CHAPTER 14 - Vallabgarh

133 13 10
                                    

21st Century - Dhruv Tara's Room
(Dhruv enters the room with a glass of hangover drink for Tara. Tara wakes up)

Tara - Dhruv, humara itna sar dard kyun ho raha hai?

Dhruv - Tum neh jo chocolate laya ta nah, uske wajah se. Tum neh galat chocolate laya hai. Jo chocolate tum neh laya ta, usme kuch nasheli padart mila hai uske wajah se tum kal raat nashe mein thi...

Tara - Kya?

Dhruv - Haa... Tum nah miss wonder woman banke bade uchal khud kar rahe the...

Tara - Ji kya banke?

Dhruv - Areh yaar... wonder woman ko kya bolte hai? Aah... ek shaktishaali stree ki tarha uchal khud kar rahe the. Aur tum Samrat Singh ke saath talwaar basi karne ki baat bhi kar rahe the... Aur to aur unke dhoti, kurta, langot sab jalane ki bhi baat kar rahe the... Aur mere saath bhi bade pyaar se baat kar rahe the...

Tara - Parantu.... parantu... humein kuch yaad hai hi nahi hai...

(Dhruv comes closer to Tara. He held her on her waist and tried to kiss on her lips but Tara takes her face away.)

Tara - Dhruv, yeh kya kar rahe ho?

Dhruv - Kal raat jo hua tha... uske yaad dilane ki koshish... kya pata yaad aa jaye... (Dhruv winks)

Tara - Aap hatiye... humein snaan karna hai...

Dhruv (teasingly) - Mein bhi andar aa jau? Kya pata abhi bhi nasha utari na ho...

Tara - Ab hum poori tarha hosh mein hai...

(Tara runs to the bathroom with her towel and clothes. Dhruv laughs while shaking his head.)

Dining area
(After doing pooja, the family gets seated for breakfast.)

Sushila - Tara beta, tum kal raat jaldi so gaye the... tabiyat theek toh hai na beta?

Tara - Ji maa ji....

(Hesitation was clearly visible on Tara's face. Dhruv understood she hesitates to say her mother in law what exactly happened last night because of her slight mistake.)

Sushila - Kya hua beta?

Dhruv - Woh maa... Tara ki tabiyat achanak se kharab ho gaya tha kal raat... bichari isiliye aapko yeh baat batane se hichkichati hai...

Sushila - Beta, yeh kaam kisi aur ko do... Aur idhar baithke khana khao... Beta... apne pati ke paas baitho... Dhruv... bahu ko khana khilao...   Ayesha beta aaj ghar ka kaam tum sambhalo...

Ayesha - Ji chachi ji...

(Dhruv made a small morsel of food and fed it to Tara. Maharaj and Maharani looked at this adorable jodi with love.)

Nani (in mind)- Hai madav sarkar... Dhruv Tara ki jodi yugo yugo tak aise hi khush rakhna... Samay sadi se pare...

(Nani made a wish for Dhruv and Tara)

Lalita - Amma... Dhruv Tara humare ghar ki Radha Krishna hai... Dekho kaise pyaar se ek dusre ko khana khilate hai....

(Nani nods)

Nani - Humara yehi prartna hai ki Dhruv aur Tara humare ghar ek pyara sa baal gopal le aaye... 

(Noone heard the conversation of nani and Lalita, as they spoke in a low tone of voice with each other.)

Dhruv Tara - Samay Sadi Se Pare 2.0 Where stories live. Discover now