Beta kesi tbiyat hai ab ap ki???
Usey dekhney k liye aie to wo chit leti apney right side ki janib bani balkuuni jis ka darwaza sheeshey ka tha us k paar urhtey parindon ko dekh rahi thiKhatoon ki awaz pr chonk kr unki janib dekha
Khamoshi sey uth bethi or godh men rakhey apney hathon
Pr nazren jama diDikhney men nazuk si khubsurat
Masoom si gudriya unhen najaney kun bha gie thi
Wo us roz usey apney sath gher ley aie thi
Yun sar e baazar beasra dekh kr unka dill alag hi ley men dharka tha or apney dill ki suntey howey usey dhampa or khud men samet liaWo bikhri thi k hr ghum shayad uska taaza tha..
Wo bina kuch puchy hi usey apney sath ley aie thi or uski khowahish k mutabik usey pehli hi flight sey
karachi k liye rawana kr dia tha
Uski zrurt k liye kuch saman or raqam us k hawaley ki jisey leney sey wo inkari thi phr un k khuloos or muhabbat k ehsanon men dabi wo muskura di or un ki di hoi cheezain unki muhabbat samajh kr samet li thi or janey ki ijazat mangi to unhon ney usey apna num dia tha k wo yad sey un sey rabta krey phr chahey wo kisi bhi qism ki madad k liye kun nan ho wo dill o jaan sey hazir ho jayen giOr phr agly hi roz us ney unhen call ki to wo betahasha ro rahi thi k ek lafz bhi ada nan kr pa rahi thi wo bina us k kuch kahey us tk pohanch gie thi
Or Wo jb sey un sey mili thi ro rahi thi
Wo usi halat men usey apny sath ley aie
Or jb ro ro kr thak gie to khamosh bethi thi unhon ney usey
Kuch khilaya or neend ki dawa dey kr sula dia ta k wo kuch behtar mehsoos kr saken to 6 ghentey ki neend ley kr jagi to wo khamoshi sey hi leti rahiMinut minut ki khabar mulazima unhen deti rahi thi
Ab wo jag hi gie thi to wo khud us sey milney aie thi
Unhon ney Piyar sey us k sir pr hath pheraTo wo foran sir utha kr unhen dekhney lagi
Wo shukr guzar thi is meharban orat ki jis ney is ki ismat
Ko bachaya tha unki shafqat or muhabbat pr
Us ki ankhen num hoi thiUnhon ney usey seeney sey lagaya to wo sisak uthi
Hr ghum taza hota mehsus howa wo kis takleef pr ziada rujheeda thi yeh andaza lagana namumkin thaZindagi k khel niraley hen meri jan
Utni umr nahi hoti insan ki jitney barey pulsirat sey usey guzarna parta hai men nahi janti tumharey roney ka sabab kia hai magar itna janti hon k mera Allah
ghafoor u Raheem hai agar us ney tumhen takleef pohnchaie hai to ghum mt kro wo hi is ghum ki dawa bhi dey ga k wo 70 hazar maon sey ziada tum sey muhabbat krta haiUnhon ney uska sir thapaktey howey kaandhey sey uthaya
Or us k sir pr bosa dia or narm wa meethey lehjey men mukhatib hoiBeta janti ho Ramadan ka chand nazar agaya hai
Sb log us ki rehmat ko sametney k liye us k dar pr pohanch rahey hen kuch hi der men Namaz e Maghrib ka waqt ho jaye ga ... Janti ho us ki rehmat hum pr yani us k bandon pr barasney ko betaab hai
Wo chahta hai us ka koi bhi bunda us ki rehmat sey mehroom nan raheyWo khamosh bethi unhen sun rahi rahi thi
Nazren un k surukh o safed hathon sy hotey howey chehrey
Pr jama di thi wo nihayat hi khoobsurat khatoon hai us ney is bat ka aitraf kia or yeh bhi k yeh khatoon khuda ki rehmat sey mala maal hai usey un pr rushk aya un k chehrey pr phela sukoon isey apni bechaini men uljha gaya wo sukoon pana chahti thi magar lab khamosh they k kuch kehney ki sakat baqi nan rahi thi us men
YOU ARE READING
MEN SIRF TUMHARI HON
RomanceMuhabbat ek ehsas hai Muhabbat suchhey jazbat hen Zindah rehney or zindagi k liye Ek muhabbat ka hi name hai