Chapter -11

146 19 8
                                    

"Timnasa ke attack ke baad mujhe kuch samjh mein nhi aaya. Bas ek light ne mujhe apne andar le liya. Aur usne meri jaan bachayi... Jaante ho vo roshni yaa kaho magic pehli baar ANANYA ne kiya tha aur mujhe teleport kar diya iss jagah.. SHINKAI mein... Par yaha par itna sab kuch nhi tha pehle...

Yaha maine mere swet lok ke portal se jin logo ko bachaya unhe bulaya aur hum sab ne iss jagah par rehne ko ek naya sthan banaya uska naam humne SHINKAI rakha.. par iss naye rajya ko kisi ki nazar mein na laane ke liye maine DEV se contact Kiya... Usne mere rajya ko apne rajya mein le liya aur jab tak Shinkai poori tarah se ek swatantra rajya(independent kingdom) nhi banta tab tak yeh Vidarbh ke under hi consider hoga...

Dev ne humare rajya par ek kavach banaya aur mujhpar bhi taaki meri pehchaan saamne na aaye aur mujhe nyi pehchaan... JALRAAJ ki pehchaan di.. apna naam Timnasa ke karan badalna pada... Devki ki koi khabar mere paas nhi aayi. Main dhundhna chahta tha par timnasa ke attack karne se uska jaadu ke kuch kann(part) mere andar hai.. isiliye agar main iss rajya yaa kavach se bahar nikla toh vo mujhe aur mere rajya ko firse tabah kar degi.

Isiliye mujhe apne parivaar ko... Swet lok ki praja ko bachane ke liye yahi rukna pada... Main itne saal iss khuli kaid mein tha. Jaha mere saath mere sab apne the... Par sabse jyada emotionally support mujhe Dev se mila... Dev khud bhi akela pad gya tha tab usse meri zarurat padi... Hum dono ek dusre se milne aate the aur vo meri aur se mere parivaar ko... (Looked at ananya)tumhe aur tumhaari maa ko... Aur.. (looked at everyone and lastly at vivaan and then back at ananya)tumhare bhai ko sabko usne dhundhne ki zimmedari li.

Tumhaare baare mein sab baatein Dev se mujhe pta chalti rahi.. kabhi Anushka se bhi milti. Par haa... Dev ke baare mein saari baatein Anushka se mili.. (dev instantly looked at Anushka who fake smiled back at him)"
Ananya listened everything and now her heart was overwhelmed with what everyone around was suffering with and still she saw her own life as the victim. How much a man ,who had to sacrifice his happiness for his kingdom, must have to suffer? And here she thought timnasa to be the villian of her life only?

She was finding it hard to digest. But her life would not be normal. Belonging to this magical world isn't easy. Jalraj saw her stiffen and side hugged her to comfort her while her control over herself was lost. She cried. After that tradegy, she bottle up herself and locked her true self. It was when dabbu entered her life that she met that old ananya after so long.

Seeing her condition, dev signalled everyone to leave the room to give some time alone to father and daughter.
Jalraj- mujhe pta hai meri beti bahut bahadur hai.. vo aisi mushkilo se nhi darti... (He said lovingly caressing her hair)
Anu- aapko galat lagta hai. (She pouted) aapki beti itne saal timnasa ke liye kaam karti rahi. Vo timnasa ke aage haar gayi. Uska apne parivaar ke liye pyaar usse bure kaam karwata raha. Pta nhi mere ek ek kaam se kitne aur logo ko... (Stopped herself and stared at the ground)

Jalraj- tumhaari koi galati nhi thi.. tumne apni maa ki aur meri jaan bachaane ke liye yeh sab kiya... Apne aap ko dosh mat do ananya.
Anu- apne apno ki jaan bachaane ke liye kisi anjaan ki jaan khatre mein daalna... Yeh galati nhi toh aur kya hai? Aap hi batayiye itne lok destroy kar diye timnasa ne... Kahi na kahi meri laayi information ka hi yeh nateeja hai...
Jalraj-tum bachhi thi... Tumhe nhi pta ki kya ho raha hai.
Anu-main rajkumari bhi thi papa.. aaj bhi sapne mein timnasa ka voh darr dikhta hai.. main khudko unn logo ki maut ka zimmedar thehraane lagi hu...
Jalraj- agar aisa hi hai toh fir swet lok ke saath yeh sab meri wajah se huwa hai.. timnasa bas swet lok par raaj karna chahti thi agar main usse bina lade yeh rajya de deta toh shayd aaj hum aise nhi hote...

Anu- agar aisa kiya hota toh isse bhi bure haalat mein hote... (She said imagining that horrific scene)
Jalraj-agar aisa hai toh mtlb main gunehgar nhi hu.. toh (he looked at her) tumhari koi galti nhi hai kyunki agar tum nhi toh koi aur hota... Aur shayd vo bura ban bhi jaata? Isiliye jo ho gya usse peeche chod do... Ab tumhare mata pita tumhaare saath hai... Aur tumhara bhai bhi bahut jald hoga.(he smiled and she reciprocated) hmm🤔... Vaise tumhe Dev se koi baat nhi karni😊?

Anu- uss dabbu se toh bahut baatein karni hai🤨... Par usne itna kuch mere aur meri family ke liye kiya.. vo bhi selfless hokar isiliye uspar main gussa nhi karungi😌 uski help ke liye ek thank you kam padega... Vo shayd na jaanta ho par usne meri nazaro mein apni ek baar fir special place bana li hai... Uske liye respect aur badh gyi hai.. (suddenly she looked around and then whispered to her father) papa.. yeh usse mat batana varna vo balloon bankar hawa mein udne lag jaayega (he laughed and asked her to go out and meet others too while he would go to check some matters)

She moved out and witnessed dabbu leaning against the wall and looking out through a window which had two small designed wooden doors. He was in a deep thought. She came and stood beside him.

Anu- zyada mat socho... Main gussa nhi hu..
Debu looked at her and asked her but still looking out of the window "kuch puchna hai?"
Anu- vo... Haa... Mujhe tumse ek cheej puchni thi... (Suddenly saw a light in mid of the forest) vo kya hai??
Dev looked at it and suddenly got a visual. He looked shocked and then said to ananya "main aya abhi" and whistled  and the jumped off the window.
"Debbuuuu!" Anu screamed horrified and looked down and then relaxed to see him safe but again was shocked to see him standing on a Shark 🦈.

"Debu😧? " Anu said looking at him moving his hands as if instructing the shark to move ahead. And then they moved towards that direction where light emerged.
"Yeh debu hi tha na? Isse shark hi milli?? Jab life hi abnormal cheezo se bhari ho toh isme kya hai😅.. All the best ananya 😬 aage aur bhi bahut kuch dekhna hai🤐"as a she moved down the stairs to everyone.

....
To be continued...
How was the chapter 😇?
Do vote and comment ❤️

The Mystery of Relations (season-2)Where stories live. Discover now