Naina ke father Naina se khush bhi he aur pareshan bhi. She was brilliant student. Lekin usko naukari ni karni thi isliye usne senior secondary science stream se karke psychology me masters kiya. Ek hi ladki thi isliye mr. Vikas singh Rathore ne Naina ko kuch nahi kaha. Aur kahte bhi kyu.. har class me top kiya unki beti ne jabki unka eklauta beta, jo shuru se Ek MNC join krna chahta tha, har bar mushkilo se pass hota tha. Upar se uske jhagde jo Mr. Rathore ki jagah Naina solve krti. Lekin is bar Naina problem me he..
'Beta wo prince he. Lawyer bhi he. Kam dhandha to karta hi he teri tarah khali ni baithta..'
'Ma please, wo future bigadta he me sawarnti hu. Kabhi kisi lawyer ne koi ghar aawad kiya jo ab karega? I am saving most important resources, water resources.'
Mrs. Seema Rathore nodded. Unki sunta kaun he. Beti ko leke unke arman pani me bah gye.. socha tha beti nam karegi, wo to kuch kam hi ni kar rhi..
'Tum ko kya lagta he naina? Kya tum uske sath life spend karna chahti ho?'
'Sach bolu dad. I am confused. His First impression was worse than that of an idiot. But he donated in our NGO. He helped us. Uski is bat ne waqi sare pap dho diye..'
'Naina, tu bacchi ni he. Kabhi na kabhi shadi kategi hi. Bas ye dekh lena ki insan kaisa he. Teri bhutni jaisi shakl par koi accha insan to marega nahi..isliye mujhko is rishte me koi interest nahi... waqi teri marzi.'
'Naveen, tu sirf advise ke liye yaha bulaya gya he wo kar. Taunt na mar. Warna mujhko bhi pta he ki shaql kiski acchi thi aur kisne propsal on terms bheja tha Sunayna ko.'
'Tum dono shant raho. Me taiyar hu naina ki shadi ke liye. Agar ladka royal family se belong karta he aur iske liye pagal he to burai kya he?'
'Burai ye he ma ki me confused hu. Mujhe ni samajh aa rha ki wo kaisa he. Shayad wo shadi ke bad badal jaye aur mujhse pyar na kare.'
'To live in me rah le'
'Naveen hamra lihaaz kar liya karo. Mana ki hum kuch bolte ni lekin abhi bhi kuch regulations he is ghar me.'
'Sorry dad.'
'I've decided what to do.' Naina has thought something but will it work?
Naina abhi Patna he, apne Ma ke Patents ke ghar. Bikaner se bhag kar wo apne home town Kanpur pahuchi to pta chala sab log uske mama ke yaha gye he. Her Extra money was spent in travel expances.
Naina ne soch to liya ki wo kya karegi lekin usko ye ni pta ki Abhimanyu kya he? Uski habbits kya he? Uska nature kya he? Does he respect others? Pta nii..
Kisi na kisi ladke ko jhelna tha chalo ye ashiq hi sahi..*****
Jab abhi ne Naina ki bat suni to usko aisa lga jaise kisi ne use rasmalayi me doodh ki jagah karela ka juice dal diya ho..
'Hum prince he.. koi sadakchhap ni. Naina ko humse vivah to karna hi padega. Hum unko do months sath rakh kar unka denial ni sunenge. Ye hamari insult hogi. Waise bhi Hamare charm par unka dil fisal hi jayega.I am sure that I'll win her.'
Naina ne kaha he ki usko do maheene Abhi ke sath rahna he... not like live in..just walk together, eat together, go everywhere together...just in order to know each other well....
Abhimanyu ko nii pasand aya ye idea. Lekin dil ke hatho majboor he mr. prince. Ye bhi koi bat huyi ki hum shadi se pahle apko jan na chahte he...puri umar padi he jan ne ko.... hum bhage thodi na ja rahe he. Aur waise bhi ek Royal family me shadi hona bahut badi bat he..
Abhimanyu Naina ko shadi ke bad aisi conditions rakhne ni dega...*******
Naina ne Abhi ke sath do week spend kar to liye lekin na to uske dil me ghanti baji na sitar...
Na to usko goosebump feel huye aur na hi pyaar..Chalo koi nahi abhi to ek month aur he.. lekin Abhi itna sweet bolta he ki Uske kano ko diabetese ho jati he.. Naina ko uski flattering nahi pasand.
'Naina, hum delhi ja rahe he. Teen din me wapas aayenge. Tab tak ap Hamre baba sahab aur Masa se mil lijiyega.'
'Me wo akar mil lungi. Abhi mera man nahi lagta NGO me.. mene jitni reports deni thi bna kar de di.. mujhko ek week ka rest mila he. Me bhi chalti hu na delhi.'
Abhimanyu ko case ke silsile me delhi jana he. Naina waha kya karegi. Teen char act hi mushkil se yaad honge. Waha jakar ye panga to kar sakti he lekin koi kaam ni..
Lekin abhi mna ni kar sakta .....Sirf ek month aur phir wo Naina ko Aise ghumne ni dega..'Thik he phir. Hum apki bhi ticket karate he.. Sham ki flight he. Agar book nahi huye tickets to next flight le lenge.'
Naina ko acrophobia he..usne socha ki agar abhi isko bolegi to ye bhaw khayega ..usne alternate idea use kiya..
'Hum car se chalte he na.'
Naina insisted and Abhi had to agree.*****
'Naina dhire chalayiye.. Naina dekhiye. Car ko second gear me hi daliye. Naina please..'
Abhimanyu ne pichle do ghante se 40 kmph ki speed cross ni ki thi. Naina ka dimag satak gya. Usne Abhi ko passenger seat par baithaya aur ab car ka speedometer 60+ show kar rha tha.Abhimanyu ko gussa aaya. Usne Naina ka left hand pakad kar apni taraf khicha aur car disbalanced ho gyi..
'Hello 100, hello, Ye Jaipur-delhi highway par ek accident huya he. We need help.'
'Ma'am call 102. We're police. If you're criminal, in that case we can help you in getting arrested.'
YOU ARE READING
ISHQ PAR JOR NAHI.
FanfictionTypical romance fiction..actually fanfiction. This is just another cliche. as usual Abhimanyu, a rich man has fallen for a middle class girl. but the girl is not ordinary. she is the one who is always confused. she doesnt know when to shut her mout...