Raghvi's bedroom...
Pallavi:- takes out the ring from the box , tum mujhe yeh ring pehnakar humare rishte ko confirm kar do
Raghav:- tum nahi aap bolne ka ... Agar tum chahta hai ki yeh rishta kayam rahe toh tumhare ko mera sharton per jeena padega .
P:- mujhe aapki her shart manzoor hai
R:- ek baar phir se soch lene ka
P:- mai faisla kar chuki hu ab dubara sochne ka sawal hi nahi uthta .
R:- holds her hand & slides the ring into her finger
P:- becomes extremely happy
R:- yeh anguthi nahi hathkadi hai jo tumhare ko mera mansion ka jail me qaid kar ke rakhega
P:- jab tak aap mere sath hai tab tak mujhe yeh hathkadi aur qaid dono hi manjoor hai
R:- ab es room se jaane ka
P:- kyu
R:- mera se palatkar sawal karne ka haq nahi hai tumhare ko ...jo mai ek baar bol diya woh tumhare ko karna padega ardmaynda
P:- theek hai mai jaati hu , jarurat padne per mujhe bula lijiyega
R:- ab niklo yahan se
P:- leaves him alone
ORI:- yeh tu kya kiya ..woh Pallavi do chaar jhootha aanshu bahaya aur tu pighal gaya , arey woh saaf saaf jhooth bol raha tha . Yeh mat bhul ki tu past me bhi aisa hi bewkoofi kiya tha , baar baar Esha ka galatiyon ko nazarandaz karta raha aur phir uska kya anjaam hua tha yeh tu achha se janta hai .
R:- d Raghav Rao ek baar kiya hua galati dubara nahi dohrata . Past me kiya hua bewkoofi na hoye isiliye toh mai shart rakha hai .
ORI:- usne jo tera ko dhokha diya uska kya...woh kaise bhul sakta hai tu.. uski itni badi galati kaise najarandaz kar sakta hai
R:- yeh Pallavi ka akhiri galati hai jisko mai maaf kar raha hai, eska baad agar usne koi bhi galati kiya toh usi waqt us galati ka saza dega mai
LWR:- agar tu Pallavi ka galati maaf kar diya hai toh phir es rishte me yeh sharteein kaiko shamil kar raha hai
R:- taaki Pallavi chaah kar bhi dubara koi galati kar hi na paaye . Apna pichla rishta me mai Esha ko hamesha uska merji karne diya , kabhi kuch karne se nahi roka .
Agar mera ko koi baat bura bhi lagta toh mai usko khulkar bata nahi pata kaiko ki mera ko darr tha ki mai usko kho dega , lekin mera itna kuch karne ka baad bhi aakhirkar usne mera ko dhokha hi diya na .
Isiliye mai Pallavi ka liye sharteein rakha hai taaki woh hamesa es darr ka saaya me rahe ki mai usko chhor dega . Darr insan ko galatiyan karne se rokta hai .
LWR:- tu phir se Esha aur Pallavi ko compare kar raha hai
R:- haan compare karega hi ...ek baar nahi sau baar compare karega . Kab kiska niyat badal jaaye kya pata , isiliye lagam toh laga kar ke rakhna padega na .
Mai nahi chahta ki ek baar phir se kisi ko mera feelings ka sath khelne ka mauka mile. Phir se koi mera dil tode , phir se mai wahi bewafai ka dard jhele .
LWR:- lekin agar teri en pabandiyon ke bawjood bhi Pallavi tera ko chhor ke chala gaya toh
R:- toh chala jaaye , mai es baar khud ko pehle se hi itna majboot bana lega ki uska jaane se mera ko koi farak na pade . Na usse dil lagayega , na usse pyaar karega
LWR:- tere ko lagta hai ki aisa mumkin hai ....sirf kuch hi din Pallavi tera sath pyaar se raha aur tu usko chaahne laga ...toh phir jab woh saari jindagi tera se pyaar se rahega phir kaise tu khud ko rok payega usko chahne se