Chapter 3

395 40 83
                                    

Woh bewafa na tha yunhi badnam hogaya
Faraaz hazaroon chahnay walay thay kis kis se wafa kerta.
~Ahmed Faraaz

Happy Reading!!!

"Kya mein apse dosti kersakta hoon?" Asfandyaar ne achanak se pocha tha.
"Mera nahi khayal ke uski koi zarorat hai!" Yeh boltay hoye mein agay berh gayi. Woh waheen khara tha. Uska phone baja, aur usne call pick kerli.
"Arey Zara yaarr! Nhi dekhi thi na call tumhari. Acha I'll call you in 5 minutes." Yeh keh ker usne call kant di, aur mere peeche anay laga.
Mujhe usse baat kerne mein koi dilchapsi nahi thi. Isliye mein wahan se chalti banni.
"Arey! Arey! Arey!"

Raat ko sonay se phele mainay Dr. Urooj ki di hoi anti-depression tablets nikali aur lenay hi lagi thi, ke unki kahi hoyi yeh baat yaad ayi, "Koshish kerna, ke inka istemaal na hi kero." Yeh soch ker mainay tablets utha ker side per rakhdein.

"Uth jao Anmol! Subha ke 10 baj rahay hain." Ammi ne darwaza peet te hoye kaha. "Darwaza kholo beta!"
Mainay bedehani mein dawa ki bottle utha ker alamari mein phenck di.

Shaam ko abbu ke dost ke ghar dawat thi, mein jana nhi chahti thi. Sach tw yeh tha ke mera dil kaheen lagta hi nhi tha. Bus us ek shakhs ka dehan mere dmagh se jata hi nahi tha.
"Hi! I am Zara!" Usne haath berhatay hoye mujhse kaha.
"Anmol! Anmol Mustafa!"
"Apse mil ker kafi acha laga."
"Yeah... Same here!" Us muqhtasir si gufatafo mein hi woh larki mujhe bohot pasand agayi thi. Mein usually kisi se bhi itni jaldi impress nahi hoti.

Ghar aker mainay apnay phone mein Hamdan ki tasweerain dekhne lagi. Usko dekhte dekhte na janay kab mere phone ki screen mere ansoonon se bheeg gayi.

Tumse milne ki tw ab dour dour tak koi aas nahi hai mujhe, ya sach pocho tw ab umeed hi kho di hai mainay, aaj se chund saal phele tumhari shakal aur awaaz chubti thu mujhe, aur aaj... aaj Khuda se tumhe khuab mein dekhne ki dua mangti hoon. Itni duaon ke baad agar dikh bhi jao tw bus wohi adhora khuab, jisme... Jisme mein tumse baat bhi nhi ker pati.

Takiyaa ab halki halki si geeli hochuki thi, mainay karwat li aur phone utha ker side per rakh diya.

"Hamdaaannnnnn!!!" Meri nend ab toot chuki thi.

Ya Allah! Phir wohi khuab. Aaj tw mein itna khareeb thi, uski awaaz bhi sunli thi in kanoon ne. Tw phir kyun meri nend tordi Ya Khuda?

"Hello Zartab?"
"Haan kya hoa? Pareshan lag rahi ho kafi?"
Uski awaaz sun ker kuch sakoon mila tha. Laga tha ke jaisay ab mein kuch halka feel keron gi.
"Tumhe kuch suna na tha."
"Sunao" Usne hanstay hoye kaha tha.

"Kal Raat jab tum khuab mein aye thay mere
Laga tha jaisay sans mein ayi thi sans mere
Tumhari awaaz sun ker mera waqt tha thum sa gaya
Laga tha jaisay barsoon baad in kanoon ne kuch tha suna
Meri tumse milne ki khahish jo poori ho gayi
Laga tha jaisay koi adhura khuab ho gaya tha poora
Beshuk woh chund lamhoon ka ek khuab tha
Laga tha jaisay woh mukamal thi zindagi meri."

(A/N: Sorry ap logon ko meri shayiri bhugatni peri 😂😂 2 saal purani hai isliye please no negative raye)

Apni shayiri khatam kerte hoye, meri ankhain ansoon mein doob chuki theen.
"Kyun khud ko aziyat deti ho Anmol?"
"Shayiri kaisi thi?"
"Achi hai yaarrr. Magar mein janti hoon ke kis aziyat se guzar ker likhi hai yeh tumne. Mujhe kaisay pasand asakti hai yeh."

"Mein soch rahi hoon ke kyun na kitab chapwadoon?" Mainay muskuratay hoye kaha.

"Bus ab zyada hi hogaya!"

"Insan chahay kitni bhi izzat kamalay. Best friends ke samnay zaleel hi hota hai." Mainay hastay hoye Zartab (So true na MariamArif5) se kaha.

*A/N:
Assalam O Aliakum!
Chapter kaisa tha?
Asfandyaar ya Hamdan? Kon pasand hai Anmol ke liye?

Please drop down your opinion! Your raye can help me improve.

Ay Dil bta kya apni Khata thi
Jiski mili yeh humko Saza hai

25th November 2017

Sadqay Is Dil keWhere stories live. Discover now