🌹🌹RONEY KI SAZA HAI۔۔۔۔NAN RULANEY KI SAZA HAI
YEH DARD MUHABBAT۔۔۔۔۔۔KO NIBHANEY KI SAZA HAI🍀🍀🍀
HANSTEY HEN TO ANKHON SEY NIKAL ATEY HEN ANSU
YEH EK SHAKHS KO BEINTEHA CHAHNEY KI SAZA HAI🌹🌹Wo terrace pr betha us ki sochon men magan tha
Dill e nadan ki ek hi ruttt jo usey dekhney ko machal raha tha wo chahta tha k apney dill ko sambhal ley..
Muhabbat ki naqadri us k dill ka sukoon tak barbad kr gie thi...magar wo apney ap pr kabu rakhna janta tha
Yeh such tha k be laous muhabbaton ney usey maghroor bnaya tha magar apni muhabbat ka yun thukraya jana us ki zindagi ko hila kr rakh gaya thaDhalti sham us k under k andherey ko mazeed gehra krti ja rahi thi...kun ramsha kun kia esa tum ney??
Dill hi dill men dushman e jaan ko mukhatib krta howa sawal kr raha tha magar jawab nan pa kr wo mazeed afsurda ho jata tha...Esa nahi k us ney ramsha ki ankhon men apney liye pasandeedgi nahi dekhi thi wo janta hai k wo bhi muhabbat krti hai us sey phr nan janey kun esa kia us ney
Yahi sawal us ki zehni halat pr war kr raha thaChair pr bethey back sey take lagaye seeney pr hath bandhey howey paon table pr seedhey kr k betha apni hi sochon men magan tha ankhen moondey
K tbhi ankhon k kinarey bheegey howey mehsoos howey or ansu nikal kr kanpatti pr beh gey ali ney udaas sham men sisakti hoi aah mehsoos ki thi us ney ek gehra sans ley k khud ko normal kia or dono hathon sey chehra saf krta howa uth betha wo kab tak yun chup k beth sakta thaRamsha men tumhen kabhi moaf nahi karon ga...
I promised men tumharey samney bhi nahi aonga...
To esa hi ho ga rahi bat is dill ki to isey handle krna ata hai mjhey chahey jesey bhi ho men khud ko sambhal longa🌹🌹YADAIN KUN NAHI BICHAR JATI
LOG TO PAL MEN BICHAR JATEY HEN🌹🌹Kal 15 din ho jayen gey usey yun khud ko chupatey howey
Sab usey wapus bula rahey they or abhi us ney apni maan sey wada kia tha k wo kal pohnch jaye ga un k pas or usey ab jana hi tha wapis yahan rehna bhi na mumkin sa tha****************
Us ney ankhen kholi to kamrey ko khali paya
Uski nazren apney right side pr parey khali stool ki janib uthi or wahan sey darwazey ki janib dekha jo k bund tha
Kisi qism ki koi awaz nan aie to wo pareshan hoiMama baba kahan chaley gey us k zehan men sawal ubhra
Or wahin sey nazren doosri taraf parey visitor bed pr gie wo ankhen moondey deewar sey sir tikaye shayad so raha tha
Taie ki not dhili kiye ek hath k bazu pr coat phelaye dono hath seeney sey bandhey wo kafi thaka howa lag raha tha
Mathey pr bikhrey bal jo ankhon pr pheley they us ki nazren us k chehrey pr
Thehar c gie thiNeha amjad sey neha shehryar khan tak ka safar boht asani sey guzra tha.. Pal men wo iska apna bn gaya tha ek muskurahat us k labon ko chu gie
Us ka dill kia us k bikhrey bal hata dey apney hathon sey
Magar... Apney dill men aye be-zarar sey khayal ko jhatak kr wo ek bar phir muskuraie or ankhen moond liWo so nahi raha tha bs neha k jagney ka intezar krtey krtey ankhen bund kr li thi us ney.. K tbhi us ki nazron ki tapish apney chehrey pr mehsoos kr k us ney foran ankhen kholi to us ki muskurahat dekh kr kho sa gaya
Or sidhey hotey howey visitor bed sey utha to neha us ko uthtey dekh kr foran apney lab samet chuki thi nazren jhukaye uth bethi wo qareeb aya
YOU ARE READING
MEN SIRF TUMHARI HON
RomanceMuhabbat ek ehsas hai Muhabbat suchhey jazbat hen Zindah rehney or zindagi k liye Ek muhabbat ka hi name hai