Alhumdullilah my novel Khuda Rooh aur Khuwaish is the WINNER of The Desi Awards 17
~"Teri Soorat se nahi milti soorat kisi ki
Hum jahaan mein teri tasaweer liye phirte hain"Listen to the song above while reading the chapter!!!
Subah se uth ker mein Dr. Urooj ki di hoi antidepression tablets dhond rahi thi, na janay mein unhe kahan rakh ker bhool gayi thi.
"Kya mein andar askati hoon?" Zara ne darwaza, jo ke khula hoa hi tha, usse knock kerte hoye kaha.
"Yeah sure! Aao na!" Mein apni pareshani chupatay hoye muskuradi.
"Kuch kho gaya hai kya?"
"Haan meri ek bohot zarori cheez."
"Woh tw dikh hi raha hai!" Woh thori dair ruki. "Khair mein tumhe tumharai zarori cheez tw nahi dhond ker desakti. Per is waqt jo tum apni billion dollar smile kho chuki ho, usse dhondein?"
Mein usse dekh ker muskuradi.
"Aao betho na!" Mainay bed per se kaprey samaitay hoye kaha.
"Acha mall chalain, agar tum free ho tw?"
"Yeah sure.. Waisay bhi mein jab se ayi hoon zyada kaheen gayi nahi."
"Chalo phir!"Thori dair window shopping kerke, humnay movie dekhne ka plan bnaya.
"Oh hey! Apse ek baar phir mil ker acha laga." Usne muskuratay hoye kaha.
Uff Allah! Mein jis shks se kabhi nhi milna chahti thi, usse kyun mere samnay leaye aap?"Jee!" Uski batoon ka aaj phir mere pass koi jawab na tha.
"Tw dawaon ne kuch aser kiya?"Uski is baat ne mujhe ghussa dila diya tha.
"Apke liye tw yeh mehez ek mazak hai, magar mere liye yeh meri zindagi hai, meri tamana hai, meri akhiri sans tak na juda honay wala ek ehsas hai."
"Arey aap tw bura hi maan gayein. Lekin ek baat mein apko btadon, khud ko aziyat dene se kuch haasil nahi hoga." Mein jaanti thi, ke uski baat mein sachayi hai. Akhir yehi baat mein na janay kis kis se sun chuki thi. Per khud ko bolnay se rok na payi.
"Agar woh nahi, tw kuch nahi! Aur agar woh hai, tw kuch na hotay hoye bhi sab kuch haasil hai."
"Tum log ek dosre jo jante ho?" Zara ne hairat angaiz andaz mein pocha.
"Nahi! Bus ek dafa muqhtasir si mulaqat hoyi thi." Mainay foran hi boldiya, isse phele Asfandyaar kuch bolta.
"Chalo mein introduction keradeti hoon acha wala! Yeh Anmol hai, aur yeh Asfandyaar, mere fiance!" Usne Asfandyaar ka hath pakertay hoye kaha.
Oh! Tw yeh us din ishi se baat ker raha tha. Haye Allah! Abhi itna kuch suna diya isko. Ab kis moo se boloon gi ke Zara ko kuch na btaye.
Zara agay chalnay lagi thi.
"Sunain?" Mainay hichkichatay hoye kaha.
"Nahi btaon ga usse kuch bhi!" Yeh bol ker woh bhi Zara ke saath agay berh gaya. Aur mein hairan pareshan unke peeche chalnay lagi.Raat ko ghar aker mein is soch mein per gayi thi, ke mujhe akhir Asfandyaar se itna sab kehne ki kya zarorat thi.
Kya soch raha hoga mere baray mein woh yaar! Mein kitni bewaqoof hoon mere Allah!Subha 9 bjay mere Dr. Urooj Sheikh ke saath appointment tha.
Mein unke kamray mein daakhil honay hi lagi thi ke mujhe wahan Dr. Urooj kisi se baat kerti hoi sunayi dein."Apko kya lagta hai, ke usne isse dhoka diya hoga?"
"Nahi! Mujhe nahi lagta! Iski batoon se tw yeh zaahir hita hai ke Woh is dar se izhar e mohobat nahi kersaka. Ke usse kho dega--v"Aur woh isliye nahi kersakay gi, ke woh uske baray mein kya sochay ga."
"Mujhe bhi yehi lagta hai!"
Yeh tw Asfanyaar ki awaaz lag rahi hai. Dr. Urooj isse mera case kaisay discuss kersakti hain."Na janay log kyun apni mohobat ka izhar nahi kerte. Kitni mohobatain aise adhori reh jati hain."
"Jee bilkul! Dr. Urooj.... Ap mera case inse kyun discuss ker rhi hain. Mainay as a doctor aapse yeh sab share kiya tha. Aur aap aise hi Kisi ko bhi.."
"Calm down Anmol! Yeh kisi nahi, Asfandyaar Psychology ke second year mein hain, aur yahan apni internship ker rahay hain."
"Mujhe apki kisi daleel mein koi interest nahi hai. Mein apne liye koi aur physiologist dhond loon go." Mein yeh bolker wahan se nikal gayi.
"Anmol please meri baat suno!" Asfandyaar mere peeche, mujeh roknay ke liye araha tha.
*Author's Note:
Assalam O Aliakum Evryone!!!
Chapter kaisa laga?Kya Asfandyaar Anmol ko rok sakay ga? Ya yaheen per Dr. Urooj aur Asfandyaar ka chapter khatam hojaye ga?
Last part mein ap logon ne kaha tha ke Anmol ke saath Hamdan ko hona chahiye! Please iski wajhay comment kijiye.
Jazak Allah everyone!!!
December 4th, 2017
KAMU SEDANG MEMBACA
Sadqay Is Dil ke
Romansa"Tumhe wahaan le aon gi, ke hasna tw dour, tum muskurana bhool jao gay." ~Anmol . Yeh kahani mohobat ki hai, izhar kiye baghair ki hoi mohobat ki kahani. . . Join Anmol Mustafa, in her love/hate story.