Chapter 8

240 24 74
                                    

Mein rahoon sada teri
Kam na ho wafa meri
~Raunaq e Aashiqi

"Apko woh pasand hai ya ap usse mohobat kerte hain?" Mein Zara se koi bhi baat kerne se phele Asfandyaar kitna serious hai yeh jan na chahti thi.
"Agar mohobat ko tumharay tarazoo mein napoon, tw Zara ke liye jo mere dil mein hai woh pasandjidgi hai."
"Pasandjidgi ek waqti ehsas hota hai, jo waqt ke saath badal bhi sakta hai."
"Hmmmm.. Tw phir kya kiya jaye?"
"Khud ko waqt do Asfandyaar. Kyun ke agar yeh sirf pasandjidgi hai, aur mohobat nahi tw aglay banday ke liye mushkil hojaye ya."

"Tw Anmol kya tumne usko haasil kerne ki umeed chordi? Waisay itna sab pta hai mujhe magar naam nhi!"
"Hamdan! Hamdan Ali Khan!
Haan aisa hi samjhlo."
"Umeed tw sabirmand insan ki kaneez hoti hai Anmol, tumne kyun chordi?"
"Mujhe Rooh tak zakhmi ker gaya hai woh." Uske pass meri baat ka koi jawab nahi tha.

"Acha mein chalti houn phir,"
"Mein drop kerdeta houn?"
"Nahi mein chali jaungi, Thankyou!"

Mein Ghar aker Ammi ke pass beth gayi. Woh naamaz perh ker ab duayein mangnay bethi theen.
"Ammi aap yeh lambi lambi duayein kiske liye mangti hain?"
"Yeh duayein hi hamari hifazat kerti hain!"
"Aur jo log Allah se nahi mangtay?"
"Beta bachata tw unhe bhi Allah hi hai! Lekin jo mangta hai usse yaqeen hota hai ke Allah uske saath hai."

Mainay kyun umeed ka daman chordiya hai? Mein kuch aur nahi kersakti, magar Khuda se usse mang tw sakti hi houn na!

"Umeed tw sabir mand insan ki kaneez hoti hai."

Asfandyaar ki yeh baat mere zehen mein ghoom rahi thi. Nahi Anmol! Nahi! Tumhe umeed nahi khoni chahiye! Agar taqdeer chahay tw woh tumhe milsakta hai.

لے چلوں تم کو زامانے سے کۂیں دور پرے
ساری دنیا کی نگاہوں سے کہیں دور پرے
اک تم ہی تو بسے ہو میری سانسوں میں پیا

Mein rahoon sada teri
Kam na ho wafa meri

Mein Asr ki namaz perh ker dua mangnay Beth gayi.
Ya mere Maula! Aaj mein apse yahan Hamdan ko mangnay nahi ayi. Mein apse sabar mangnay ayi hun. Mein usse bepanah mohobat kerti hun. Mein usse jaiz mohobat kerti hun. Aur Allah tu tw bohot Raheem hai, apnay bandoon ki har jaiz dua qabool kerta hai. Meri bhi dua qabool kerle. Ameen!

Namaz perh ker mein apni diary khol ker beth gayi, mainay ek naya safha khola.
September 2012, yeh mahina agar mein chahun bhi tw apni yadoon se delete nahi kersakti. Jab Hamdan tum ne mujhe pheli dafa dekha tha. Aaj us sab ko 6 saal honay ko hain, lekin Hamdan tumne meri zindagi waheen rokdi hai. Aaj bhi mein Karachi ki un hi galiyoon mein busti houn.

Tumse milnay ki tw ab dour dour tak koi aas nahi hai mujhe, ya sach pocho tw ab umeed hi khodi hai mainay, Aaj se 6 saal phele tumhari shakal aur awaaz chubti thi mujhe. Aur Aaj Khuda se tumhe khuwab mein dekhnay ki duayein mangti houn. Hazaroon duaon ke bawajood bhi tumhari jhalak nahi dikhti.

تیری سانسوں سی بندھا دل تھا تجہسے ہی جرا
بن ترے اک قلاہ کس  طرح سانس میں لوں
آ  مجھے تو ہی بتا میں جیوں یا نا جیو ں

Haisam? Haisam ka message, woh bhi itnay arsay baad?

A/N:
Asalam O Aliakum!!!
I want to know where are my readers from, Please drop down your City,
Country.

Chapter Kaisa tha??
Koi suggestions??

Please leave your votes and comments!!

Jazak Allah

April 17, 2018

Sadqay Is Dil keWhere stories live. Discover now