Sobia: (pehle khud ko dekhti hai phir Sameer ko) "sab kuch...matlab?" (Bholi si Surat bana ke).
Sameer: (thoda sa hichkicha ke) "wo...mera matlab...tum kuch aur pehen ke aao na...paseene se gila ho gaya hai to...waise tumhe itna paseena kyun aaraha hai...kabse kam karne khadi ho kitchen mein?" (Thoda pareshan ho ke)
Sobia: (Pehle to Sharma jati hai phir uska sawal sun mu banake) "6 baje se"
Sameer: "6?....itni jaldi kyu?...aur itna kam kyun kar rahi ho? bhabhi ya ammi se puchlo."
(Pareshan sa Surat banake. Usse bohot bura laga ki wo akele itna kam kar rahi thi. Aur taras bhi aa raha tha.)Sobia: "Bhabhi apne maike gai hui hai aur ammi ne mujhe karne bola sara kaam agar mei unse puchungi to achcha nahi lage ga na? Isiliye nahi pucha!"
(Chid ke, aanta gund rahi thi)Sameer: (usko apna karta dekh gehri saas chod ta hai) "mei koi help kar du?"
Sobia: "Kya?...nahi bilkul nahi! Tum mujhe marwana chahte ho kya?" (Akhir wo ghar ka mard hai aise kaise kitchen mein kam karsakhta hai. Agar kisi ne dekh liya to ghar mein bawal aa parenga )
Sameer: "kyun nahi? Ab mei bada ho gaya hu balki (sobia ke sar mein ek tapli marke dheere se) tumse bhi jyadah bada hu. Kyun nahi kar sakh ta hu mei?" (Phir thoda pani aanta mein mila kar khud gundhne lagta hai.)
Sobia: "Arre bhai! Tum mujhe aj kasam se marwa dalo ge!"(sobia ke mu se bhai shabd sun Sameer rukh kar usse ghurne lag ta hai) "kya?" (Usse uske ghurne ki wajah samajh nahi ati phir usse yaad aata hai ki wo galti se usse bhai bula di hai.) "Wo....galti se mu se nikal gaya..mei...." ( Sameer ko abhi bhi khud ko ghurta dekh joro se hasne lagti hai.)
Sameer: ( Pehle thoda naraz hota hai phir sobia ko itna pyar se hasta dekh wo bhi smile kar deta hai.)
Is waqt wo dono ek dusre se thoda chipak ke khade the kyunki wo dono ek hi thaal mein aanta gundh rahe the. Sobia ki dill ki dharkan tez ho chuki thi kyunki aj takke usne shayad hi kisi ladke se baat ki hongi wajah ye hai ke uske ghar wale bohot strict hai is bare mein agar wo kisi ladke se baat karti hui pakdi gae to wo log uski padai chudwa denge. Aur uske liye padai karna bohot jaroori tha. Ye baat uske maa baap nahi samajhte the.
Aur dusri taraf Sameer ko usse baat karte bohot achcha lag raha tha. Kahi na kahi dill ke kone mein usse un dono ki kareebi achcha lag rahi thi lekin iss baat se wo anjaan tha.
_____
Sobia: ( sobia college ke liye bus stop ki taraf bhurka pehen ke chal rahi thi tabhi usse peeche se Sameer pukar ta hai, wo peeche murke) "Tum mere sath bus mein chaloge?"
(Wo herani se puchti hai kyunki sameer apni bike chalake college jata hai, kabhi bus se nahi jata, lekin aj wo padel aaya tha uske peeche)Sameer : "Ha, kyun? nahi aa sakhta?" (Wo bahane banakar bolta hai.)
Sobia: "Nahi! Mera matlab ye nahi tha. Bhai—."
Sameer: "bhai mat bolo!" (Usko beech mein tokke)
Sobia: "Arre!!!! Maiko pura bolne to do.....ha to Ap to tehre Mahraj ji, hamesha bike mein ate hai, aj bus se jane ki khuaish kyu?"
Sameer: (pehle thoda sa ghabra jata hai phir ek gehri saas chod kehta.) "Wo... overtake karte hue bhai dekh liya tha...to usne abbu se shikayat kar di aur...unhonne chabi le liye."
Sobia: (sobia usse kuch kehne hi wali thi tabhi bus aagai) "Dekho bus aa gai.. bad mein baat karte hi."
Wo dono bus mein chad jate hai. Bus mein bohot jyadah bheed hoti hai. Unhe baithne ki to jagah nahi mili to wo seat ke paas khade ho gaye. Sobia ke peeche do college ke ladke khade ho jate hai . Bheed ki wajah se uski peeth un ladko se halki chipak rahi thi aur usse bohot uncomfortable feel ho raha tha. Tabhi Sameer apne ek hath sobia ki kamar mein dal usse apne paas kheench leta hai.
Sameer ko sobia ka dusre ladke se chipakna bilkul achcha nahi laga, uska hath apne Ap hi sobia ko khud ki taraf kheench liya. Sobia ko to ek pal samajh hi nahi aata. phir wo sharma jati hai. Is waqt un dono chehre kafi kareeb the. Ander to sameer ko kuch ajeeb mehsoos jaroor ho raha tha lekin wo iss feeling ko nazaraandaaz kar raha tha.
Sameer: "Yaar! Tum kaise travel kar pati ho iss.....bail gadi par?" (Chid kar kyunki bheed kafi jyadah thi)
Sobia: "Jaise ke maine kahan tha.....maharaj!"
(Ye keh wo hasne lag jati hai wahi Sameer apni aankhe ghuma deta hai.)_____
Raat ka waqt tha sabhi log khana kha chuke the siwae sobia ke kyunki Sameer apne doston ke sath bahar gaya tha, ghar walo ne kahan tha ki shohar se pehle biwi khana nahi kha sakhti. Isi wajah se sobia bohot pareshaan thi kyunki raat ke 12 bajne wale the aur usse bhook bhi bohot lag rahi thi.
Ab usse rone bhi aa raha tha usne Sameer ko call kiya tha lekin usne uthaya nahi. Call pe usne apni ammi ko iss bare mein bataya to tha lekin unhone usse kahan ki ladkiyo ko sehna hi padta hai ye baat par usse bohot gussa aaya.
Sobia: 'man me- khak sehna padta hai ! Jaroori thodi na hai ye. Balki un logo ko toh gunah milegi jo ladkiyo ko pareshan karte hai. Ye sab Sirif aap logo ne hi fehlaya. Khud to sukoon se jeete nahi hai dusro ki bhi jindagi haram kar dete hai. Khud bhi yahi sahege, ro ge lekin kabhi apne ladko ko sikhaenge nahi sahi karna. Mujhe to aj bhi yaad hai, jab pehli baar mujhe periods aaye the to mujhse jyadah pareshan ammi thi lekin ab... wo mujhe dard mein dekh kar bhi apna mu pher lete hai. Ismein meri kya galti hai ke mei ladki.'
Sobia ye sab salad banane ke liye kakdi kat soch rahi thi tabhi uski ungali kat jati hai jyadah gehra nahi lekin khoon behraha hota hai.
__________________________________
Assalam alaikum!
Mujhe to sameer, sobia ki jodi bohot jyadah pasand hai. Ap log ko?
Wo dono apne toxic family se bahar kaise ayenge uski bhi excitement bohot hai.Hope you like this chapter
Don't forget to vote and comment
YOU ARE READING
Force to love
RomanceLadka: " Oue! Tum kya kisi ke khoon par baith ke aayi ho?" (Ek ladki ke kameez ke peeche ishara karte hue.) Ladki: "kya?" Ladka: "Arre! Dekho tumhare peeche khoon ka dhabba laga hua hai." Ladki: ( peeche se apni kameez ko dekhti hai aur Laal nishan...