Chapter 13 تو جانے نا

178 11 4
                                    

Usne Humse apni mohobat ka naam leker kaha
Suno usse mere liye mangna
Phir kya tha, humain Wafa bhi tw nibhani thi
Uske liye uski mohobat humne apnay sajdoon mein mangi

[Present Time, Mississauga, Canada]
"Uske taarnay ko pyaar Mainay samjha tha, qasoor mera hai yaar uska nahi."

"Tum kyun khud ko qasoorwaar samjh rahi ho Anmol? Ek tarfa pyaar tw mainay bhi kiya hai Zara se, magar mein tw har waqt apne apko is ghalti ki saza nahi deta rehta."

"Yeh ek tarfa mohobat honi hi nahi chahiye na Asfandyaar?"

"Agar sachay dil se ki jaye, tw ek tarfa mohobat bhi miljati hai." Usne mere barabar mein bethte hoye kaha.

"Tumhe milgayi kya?"

"Shayad sachay dil se ki hi nahi!"

Uske yeh kehne ke baad hamaray beech kafi dair tak ek ajeeb si khamoshi chayi rahi.

"Arey Sarah mujhse poch rahi thi ke tumhari aaj kal bohot Anmol se dosti hogayi hai, sab khariat tw haina?" Asfandyaar ne achanak se kaha.
"Sarah? Woh Zara ki best friend na?"
"Haan wohi!"
Mainay smile kerte hoye usse pocha, "Tw tumne kya kaha?"
"Kuch kehna tha kya?" Usne muskuratay hoye kaha.
"Khair mein chalti houn!" Yeh keh ker mein wahan se uth ker chali gayi.

Kya chal raha hai yaar meri zindagi mein? Kahan tw mere zehen mein Hamdan ke ilawa kuch ata nahi tha, aur ab har waqt Bus Asfandyaar hi rehta hai.
Anmol? Kaheen mohobat tw nahi hogayi Asfandyaar Se?
Yeh kaisay hosakta hai?
Mohobat dosri baar kaisay hosakti hai?
Mohobat tw Bus ek baar hoti hai, sirf ek insan se hoti hai! Mainay tw Mohobat ke beinteha daway kiye thay, kyun mera dil Asfandyaar ke liye Aaj ruk raha hai? Kya ho raha hai mujhe?

[Few Years Back in Karachi, Pakistan]

"Oye Zartab? Aaj Hamdan nahi aya kya?" Meri nazroon ne usse har jagha talash kerliya tha.

"Haan, nazar tw mujhe bhi nhi aya."

"Chuti kerta tw nahi hai woh waisay."

"Ruk! Pta lagati hun."

Yeh keh ker Zartab Hina ke Pass gayi, "Arey Aaj tum yahan kaisay? Woh kahan hain tumharay?"

"Usko Miss Sanjeeda ne apnay Office mein bulaya hai. Tw Hum yahan akele kharay hain."

"Miss Sanjeeda ne? Kya kerdiya becharay ne?" Zartab ne hairaangi Se Hina Se poocha.

"Uski shayd Haisam Se larayi hoi thi Kisi baat per, woh Miss Sanjeeda ko pta chal gayi."

Yeh sun ker Zartab Mere Pass ayi.

"Anmol! Uski larayi Haisam Se hoyi hai."

"Kya? Magar kyun?"

"Tum kya soch rahi ho Anmol?"

"Dar lag raha hai Zartab mujhe, bohot shadeed dar."

[Present Time, Mississauga, Canada]

Mein apni diary kholay bethi thi.

Kya waqt tha woh bhi.
Haisam Zartab Se Mohobat ke daway kerta tha, aur mein Haisam aur Zartab ko milanay ke chakar mein khud ko badnam kerne chali thi.

Author's Note:
Assalam O Aliakum!!!
Kaisay hain aap log?

And I am really Sorryyyyy Itnay time baad Update ki hai.
University ka Start tha, plus hostel life mein adjust kerne ki koshish ker rahi tw update nahi kerpayi.

But I promise ab jaldi updates keroongi.

October 11th, 2018

Sadqay Is Dil keWhere stories live. Discover now