"Jiji kuch kijiye please. Mera Parth, main usse aaise nehi dekh sakti. Marr jayegi main." Maya said in between her tears.
"Aab kuch nehi ho sakta Maya, humne Parth ko kho diya. Tumhari zid ki wajase Parth ne yeh rashta chuna hain." Renuka said when Maya looked at her shockingly.
"Meri wajase!" Maya whispered only.
"Haan tumhari wajase Maya. Suna nehi guru ji ne keya kaha! Parth aapne zindegi se puri tarha se hatas aur nirash ho chuka hain aur issi liye usne yeh rashta chuna hain. Aur uska hatasa aur nirasha ka karon keya hain? Uska adhura pyar, jisse tumne pura hone nehi diya. Maine bola tha tumse ke jo vi decision lena soch samajh kar lena, lekin tumne aapni zid mein sab kuch bigad diya. Mera hasta khelta Parth murjha toh pehele hi geya tha lekin aab wo ek aaisi zindegi mein kadam rakhne jaa raha hain jaha hum usse puri tarha se kho denge." Renuka said wiping her tears.
"Lekin jiji maine toh Parth ki bhalai ke liye kiya tha yeh sab kuch!" Maya mumbled slowly.
"Toh phir ho geya na Parth ka bhala maasi! Aab Parth aapki marzi ki against toh keya kabhi shaadi hi nehi karega. Congratulations, jeet gayi aap! Now happy!" Randhir said mockingly.
"Randhir not now. This is not the right time to discuss all this. Maya ka halat dekh rahe ho na tum!" Harsh said sternly.
"Sorry dad but this is the right time. Aagar aaj nehi bolunga toh phir bonle ka faida hi keya hain! Aap sab log jo aapne aulad ko aapna property samajhte hain kabhi yeh samajhne ki kousish kiya hain ke uss aulad ko kaisa feel hota hoga!" Randhir said angrily.
"Kahene ko toh hum insan civilised hain, iss duniya mein sabse jyada advanced and developed hain. But the fact is we are inferior then animals in every way. Janwar se vi battar hain hum! Janwar vi aapne bachche ko paal posh kar bada karta hain aur jab bachche bade ho jate hain unhen aapni aapni zindegi jeene ke liye chhod dete hain. Unn par aapna haq nehi jatate hain. Lekin hum insan aapne bachche ko toh aapna property samajhte hain. Aur kyu nehi aap unhen paida karte hain, unhen paal posh kar bada karte hain toh phir unko toh aap logo ka ehesaan manna chahiye, hain na! After all we all are slaves and the parents are masters of our life. Aap log jaisa bolenge hume waisa hi karna padega warna aap logo ka ehesaan kaise chukayenge!" Randhir groaned.
"Aare jab aap parents hi maturely behave nehi karenge toh phir bachcho se kaise expect kar sakte ho ke wo maturely behave karenge! Aagar kisine aapne marzi se saans vi lena chahe toh aap log aapna drama start kar dete hain. Emotional blackmail karke usse majboor kar dete hain ke wo aapka har baat mane. Aur Parth jaisa sidha sada ladka majboor ho jata hain aap logo ki baat manne ko. After all maa-baap ne paida kiya hain toh phir unka karz toh chukana padega na chahe wo khud tut hi kyu na jaye lekin aap ka saad jhukna nehi chahiye. Lekin parents yeh bhul jate hain ke aagar unhone hume paida karke hum par koi favour kiya hain toh phir bachche vi unn par ehesaan karte hain, unhen maa-baap hone ka khushi dete hain wo. Keya koi aulad kabhi vi iss baat ka ehesaan aapne maa-baap se mangta hain? Nehi, toh phir maa-baap hi kyu har kadam par unhen ehesaan ka yaad dilata hain? Ek ehesaan toh aulad vi aapne maa-baap par karta hain, wo hain paida hone ka ehesaan. Kyu ki aagar wo paida nehi hota toh phir yeh society unhen keya bulati pata hain! They will call them infertile. Aur phir vi sirf maa-baap hi aapne bachcho par ehesaan karta hain, great!" Randhir let out his frustration.
"Bass bahut ho geya Randhir, bahot bol liya tumne. Jab tumhare khud ke bachche iss duniya mein aayenge tab samajh mein aayega ke maa-baap banna aasan nehi hain. It's a huge responsibility." Harsh said angrily.
"I'm sure dad that be a parents is not easy and it's a huge responsibility too. But that doesn't mean ke aulad ko koi struggle nehi karna padta! Aur aap log yeh samajh sakte hain kyu ke parents banne se pehele aap log vi kisike aulad ho." Randhir said then sat down beside Maya and hold her hand.
आप पढ़ रहे हैं
Second Love (Completed)
FanfictionTwo people who hate each other from the coar of their hearts, how to fall in love with each other... Copyright © by Bandita Bhowmik © All Rights Reserved