FLASHBACK ENDS
#Kaya went to their room.
Daya- Kya hua Kajal kya soch rahi ho.Kajal- Kuch nahi Dayaji bas kuch soch rahi thi.
Daya- Jyada socho mat so jao. (He sleeps)
Kajal- Kash us din maine Kavin ko woh sab kuch bata diya hota toh aaj woh aisa nahi hota.
FLASHBACK
Kavin and Kajal went to Purvi's house.Kavin- Bhabi aapne pakka pata lagaya haina ki aapke papa ghar pe nahi hai.
Kajal- Han maine mummy se baat ki thi unhone kaha hai papa 1-2 ghante ke liye bahar gaye hain par iski koi gurantee nahi ki woh 1-2 ghante baad hi aayenge.
Kavin- Thik hai aap jaake baat krke aayiye.
Kajal- Tum nahi chaloge??
Kavin- Nahi bhabi aapke papa kabhi bhi aa sakte hain toh mai bahar rukta hun agar woh aaye toh mai aapko message kar dunga.
Kajal- Thik hai apna dhyan rakhna.
Kavin- Bhabi.... bas Purvi se ye puchna kya woh ye shaadi apni marzi se kar rahi hai?? (She nodded and left)
PURVI'S ROOM
Purvi was sitting on her room. She had her mehendi done in her hands.
She saw Kajal and was shocked when she entered her room.Purvi- Di aap😰😰.
Kajal- Kyu tu mujhe dekh ke khush nahi hai??
Purvi- Nahi di mai bohut khush hu par aap yahan papa.
Kajal- Woh ghar pe nahi hain. Isliye milne aayi hun.
Purvi- Betho.
Kajal- Mehendi bohut achi hai rang nikhar ke aayi hai.
Purvi- Aapko kese pata??
Kajal- Tune Acp sir ko apna resignation bheja tha aur tu 3 din sw bureau bhi nahi gayi. Maine mummy ko call kiya toh pata chala.
Purvi- Ohh. Ghar pe sab kese hain aur Aarav kesa hai?
Kajal- Sab thik hain.
Purvi- Acha bolo aap kya loge shaadi ke baad pehli baar ghar aayi ho.
Kajal- Kyu kar rahi hai tu ye sab.
Purvi- Kya kar rahi hun.
Kajal- Dekh Purvi mai jaanti hu tu is shaadi se khush nhi hai.
Purvi- Nahi di mai khush hun. Karan naam hai unka bohut ache hain woh.
Kajal- Acha aur kya tu us se pyar karti hai??
Purvi- Pyar ka kya hai di ab nahi toh shaadi ke baad ho jayega.
Kajal- Aur us pyar ka kya jo tu Kavin se karti hai.
Purvi- Nahi di aap.......
Kajal- Purvi tujhe meri kasam sach sach bata kya hua hai.
Purvi- Papa ko mere CID ke baare mein pata chal gaya hai.
Kajal- Kya??
Purvi- Han aur isliye woh chahte hain ki mai ye shaadi karun. Woh pehle se hi in sab cheezon ke khilaf the.
Kajal- Lekin tu toh Kavin se pyar karti haina.
Purvi- Unhi ke liye toh ye kar rahi hun. Papa ko ye bhi pata chal gaya ki mai unse pyar karti hun aur agar maine unki baat nahi maani toh woh pata nahi kya kar bethein.
Kajal- Mai Kavin aur Dayaji se baat karti hun koi na koi solution aa jayega.
Purvi- Nahi di aap aisa kuch nahi karengi.
Kajal- Mai teri zindagi is tarah se barbaad nahi kar sakti Purvi.
Purvi- Nahi di aaj is kamre mein jo bhi baat hui woh sirf hum dono ke beech rehni chahiye. Aapko meri kasam.
Kajal- Par,..........
Purvi- Nahi di mai nahi chahti ki Kavin sir ko ye lage aaj mere saath jo bhi ho raha hai woh unke wajah se hai.
Kajal- Lekin Purvi tum dono ek-dusre se pyar karte ho.
Purvi- Jaise mai unhe bhul rahi hun. Waise woh bhi mujhe bhul jayenge.
Kajal- Aur kya tujhe yakeen hai ki tu use bhul payegi??
Purvi- Koshish toh puri rahegi di.
Kajal- Thik hai abhi mai chalti hun.
Purvi- Ye shayad humari akhri mulakat hogi di. Apna dhyan rakhna aur Aarav ka bhi aur Daya sir ke saath apna rishta aur majboot banyiye.
Kajal- You too take care.
(She leaves the house and goes to Kavin)Kajal- Kavin chalein??
Kavin- Ji bhabi..... aa bhabi aapne pucha ki Purvi...
Kajal- Han. Woh khush hai Kavin aur ye shaadi apni marji se kar rahi.
FLASHBACK ENDS...
Kajal- Maine kabhi nahi socha tha papa apne zid ke liye apni hi beti ki zimdagi ko tehas-nehas kar denge. Par mai kar bhi kya sakti hun sach mein us din meri Purvi se aakhri mulakat thi uske baad kahan gayi woh kuch nahi pata. Bhagwan ne shayad hum dono behno ki zindagi mein dard hi rakha hai.
Shaadi ke baad jab yahan wapas Mumbai aayi tab laga ab mai aur Purvi paas rahenge par shayad ye bhi manjur nahi tha. Bas meri ye dua hai ki meri behn jahan kahin bhi ho khush ho.A big house is shown two servants were talking in the kitchen.
Servant-1 <> Mukesh
Servant-2 <> AnilMukesh- Kal se madam ghar nahi aayi. Pata nahi kya hua.
Anil- Arey aa jayengi woh tu kyun chinta krta hai.
Mukesh- Par sahab toh chinta karte haina.
Anil- Arey sahab ka nahi pata tujhe.
A man came from stairs.
Mukesh- Dekh Karan sahab aa gaye.
Karan- Mukesh breakfast ready hai??
Mukesh- Ji sahab.
Karan- Anil meri car nikalne ko bolo der ho rahi hai.
Mukesh- Sahab woh....
Karan- Kya hai??
Mukesh- Madam kal shaam se ghar nahi aayi.
Karan- Han toh....
Mukesh- Chinta ho rahi hai.
Karan- Acha... chinta mat karo unka phone aaya tha aa jayengi woh adhe ghante mein.
Anil- Acha hua sahab.
Karan- Sab jaanfa hun mai tum dono unhe itna kyu miss mar rahe ho.
Anil- Ji madam se achi dal is ghar mein koi nahi banata.
Karan- Woh hai hin aisi sabko apna bana leti hai.
Anil- Par sahab woh gayi kahan hai??
Karan- Arey woh Mrs. Gupta haina unki beti ke ghar koi nhi tha kal raat toh company dene gayi thi.
Ab mai nikalta tu thik hai.Mukesh- Sahab aapka tiffin??
Karan- Oh yaa aaj ek meeting hai toh sidha dinner banana mere liye.
Anil- Raat ke khaane mein kya banaye sahab??
Karan- Humesha toh Purvi ji hi sochti hain aaj mujhse kyu puch rahe ho. Unhe aane do.
(He leaves)Anil- Sach mein sahab bohut pyar karte hain madam se.
Mukesh- Han.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.Heyaa guys I apologise for being late and I hope you like this chapter see you soon.
💝
आप पढ़ रहे हैं
Manzeelein
FanfictionOn high demand I bring the unconditional love tale of #kaya and #kavi. Nothing more to summarise. Peep in to know about the story