Chapter 1

775 58 41
                                    

Flight se bilkul phele tak mein usse mustaqil call rahi thi.
'Apka matloba number is waqt band hai. Baraye meherbani kuch dair baad koshish kijiye.'

Ya Khuda! Ya tw woh phone uthale. Ya mujhe isi waqt mout ajaye.

Plane takeoff kerne mein bus chund hi lamhe baqi thay. Ya Khuda! Mein ab tere hawale!

Plane Canada land kerchuka tha. Mein shyd wahan mojod akeli insan thi, jiski rooh abhi tak Karachi ki galiyoon mein hi mojood thi.

"Kaisa lag raha hai?" Ammi ki chachi ne mujhse pocha.
"Jaisa hai!" Mein achanak haqeeqat ki duniya mein wapis agayi thi. Airport se ghar tak ka rasta bohot khamosh tha. Har taraf snow ki safaidi chahi hoi thi. Mere dmagh mein sirf ek hi sawal tha, akhir yeh sab mere saath hi kyun hoa?

Log kehte hain ke pyaar ka ehsas bohot khoobsorat hota hai. Mere tw andar ki saari khoobsorti is pyaar ne mitadi thi.

Ghar pohochtay hi mainay sabse phele wifi connect kiya tha.

Me
Hamdan. Please reply as soon as you see this message.
[11:30 PM]

Karachi mein subha ke 7:30 ho rahay hongay. Yaqeenan woh so raha hoga.
Poori raat mujhe nend nahi ayi. Bus yehi khayal araha tha ke Hamdan kya kahay ga. Kya sab kuch theek hojaye ga? Ya sab khatam hojaye ga?

"Anmol tum soo kyun nhi rahi?" Mumma ne mujhse pocha.
"Mumma nayi jaghe hai na isliye."
Unse jhoot bolnay per majboor thi mein.
Jaisay hi mera phone vibrate hoa, mainay lapak ker usse uthaliya.
Hamdan ka msg! Mere dil ki dharkanay ushi waqt taiz hogayein theen.

Hamdan
Who's this?
[5:30 AM]

Me
It's Anmol
[5:32]

Uske pass thori na mera number hai. Pareshan mat ho Anmol! I said to muself.

Hamdan
Anmol kon?
[5:32]

Mera tw jaisay waheen dil ruk gaya tha.

Me
Kya matlab kon Anmol?
[5:33]

Hamdan
Mein kisi Anmol ko nhi janta
[5:34]

Me
Achi baat hai ke nahi jantay. Tum is qabil bhi nhi ke mujhe jano. Mujhe tw bus galiyaan deni theen tumko.
[5:35]

Hamdan
Haha! Agar isse tum khush hogi tw go ahead!
[5:36]

Me
Mainay tumhara jitna behis insan kabhi nahi dekha Hamdan
[5:37]

Hamdan
*Hamdan Ali Khan
[5:37]

Isse zyada bardasht ka hosla nahi tha mujhme. I blocked him on Whatsapp. Janti thi ke pachtaon gi. Per koi aur option baqi nhi tha mere pass.

Mujhe Hamdan se yeh umeed nahi thi. Bilkul bhi nahi thi.

"Anmol! Larkoon ki fitrat mein hota hai tarna. Khudara isse pyaar na samjhna." Zartab, meri best friend ne mujhe samjhaya tha.
"Arey mein itni pagal thori na hoon ke is Hamdan ko serious loon gi."

Ban gayi thi mein bhi bewaqoof. Mein Anmol Mustafa, Hamdan ke haathon ban gayi thi bewaqoof.

Assalam O Aliakum!
First chapter of 'Sadqay Is Dil Ke' is here 😌
Second chapter is going to be about the past of Anmol and Hamdan.
What do you guys think? Hamdan ne kuch kiya bhi hai ya Anmol aise hi uske peeche pagal horahi hai?
Please leave your thoughts on the chapter!
And don't forget to press the star for me 😇
Jazak Allah
Stay Blessed everyone 😍

November 5th, 2017

Sadqay Is Dil keTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon