chapter eleven- kis sey pyaar kiya?

147 13 40
                                    

anupamaa

Mister Shah was constantly blabbering something on the call, his voice reverberating through the walls of the room. I sat on the couch in the living room, trying to drown out the noise with some music, but his relentless chatter seeped through. The muffled voice from outside his closed door became more audible. I strained my ears to catch bits and pieces of the conversation, curious about who he was talking to and what had him so engrossed.

 However, before I could make sense of anything, the door suddenly clicked open, startling me. I lost my balance and stumbled forward, crashing into Mister Shah, who was just stepping out.

"AAOH! OUCH!" we both groaned in pain as we collided and tumbled onto the floor in a messy heap.

''Anupamaa you were trying to listen? Theek hua tumhare saath aur lagao kaan darwaaze par! Giri toh giri saathmein mujhe bhi gira diya! Meri kamar mein dard hoga ab!''

''Surry! Meri galti thi--par aap dheere se darwaaza khol saktey thhe ne! Inte zor se khola darwaze ko-''

And I got up with difficulty, taking the support of the nearby table.

''Moti hogayi ho tum!''

''Aur aap din bhar din sadiyal hotey jaa rahe hain--aur akdu bhi--aur mufhat bhi--aur badtaameez bhi aur khadoos bhi--''

''Hogaya tumhare--ab haath do'' he said.

''Kyun doon? Aap toh buddhe nahi ho na--yaad hai kya kaha tha aapne--ki tumhari jaiso ki line lagjaye--itna handsome hoon--ab kya hua?''

''Anupamaa mazak ka waqt nahi hai--aur na bhashan ka haath do please!''

And I gave him a hand.

''Kyun itna cheekh rahe thhey phone mein--bahaar tak aarahi thi awaaz--bechara phone karne wala--kaan se khoon nikal rahe honge''

''Tum mujhe ek mauka do--main bhi tumhe acche se roast kardunga dekhna!''

''Aap ko kayi mauke diye par aapne ne samjha hi nahi--na faiyda uthaya''

And there was pin drop silence.

''Aaya tha main maafi maangne--tab toh tum mere seene se lag gayi thi--nahi pata tha mujhe ki seene mein khanjar bhar dogi doosre din''

''Aapne kya kiya? Mere hi bedroom pe Kavya ko--chee! Aur aapko humare anniversary ka din hi mila tha--keh dete ki anupamaa thak chuka hoon tumse--nahi pyaar karta--ek min pyaar toh tha hi nahi--keh dete ki anupamaa chali jaao main khushi khushi chali jaati. ''

''Maine pyaar nahi toh kya kiya tumse haan?''

''Pyaar? Jab humari shaadi hone wali thi--yaad hai aap Ritika se pyaar kartey thhe--shayad aaj bhi kartey hain--pehla pyaar thi na woh aapki--maine kuch nahi bola. Kyunki main aapke bhaavnaye samajhti thi--aapne mujhse shaadi ki--maine aapse bohot pyaar kiya mister shah--aap mera pehla pyaar thhey--lekin aap nahi karpaye--kyunki na mein ritika jaise thi aur naa aap mujhe chahatey they--bass baa aur baapuji ke khaatir shaadi karli, bacche hogaye bas. Shaadi karne ka matlab bacche paida karna nahi hota hai Mister Shah. Aapne bas ek pati ki zimmedari nibhayi, ek acche bete ki zimmedari nibhayi, ek acche pita ki zimmedari nibhayi, kab tak..jab tak aapki jholi mein paison ka pahad nahi aagaya. Acche pati toh nahi par acche bete zaroor thhey par woh bhi theek se nahi paa rahein hai shayad, acche pita bhi nahi hain aap. Pyaar nahi toh kya kiya tumse--bade aaye swaal karne wale aur baat rahi Kavya ki toh ussey bhi pyaar nahi tha aapko--woh toh bas ek kya hota hai woh--replacement thi kyunki Kavya Ritika jaise modern, stylish aur classy thi--aapka pyaar nahi tik paya aapke karm ke wajah se, dhokhe ke wajah se, aapke harkat ke wajah se''

RISHTEY- YRKKH 4 X ANUPAMAAWhere stories live. Discover now