Abhinav and akshara come together

443 75 5
                                    

Abhinav went to Abhir's school to pick him up because school bus was not available today.

On the way, he was only thinking about akshara's confession.

Did she really wanted to stay with him, or she's doing just for him.

Thousands of questions were running in his mind.

He reached the school.

After a few minutes, the gate opened and soon abhir came out, but there was a small puppy in his hand.

Abhir : papa..!!!

Abhinav : kaisa tha din aara.

Abhir : best papa, main bohot time baad apne friends se mila.

Abhinav : aur yeh puppy kya kar raha hai tumhare pass jiska jai deke aao jao.

Abhir : papa yeh puppy mujhe backyard se mila, akela tha.

Abhinav : thik hai toh usse wapas wahi rakh aao chalo mumma wait kar rahi hai lunch ke liye.

Abhir : papa hum iss puppy ko apne saath nahi le jaa sakte.

Abhinav : bilkul nahi nikke ji, tu jaanta hai teri mumma ko bilkul nahi pasand, toh rakh aao jaake.

Abhir : please papa aap mumma ko convince karo na.

Abhinav : nikke ji yeh aisi aankhen mat dikha tu jaanta hai main tujhe kisi chiz ke liye mana nahi kar sakta aara, accha thik hai lekin ek baar agar mumma ne mana kiya phir topic khatam hum isse nahi rakhenge.

Abhir : thank you papa.. I love you...chalo smoothie.

Abhinav : smoothie kon hai..?

Abhir : puppy ka name papa.

Abhinav : naam bhi rakh liya, chalo ab.

They left for home.

********************************

Akshu : nahi nahi nahi, maine keh diya na ek baar yeh puppy.....

Abhir : smoothie naam hai mumma...

Akshu : smoothie ho puppy ho jo bhi ho yeh iss ghar mein nahi rahega.

Abhir : please mumma, papa ne permission de di hai.

Akshu : Abhinav..??

Abhinav : nahi nahi aara kaha mujhe phasa raha hai maine kaha tha pehle mumma se puchenge agar woh haa kahengi toh hi.

Akshu : meri naa hai, isiliye jaha se lekar aaye ho wahi chod aao.

Abhir looked down sadly.

Abhinav : akshara...

Akshu : aap na iski shakal dekh kar pighalna bandh kijiye, natak hai yeh saare apni baat manwane ke liye, abhir what I said chod aao isse, dikhna nahi chahiye mujhe dubara.

She went inside.

Neela amma : abhir kutte ko paalna aasan nahi hota, akshara thik keh rahi hai.

Abhir : okay.

Abhinav can't see abhir upset, the one thing he can't tolerate, his sadness.

Abhinav : puppy yehi rahega.

Abhir : thank you papa...!!!!

Neela amma : lekin akshara....

Abhinav : main dekhta hu.

********************************

Abhinav : akshara....

She ignored him, and continued folding clothes.

Abhinav : akshara...

She didn't respond.

Abhinav : akshara main baat kar raha hu aapse yaha dekhiye toh sahi.

Akshu : aap mujhse baat kar rahe hai...hey kanha ji main sapna dekh rahi hu mujhe lagta hai.

Abhinav : aise kyu baat kar rahi hai aap..?

Akshu : toh kaise karu, pichle kuch dino mein aapne mujhe royally ignore kiya hai abhinav, jab bhi baat karne aati thi toh koi na koi bahana bana kar chale jaate the, jab bhi paas aane ki koshish ki toh khud ko durr kar lete the, subah jo baat hui uska jawab bhi nahi diya aapne, ab bhi aap mere liye nahi apne nikke ji ke liye aaye hai mujhse baat karne.

Abhinav : akshara main jaanta hu ki...

Akshu : nahi aap nahi jaante, na hi aap samajhte hai abhinav, pichle 6 saalo mein aapko mujhse pehle pata chal jaata tha ki mere mann mein kya chal raha hai, mujhe lagta tha aap mujhe mujhse zyada jaante hai, mera dil kabhi galat ho sakta hai par aap nahi, itne saalo mein hum durr reh kar bhi pass rahe hai, aur ab pass ho kar bhi itne durr hai, aap kyu nahi samajhte ki main aapke sath rehna chahti hu, aapke pass rehna chahti hu, kisi majboori mein nahi, dil se, afsos mujhe iss baat ka hai ki jo abhinav mere bina kuch kahe meri khamoshi padh lete the aaj wahi abhinav meri kahi hui baat par bhi bharosa nahi kar paa rahe hai, kya ab aap mujh par trust bhi nahi karte.

He immediately took her in his arms.

She tried to wiggle but finally got lost in his arms, his arms are the safest place for her.

After a few minutes,

He slowly detached her and cupped her face,

Abhinav : I am sorry akshara, pata nahi kya kya sochne laga tha, aapki wajah se mujhe ek pariwar mila, iss makan ko aapne ghar banaya, inn 6 saalo mein mujhe kabhi aisa nahi laga ki humara rishta thik nahi hai, lekin jab aap mere pass lauti toh mujhe aisa laga ki kahi maine jo aapke liye kiya inn 6 saalo mein kahi uski wajah se aap mere pass toh nahi lauti, kahi aapko iss rishte mein baandh kar toh nahi rakha maine, aur inhi saare sawalo ne mujhe dara diya tha akshara, aapko aur nikke ji ko kho dene ke khyal se darr gaya tha, aur shayad issi darr ne mujhe kuch aur dekhne hi nahi diya, warna akshara aap aur nikke ji se toh meri saansein chalti hai, mera dil dhadkan zindagi sab aap dono hi toh hai, aap dono ke bina jeene ki main soch bhi nahi sakta ji....

She hugged him tightly...!!!

Akshu : wada kijiye aaj ke baad aap kabhi bhi hume chodne ki baat bhi nahi karenge.

He tightened his hold on her.

Abhinav : kabhi nahi...!!!

She smiled..!!!

Abhinav ; akshara, uss puppy ke liye haa kar dijiye.

Akshu ; abhinav lekin...

Abhinav : akshara main jaanta hu aap kya soch rahi hai, ki kharche kaise niklenge, kharcho ki chinta mat kijiye, aur rahi baat zimmedari ki toh, akshara ab abhir bada ho raha hai, usse apni zimmedariyan khud samajh aani chahiye, aur uske liye iss puppy se accha aur kuch nahi hoga, jab woh uska dhyan rakhega toh usse apni zimmedariyan samajh aa jayengi, aur khush bhi ho jayega, waise bhi uski khushi se badh kar aaj tak humne maanga hi kya hai.

She nodded..!!!

Akshnav : endless loveWhere stories live. Discover now