Hi guys,
I hope you have liked the first part,
Those who have not read it please read it.
********************************
Akshu : jaise sahi aur galat ke beech ek lakir hoti hai waise pyar aur paap ke beech bhi ek lakir hoti hai, sindur ki lakir, iss lakir ke kheechne se pehle pyar hai aur uske baad paap, humare beech woh lakir aa chuki hai abhimanyu, main kisi aur ki patni hu, jo baatein tumne mujhse kahi woh tumhe kehne ka kya sochne ka bhi haq nahi hai,
tum ek patni se ek maa se keh rahe ho ki woh apni shaadi apna ghar sab kuch chod chaad kar tumhare wapas aa jaaye, yeh pyar nahi hai khudgarzi hai, shame on you Dr birla, shame on you. Aur humesha ki tarah tumne faisla kar liya aur maan liya ki main tumhara usme saath dungi.
Abhimanyu : kyuki tum bhi mere liye feel....
Akshu : meri feelings tum nahi main decide karungi, okay tumhari accident ki khabar sunn kar main tumhare pass bhaagi chali aayi kyuki ek waqt par humara ek rishta tha, par uss rishte ko yaad karna meri galti thi, apni sudh budh kho kar tumhare pass aana meri galti thi, aur main uss galti ko dohraungi nahi,
tum jaan na chahte ho na main move on kaise kar gayi, main move on isiliye kar paayi kyuki abhinav mere saath the, tum aaj phir mujhe pyar dene aaye ho lekin rishte mein pyar ke saath ek aur chiz hoti hai jo na tumne mujhe kal di thi aur na hi aaj de rahe ho aur woh chiz hai respect...jo mujhe abhinav se mili...
abhinav mere kuch kehne ka wait karte hai, abhinav meri puri baat sunte hai, abhinav mujhse puchte hai discuss karte hai phir mere saath koi faisla karte hai, that is respect...jab tum Kasauli mein achanak mere saamne aa gaye the toh main darr gayi thi, darr gayi thi ki ab phir se wahi sab hoga, phir se koi impulsive ho kar meri kismat ka faisla kar dega, par nahi abhinav ne mujhse baat ki, mujhe mere past ko respect kiya, mujhe judge nahi kiya, main toh udaipur aana hi nahi chahti thi, main khud ke liye darti thi, abhinav ke liye darti thi ki kahi main unhe hurt na kar du aur yaha aa kar mere harr darr sahi saabit hue hai, maine apni limit cross ki maine unhe hurt kiya, phir bhi ab tak unhone mujhse ek sawal tak nahi kiya that is respect...pehle mujhe lagta tha rishte ka matlab sirf pyar hota hai par nahi abhinav ne mujhe sikhaya rishte ka matlab hota hai pyar aur samman.
He looked down.
Akshu : inn 6 saalo mein kuch puche bina, kuch jaane bina, bina kisi ummid ke abhinav ne sirf mera saath diya hai, bikhar gayi thi main, jab main khud ko nahi samet paa rahi thi na tab unhone mujhe sameta, joda, mere dil ko joda jo buri tarah se kuchal gaya tha, meri zindagi bann gaye woh, mere bete ke papa hai woh, hum dono ki saansein chalti hai abhinav se, ek baar humara baccha mere bina reh sakta hai par abhinav ke bina bilkul nahi, tumne ek baar bhi yeh nahi socha ki jisse tum pyar karne ka daava kar rahe ho woh kisi aur ki patni hai, itni toh dignity rakhte abhimanyu.
Jab hum saath the na toh tum mujhe feel karwate the ki tum strong ho mere saath ho toh mujhe khud strong hone ki zarurat hi nahi hai isiliye main humesha tum par dependent rahi, lekin abhinav unhone mujhe himmat di hai hosla diya hai confidence diya hai ki main apne aap mein complete hu, mujhe kisi ke sahare ki zarurat nahi hai jeene ke liye, unhone mujhe kabhi peeche nahi khicha, humesha bass meri dhaal bann kar mere aage chalte rahe, jeene ke liye sirf pyar kaafi nahi hai sukoon bhi chahiye hota hai aur woh mujhe Abhinav ne diya, humare beech sirf tum aur tumhare faisle hi sahi the isiliye tumhara pyar humesha badta raha lekin hum kam padh gaye, tumne do baar impulsive ho kar mujhe divorce diya aur aaj bhi impulsive ho kar mujhe pyar dene aaye ho, uss waqt maine bhi apno ko khoya tha lekin mera dard kisi ne samjha hi nahi sabko apna dard bada lagne laga, isiliye itni aasani se mujh par ungli utha di aur keh diya ki maine neil aur apne dono babies ko maar diya, mujhe murderer bhi keh diya aur saza bhi suna di, aur aaj tum mujse kehne aaye ho ki tum mujhse pyar karte ho, isse pyar nahi umarkaid kehte hai, so thank you for your offer Dr abhimanyu birla par mujhe yeh umarkaid manzur nahi hai, pyar mein sabkuch bhula dena mujhe manzur nahi hai, pyar mein saari haddein paar kar dena mujhe manzur nahi hai, tumhare wale abhi aur akshu mujhe manzur nahi hai.
Main apne pati aur apne bacche ke sath wapas apni duniya mein laut rahi hu, sabkuch yehi chod kar yehi bhul kar jaa rahi hu, and I hope tum bhi sabkuch bhula kar aarohi aur ruhi ko apna sako, apni zidd se upar uth kar dekhoge toh tumhe ruhi ki khushiyan phir se dikhengi, aur sabse zaruri baat aaj jo baat tumahri zaban se nikli hai woh kisi aur ke saamne nahi nikalni chahiye, especially mere pati ke saamne toh bilkul nahi, main chahti hu tum khush raho mera jawab sunn kar tum finally move on kar jao, bye forever.
She left from there.