Raman decided to talk to the Iyyer-Bhalla family and convince them against getting Subbu and Ishita married. He was waiting for Ishita to move out of the house as he didn't want her to know anything at that moment. It could have worsened her health. Raman never wanted the new rays of hope that he was getting due to Ishita and his friendship to fade away. When Vandu and Ishita went out for shopping, he took the opportunity to talk to Amma-Appa. He also called Mr. and Mrs. Bhalla to Iyyer house.
R: Amma, Appa, Mummy, Papa, yeh sab kya chal raha hain? Aap log Ishita aur Subbu ki remarriage karane waale ho?
Am: Tumhe kisne bataya?
R: Khud Ishita ne.
Ap: What?! Par wo tumhe kab mili?
R: Roj subah hum dono morning walk par jaate hain. Hum dono ab bohot achhe dost hain. We share everything with each other.
Ap: Impossible! (shocked) Itni badi galati kaise ho gayi mujhse?! Iska matlab Ishu jis special friend ki baat kar rahi thi, wo tum ho! Isiliye wo mujhe iss shaadi ke liye jyaada khush nahi lag rahi thi...
Am: Vishwa, tumne mujhe bataya kyun nahi ki tumhari Ishu se aisi koi baat hui thi?
Ap: Madhu, mujhe laga that she is talking about Subbu. But it was Raman!
R: Haan. Lekin please kya ab aaplogon ko samajh mein aa raha hain ki woh aisi koi shaadi nahi karne waali...
Mrs. Bhalla: Lekin agar yeh shaadi nahi hui toh Ishita par kitna bada khatra.... I mean... I mean woh zindagi bhar ke liye akeli pad jayegi.
R: Maa, kya sach mein yahi baat hain. Mujhe aisa kyun laga ki aap kuchh aur kena chahti thi?
Mrs. B: Main..? Nahi toh. Lekin yeh faisla ho chuka hain ki Ishita aur Subbu ki shaadi ho ke rahegi.
Mr. B: Haan main bhi iss baat mein Toshiji ke saath hoon. Ishita bohot akeli aur besahara mehsoos kar rahi hain. She desperately needs a companion.
R: Lekin woh meri companion hain papa. Biwi hain woh meri.
Am: Enough Raman. Aaj tak tumne jo kuchh bhi kaha, jo kuchh bhi kiya, sab humne bardaasht kiya. Jab tum dono ki shaadi karwayi, you were not at all happy with it.
R: Lekin ab haalaat badal chuke hain Amma.
Am: Bilkul nahi. Tum aaj bhi wahi Raman Kumar ho jo uss Shagun ke pyaar mein pagal hain. Tumhe Ishu chahiye sirf tumhari bachhon ki aaya banane ke liye taki tum Shagun ke saath aaiyashi kar sako.
R: (in tears) Amma, aap aisa sochte ho mere baare mein. Huh! Aur... aur aap sab? Aap sab bhi Sehmat ho na iss baat se. Aap log samjhte hi nahi ho mujhe. Samajhna chahte hi nahi toh. (almost crying) Sirf ek meri Ishita who truly understands me. Toh aap log humara rishta todne par kyun tule huye ho.
Ap: Raman hamein bhi yeh karte huye khushi nahi ho rahi par yehi sahi hain.
R: Really Appa, jisme aapke beti ki khushi hi nahi, woh sahi lag raha hain aapko. Are Subbu se pyaar karna to dur, woh use pasand bhi nahi karti. Toh aap sab meri Ishita ko uss insaan ko saup rahe ho jo uska dost tak nahi hain.
Am: Ishu ko dheere dheere pyaar ho jayega usse. Tumse nahi hua tha! I actually feel really good for her ki woh tumhara pyaar bhul gayi, tumhe bhul gayi. Tumne use nafrat, insult aur dhoke ke alawa aur diya hi kya hain?!
Mrs. B: Tu sahi keh rahi hain Madhu. Main bhi apne puttar ko nahi samjha payi Ishita ki achhai. Isiliye ab main chahti hoon ki meri bahu nahi balki humari beti ek achhe insaan se shaadi karke settle ho. Use wo sab mile jo woh deserve karti hain.
R: Aur kal jab use sab yaad aa jayega tab?
Am: Tab hum log use sab sach samjha denge.
R: Are aap log yeh sab kaise soch lete hain... pyaar karta hoon main usse, aur aap logon ne toh uski baaraat taiyyar kar di.
Ap: Toh kyun na kare. Tumhe jo karna tha tumne kar liye. Shagun ko apne teesre bachhe ki maa bana diya. Tum chaho ya na chaho Raman, hum log yeh shaadi Ishu ki khushi ke liye jaroor karwaenge. Aur ek sach yeh bhi hain, ki chahkar bhi kabhi tum dono ka rishta phir kabhi pehla jaisa nahi ho payega. Pehle Shagun tumhara past thi, lekin ab woh present hain. Ek se pyaar aur ek se bachha itna dardnaak future hum humari beti ko nahi e sakte.
R: Aisa kuchh nahi hain Appa. Trust me please.
Mr. B: Toh batao Raman, Shagun ke pet mein tumhara bachha kyun hain.
R: (smiles sadly) Woh bachha meri zindagi ka sabse bada sukoon hain. Lekin mujhe andaza bhi nahi tha jo mere aur Ishita ke beech ki sabse majboot dor ban sakta tha wahi humare beech itni badi deewar bana gaya. Abhi main aap logon ko bas itna keh sakta hoon ki main Ishita se bohot pyaar karta hoon aur uski shaadi Subbu ke saath main nahi hine dunga.
Ap: Tumhare is pyaar ke izhaar par mera yakeen nahi hain Raman. Agar itna hi kehna hain, toh ab tum ja sakte ho.
R: Kehna to bohot kuchh hain Appa, par sirf Ishita se. Usse kai baate chhupa kar bohot badi galati ki hain maine. Sachhai par pehla haq sirf uska hain. Jab tak main use sab nahi batata, main kisi aur se kuchh nahi kahunga. I had promised her ki mere zindagi ki saari sachhaiyan main sabse pehle usi ke saath share karunga. Tab tak main meri taraf se humare rishte ke liye ladta rahunga. But I will never let her go...
And he goes out to face a new challenge to save their relationship.
YOU ARE READING
Guilt, trust, love
FanfictionThis story begins from the scene when Raman sings a song to calm Shagun down and Ishita heard it.