
Neelam: Whh.....whatt?
Gita: Don't be shocked Neelam...I know ismein risk hain lekin apne bacchon ke liye itna risk toh uthana hi parega na?
Neelam: Yeah par......
Gita: Will you be my partner in this? Please? For our kids' future?
Neelam placed her shaking hand on Gita's assuring her that she is also a part of her plan.
To be continued........

Kaisi Yeh Zinagani: A Twisted Tale (Completed)Where stories live. Discover now