In the morning
Kajal kitchen me kaam kar rhi he.
Kajal's outfit
Jyoti- kajal tumhe kaam karne ki koi jaroorat nhi he servents he na kaam kee liye.
Kajal- maa mene socha ki bhua ji aa rhi he to me khana bana du.
Jyoti- hmm... Chalo ab didi aati hi hongi 8 baj chuke he.
Kajal- ji Mai aa rhi hu.
Dono living room me aate he.
Ting...tong...
Ek maid aake gate kholti he.
Kanta maid ko dekhte hi.
Batao mere swagat me nai bhau ko ana chahiye tha or aa rhi he naukrani. Chal hatt.Jyoti- didi namaste.
Kajal- namaste bhua ji(per chute hue)
Kanta- ye kon he??
Jyoti- didi yhi kajal he hamari Bahu.
Kanta- bhabhi aapne to dusri photo bhej di shayad.
Jyoti- didi vo hua yu ki...
Jyoti ne kanta ko puri kahani sunai.
Kanta- nash peeti vo Tina. Lekin tu kya karti he bhau? (kajal se)
Kajal- bhua ji Mai company...
Kanta- Haye... Ab hamari bhau company me kaam karti he. Konse paiso ki Kami aa gyi huh..
Kajal- bhua ji aap galat samajh rhi he...
Kanta- acha ab hum hi galat bol rhe he. Bhabhi aapne to apni Bhau ko kuch jyaada hi chut dedi he. Dekhiye kese kanchi ki taraha jubaan chala rhi he.
Yash stairs se uter te waqt sab sun leta he or kanta bhua ke per chuta he.
Yash- bhua ji aap jyada soch rhi he aesa kuch nhi he.
Kanta- acha ab hum hi bura soch rhe he. Bhau ke aye 2 din hue nhi ki joru ka gulaam ho gya.
Kajal- bhua ji Mai company me kaam nhi karti balki meri khud ki company he.
Kanta- ha ha hogi koi choti moti company.
Kajal- ji bhua choti to he lekin shayad itni bhi choti nhi he kyunki aapne usi company ki jwellery pehen rakhi he.(With a sarcasm smile)
Kanta- kya matlab??
Kajal- bhua ji meri company ka naam he OBEROI'S JWELLE AESTHETICS. Isi company ki aapne necklace pehena hua he.
(With a devilish smile)Kanta- huh... Sach me(in shock)
Yash- ji bhua ji or kuch(kajal ke bagal me khada hote hue)
Jyoti- acha didi ye sab chodiye apke bache nhi aaye?
Kanta- nhi bhabhi vo dono nhi aa pye.
Jyoti- acha to didi aap Jake fresh ho jaiye me aapka khana lagwa deti hu.
Kanta kajal ko ek last baar dekh ke apne kamre ki taraf chali jaati he.
Kajal- maa mai company me jaa rhi hu. Or kuch kaam ho to bula lena.
Jyoti- beta tu ja me dekh lungi.
Kajal company ke liye akeli hi chali jaati he.
Time skip______
In the kajal's jet.
Yash- aesa nhi lag rha ki hum honeymoon ke liye Jaa rhe he.
Kajal- honeymoon ke liye hi to Jaa rhe he.
Yash- matlab
Kajal- matlab mere bhole pati parmeshwar Mera kaam to sirf 1 din ka bhi nhi balki 2 ghante ka he or hum yha 15 din rukenge.
Yash- nice idea my mi vida.
Kajal- thanks my love.
Or dono kuch hi der me ek dusre ke embrace Mai so jaate he.
Hey lovely readers
Sorry for late update.Byeee...
YOU ARE READING
My Innocent Hubby & My Mafia Wifeee
Fanfictionhey guys mene ye book hinglish me likhi he so this book is totally for Indians is kahani me kajal oberoi he Jo apne parents ko ek plane crash me kho chuki hoti he kya kajal ye sadma she payegi? kya kajal mafia world sambhal pyegi? kya kajal ko hoga...