Chapter 12 آنکھ بھرنے لگی ہے یادوں سے

236 21 13
                                    


Aankh bharny lagi hai yaadon sy
Shor e darya hai chup kinara hai
Ye daby paoun kon aaya tha
Kis ky aahat ny phir pukara hai
Ye jo ik subha ka sitara hai
Zindagi tera goshwara hai
Ay muqaddar koi hisaab to rakh
Kon jeeta hai kon haara hai
Ye jo ik subha ka sitara hai...!!!

Happy Reading!!!

"Kabhi kabhi mera dil kerta hai ke jaker Alizeh ko Hamdan ki har ek baat btaon, usse Hamdan se Nafrat keradoon."

"Aur isse tumhe kya mile ga?" Asfandyaar ne intehayi naram lehjay mein pocha.

"Mein usse barbaad kerdena chahti houn! Mein chahti houn usse dhoka mile!"

"Tum janti ho ke tumhara naam ajaye ga sab ke samnay, jis mohobat ko na janay tum kab se dil mein chupaye bethi ho, woh sab ke samnay ajaye gi Anmol."

"Mujhe ab koi farq nahi perta."

"Tum kyun apni paak mohobat per daagh laga rahi ho?"

"Mohobat mein insan kisi bhi had tak jasakta hai, phir usse farq nahi perta duniya ki kisi bhi cheez ka. Koi saath ho na ho farq nahi perta."

"Mein saath dunga tumhara, har haal mein saath dunga!"

"Abhi tw bohot kuch hona baqi hai, kahan tak saath dogay?"

"Baghawat ki akhiri sans tak!"

🍁 🍁 🍁

Ghar wapis anay ke baad kafi dair tak mein Asfandyaar ke saath ki hoyi batoon ke baray mein sochti rahi. Kya hogaya hai tumhe Anmol Mustafa? Kyun Asfandyaar ka chehra baar baar tumharay samnay araha hai?

Me
Kaisi ho Zartab??
[7:04 pm]

Zartab
Mein theek Alhumdullillah!!
[7:07 pm]

Me
Kya ker rahi ho??
[7:07 pm]

Zartab
Tum itni formal kyun ho rahi ho??
Khairiat?
Hamdan tw yaad nahi araha???
[7:08 pm]

Me
Hamdan hi reh gaya haina Bus yaad anay ko ab mere pass.
[7:08 pm]

Zartab
Kya hogaya hai Tujhe??
[7:08 pm]

Me
I am sorry yaar!!
[7:09 pm]

Zartab
Rulaye gi kya?
Acha yeh bta Asfandyaar kaisa hai??
[7:09 pm]

Me
Asfandyaar kahan se agaya?
[7:10 pm]

Zartab
Nahi Aaj tumne Zikr nahi kiya na uska abhi tak isliye pocha
[7:10 pm]

Ya Allah kya mein har waqt isse Asfandyaar Asfandyaar kerti rehti houn??
Mera dmagh kyun kharab hogaya hai? Har waqt is Asfandyaar ka zikr kyun ajata hai kaheen na kaheen se?

🍁 🍁 🍁

[Few years back in Karachi, Pakistan]

"Aur Hina kya chal raha hai ajkal?" Mainay usse hanstay hoye pocha.
"Kuch bhi nahi! Tum ne kyun poocha achanak?"
"Nahi aise hi!
Aur elections mein phir vote derhi ho XYZ (political party) ko?"
"Nahi bhai, mein kyun dene lagi."
"Nahi matlab Hamdan Bhai ke liye." Mainay usse cherte hoye kaha.
"Na Bhai! Itni achi nahi mein. Aur waisay bhi Abhi vote dalnay ki umar nahi!" Usne hanstay hoye kaha.

"Hamdan Bhai? Bhai kahan se hogaya woh tumhara Anmol? Abhi 3 din phele tw flirt ker rhi thi tum usse!" Hamari ek classmate ne baray serious andaz mein bola.

"Haye toba! Mainay tw politics wala Bhai bola tha, meri tw baat tak nahi hoyi kabhi usse! Iski bakwas na sunna Hina." Mainay Hina ko samjhatay hoye kaha.

"Trust hai yaar tum pey."

Hina trust??
Meri dua hai ke yeh trust mein tumhara kabhi na torun. Per mein kya keroon Hina? Uske rooz rooz mujhe dekhne se, mere Aas pass honay se mujhe dar hai ke mein feelings na develop kerloon uske liye. Ya Allah! Mujhe kisi azmaish mein na dalna.

A/N:
Assalam O Aliakum!!!

For those of you who don't remember Hina
She is Hamdan's ex-girlfriend
I talked about her in chapter 6

Rafa rafta ye majra bhi khula
Dil ky sody mein sab khasara hai
Kesi uftad padd gai aakhir
Waqt guzra nahi guzara hai
Ye jo ik subha ka sitara hai
Ishq ky darmiyan bhol gaye
Kiya tumhara hai kiya hamara hai
Rang bhi khul raha hai chahat ka
Kis ny manzar ko yon sanwara hai
Ye jo ik subha ka sitara hai

Sadqay Is Dil keWhere stories live. Discover now