Chapter 8 jugadu Maheshwari

300 23 5
                                    

Naina reached home and throwing the packets on her bed went to change while Preeti looked at her and finally started arranging them at the proper place. After few minutes Naina came out and started preparing coffee for both of them without uttering a word.

Preeti : coffee hi peeni thi toh Sameer ke sath hi pi lete kisi restraunt me.

Naina (sarcastically): Maine tujhe mana toh nahi kiya tha , chali jati.

Preeti (chukled ) : wo mujhe thodi na puch raha tha. Tumhe le jana chahta tha.

Naina : aur mujhe koi interest nahi hai.

Preeti soberred : Ek baar baat kar ke toh dekhti ki wo kya kehna chahta tha. Kyun itne saal baad aaya tujhse milne.

Naina snapped : mujhse milne nahi aaya tha, sanjog se market me main dikh gayi. Bas aur kuch nahi.

Preeti (sadly ): agar sanjog bhi hai toh shayad bhagwan ki marzi se hi ho. Kya pata shayad ye ek acha sanjog ho. ... Naina agar ye acha sanjog hai toh bas itna yaad rakhna ki tujhe bhagwan ne gussa karne ka hi sahi par mauka diya toh hai. Is mauke ko jane mat de.warna kuch logon ki kismat aisi hoti hai ki unke paas na toh jhagda ka option hota hai na hi sikayat ka. Unka jeewan bas ek sunya ke barabar hota hai.
Ladna hai lad le, sikayat kar le...par yaad rakhna ,mauka baar baar nahi milta hai.

Naina served coffee in two mugs and handling one to preeti said : Tum kuch jyada hi soch rahi ho. Insan ke dukh ka ek bada kaaran ye bhi hota hai ki wo ek chote se sanjog ko dekh ke kuch bade ki ummeed kar bhaith ta hai. Par baad me wahi takleef ka kaaran ban jata hai.
Aur ab main khud ko phir se takleef nahi dene dungi.

Preeti : bol toh aise rahi ho jaise abhi kitni khush ho.....waise coffee achi bani hai.
.
.
.
It was night and Sameer was feeding dinner to his Nanu, who was enjoying this moment with a beautiful smile on his face.

Sameer : kya hua Nanu, aap is tarah mujhe dekh ke muskura kyun rahe hai.

Nanu : Ye soch ke muskura raha hun ki ek waqt main bhi tujhe aise hi khilaya karta tha.aaj mere jootey tuney pehen liye....waise main khushkismat hun ki tere hath se kha raha hun.warna toh kitne aise budhe hai jinka pariwar unhe izzat se do waqt ki roti bhi nahi deta hai.

Sameer : Nanu....aap hi toh mera pariwar hai. Mere maa baap ,dost guide sabkuch. Ye sanskar bhi aap hi ne diye hai.

Nanu : acha...agar aisi baat hai toh budhape me meri aakhri icha kyun nahi puri kar deta hai....Ab toh shadi kar le.

Sameer (shockingly) : kisse ?

Nanu laughed : kya baat hai...chalo.....baat aagey badh ke "kisse" pe toh aayi. Abhi tak toh saaf saaf inkar kar deta tha.aaj puch raha hai kisse.

Sameer : Nanuuuu.....khana khayie aur so jayie.

Nanu : Beta agar tujhe koi pasand hai toh bata...warna main hi koi achi si dhund deta hun.

Sameer kept quiet with his gaze down and kept feeding his Nanu.

Nanu : aaj chup hai ,iska matlab hai ki, koi toh hai....kyun main sahi keh raha hun na. Teri aankhon me dikh raha hai.

Sameer : aisa kuch nahi hai Nanu....

Nanu : thik hai toh phir main dhund du na tere liye ladki.

Sameer immediately said : Nahi......matlab.....nahi....

Nanu laughed and held sameer's hand : kaun hai wo....mujhe bhi nahi batayega ?

Sameer looked at Nanu helplessly and putting his gaze down started saying : Hai nahi thi....Naina.....par us waqt maine uski ehmiyat hi nahi samjhi. Ab shayad kho diya usey.

Maine Kiya Hai IntzarWhere stories live. Discover now