AJ and Guddan arrive home. Maa does their aarti.
Maa: aao beta lunch kar lo tum log bhi. Hum sab b kar rahe hain.
AJ: (making guddan sit) main abi aata hun.
Guddan: nimi teri tabyat kaisi hai. Sab theek haina
Nimi: haan didi sab theek hai bas aapko miss kiya.
Aarti: bhabhi bhai ka mood itna off kyun lag raha hai.
Maa: lalla kal se hospital main thak gaya hoga aur kuch khaaya B nahi hai isne kal se.
Guddan: kya???
Angad: haan bhabhi main aaya thA khaana leke but he said ab jab tak aap khana nahi banaoge wo nahi khayenge.
Guddan gets up from the dining table.
AJ: kahan jaa rahi ho. Baitho aur khao.
Guddan: khana to bana k tha phir ye kyun
AJ: Main aap sab ko kuch batana chahta hoon. Aaj se guddan k khaane ki zimmedari meri. I will myself cook for her. Breakfast aur dinner k time main to ghar pe he hota hun. Lunch maa Manage karegi.
Guddan: akshat par is ki koi...
AJ: maine apna faisla suna diya hai. Ab ispe koi behes nahi hogi and leaves.
Guddan: (thinking) inhe kya hua hai. Poore raaste B mere saath koi baat nai ki aur ab yahan B munh latka rakha hai aur kuch khaya B nahi.
Maa: kya soch rahi hai lalla ne itne pyar se banaya hai khaa ab jaldi.
Guddan: aaru zara ek plate laga main inka khana upar he le jati hun. Aise kaise bhook nahi hai.
Guddan takes the plate and goes to the room. She climbs the stairs with great difficulty. By the time she reaches the room she is completely sweating and out of breath.
AJ: (holding her) kya hogaya tumhe itna haanf kyun rahi ho. Plate mujhe do zara. Baitho yahan aaram se. Ye lo pani piyo. Tum theek hona.
Guddan: haan main theek hoon. Pata nai upar aate aate itna thak gayi. Samjh he nai aaraha kya hogaya.
AJ: tumhara dimag hai ki nahi. Mujhe awaaz laga deti main neeche aajata. Thoda mujhe kuch bata dogi to kuch ho nahi jaayega.
Guddan: aap itna kis baat pe chid rahe hain. Ek to poore raaste you did not utter a word aur phir yahan aake B munh latkaye ghoom rahe hain. Baat kya hai.
AJ: koi baat nai hai. Tum mujhe kuch batati ho, jo main tumhe kuch bolunga.
Guddan: Maine aapse kaha na hogayi galti nahi bataya aapko. Main aapko pareshaan nahi krna chahti thi. Aap meri jagah hote aap kya krte. Please ab bas kijiye.
AJ: main B shayad yahi krta. But ab bahut hogaya. Promise me aaj se hum ek dusre kuch nahi chupayenge chahe kitni he badi baat kyun na ho.
Guddan: i promise and i am sorry. Aapko bahut pareshaan kiya na.
AJ: (hugs her) nahi is sab main tumhari koi galti nahi hai. Aur jis ki B hai use to main dhoond k he rahunga.
YOU ARE READING
Journey of Khadoos Jindal to Romantic Jindal
RomanceGuddan and Akshat Jindal (AJ) are married(arranged) for a year now and so are Angad and Nimisha. Guddan is doing her PhD but nobody knows she is Mrs Jindal. Everybody knows her by her maiden name in the university. AJ and Guddan have a cordial Re...