Part 28: CLUMSY!!
''main bhaiya se bhi bahut pyaar karta tha..woh 6 saal bade thhe mujhse isliye woh mujhe beta kehte thhe..
Pooja di aur bhaiya ek dusre se bahut pyaar karte thhe...
unn dono ki shaadi hone wali thi!...jitna pyaar bhaiya mujhe karte thhe,utna hi Pooja di bhi karti thi..'' his eyes shedded numerous saline pearls....
''sab itna achha tha toh tum wahan se yahan kyun aa gaye?'' she asked keenly....
''haan sab achha chal raha tha...par phir ek din maa chali gayi!..hamesha ke liye...she died in an accident!...main aur bhaiya bilkul toot gaye thhe....bhaiya toh bilkul pagal se ho gaye thhe!..kyunki woh maa se sabse zyada pyaar karte thhe!...isi dard ko kam karne ke liye unhone drugs lena shurukar diya!'' he rubbed his forehead in anxiety....
Sanyukta lowered her eyelids and quivered a bit....
''maine aur Pooja dine unhe bahut samjhaya aur bahut rokne ki koshish ki...lekin tab tak bahut der ho chuki thi...woh iss kadar apne aap ko kho chuke thhe ki unhe wapas laana humare liye impossible tha!...'' he clenched his fists to let out his pain and frustration....
''phir wahi hua jiska dar tha....bhaiya ne drug overdose ki vajah se apni jaan gawa di!...aur mera sab kuchh chhin gaya!..pehle maa..phir bhaiya!''....he started weeping badly....
''Randhir....calm down...mat ro please!!..'' she cupped his face.....
''mere paas koi apna nahi hai Sanyukta....nobody!..main kisi se apne dil ki baat nahi kar sakta...kisi se apna dard nahi baant sakta!...'' he shut his eyes hard and a stream of tears made their way....
''tumhare Papa...woh toh hain na!..tumhe unhe kyun chhodkar aa gaye?'' she questioned innocently....
''unke paas waqt kahan hai mere liye...pata hai woh toh maa ke antim sanskaar meinbhi nahi aaye thhe,kyunki uss din unki ek business deal thi!...kya karun main aise baap ka!..maa aur bhaiya ke jaane ke baad wahan rehne ka koi matlab hi nahi tha,toh main yahan aa gaya...aur yahan aakar tum mili!'' he gazed at her.....
''tum pehle hi itne dard mein thhe aur phir bhi mere dard ko apna bana liya....kyun Randhir!...kyun kiya tumne aise?'' her eyes became moist....
''koi apna nahi tha mere paas...tumhe dekha toh laga ki koi apna mil gaya hai!...aur apno ka dard apnane mein dunia mein sabse khushi milti hai Sanyukta....maine apna sab kuch kho diya,par tumhe nahi khona mujhe!'' he hugged her tightly and she responded equally....
TO BE CONTINUED
YOU ARE READING
CLUMSY
FanfictionPROLOGUE: CLUMSY Okay so its time to tell u people about CLUMSY and its characters... Its a different story with different kind of characters....like a matryoshka doll!..which has many other dolls hidden inside it...it runs on the theme,WHAT GOES AR...