Chapter - 24

343 34 11
                                    

Karan returned to house late night and found Purvi sitting on the dinning table.

Karan- Arey Purvi ji aap abhi tak soyi nahi.

Purvi- Kya aap bhi. Aap ghar nahi laute aur mai sukoon ki neend soun!!?

Karan- Han woh zara sa late ho gya😳.

Purvi- Zara sa!! 😒😒😒 time dekha hai dhai (02:30) baj rahe hain raat ke.

Karan- Sorry Purviji woh.

Purvi- Rehne dijiye aap jake fresh hoke aayiye tab tak mai khana garam karti hun.

Karan- Par aapko kese pata ki maine khana nahi khaya.

Purvi- Jaanti hun Karan ji aapne nhi khaya hoga.

Karan- Ok. Mai aata hun.

Purvi- Jyada der mat karna jaldi ayiye.

He returned after 15 mins.

Purvi- Ye lijiye.

Karan- Aaj pata hai kya hua office mein.

Purvi- Kya hua?

Karan- Woh Mr. Somani haina aaj woh bathroom mein gir gaye😂.

Purvi- 😂😂😂😂😂😂. Wese aaj meeting mein itni der kyu hui??

Karan- Woh kuch clients aa gaye the and you know humari company ek bohut hi bada order mila hai.

Purvi- Arey waah ye toh bohut achi baat hai. Aapki global company bohut hi ache se aage badh rahi hai.

Karan- Han is baar toh Mumbai se order mila hai main headquarters ki taraf se.

Purvi- Mum..mumm...mumbai.

Karan- Mai jaanta hun Purviji aap kya soch rahi hai.

Purvi- Nahi Karanji mai kya sochungi. I'm fine.

Karan- Fine toh aap peechle do saal se nahi hain.

Purvi- Aisi koi baat nhi hai.

Karan- Shayad aapko phirse woh sab yaad dilana hai.......

KAVIN'S ROOM
Kavin was in deep sleep Kajal entered his room. She sat beside on the bed and caressed his head. Daya too joined her.

Daya- Bas kajal bohut ho gaya mere bhai ko in sab cheezon se bahar nikalna padega.

Kajal- Wahi toh koshish kar rahi hun Daya ji. Bas jald se jald Kavin ki zindagi ki dor suljha paun.

Daya- Ye pyar cheez hu aisi hoti hai dard aur taqleef ke siwaa aur kuch nahi deti. Kuch bhi nahi.

Kajal- Shayad aap sahi keh rahe hain jis se aap pyar karo use se pyar na milne pe bohut dard hota hai.

Daya- Bas mera bhai jaldi se thik ho jaye.

Kajal- I'm sorry Daya ji ye jo kuch bhi ho raha hai sirf aur sirf meri wajah se.

Daya- Tum kyu sorry keh rahi ho??

Kajal- Purvi hai toh meri hi behn na aur in sab ki wajah toh mere papa hain.

Daya- Tumhare papa jesa self-igoistic person maine aaj tak nahi dekha. Tumhe bura laga ho toh sorry.

Kajal- Nahi Daya ji mere papa ke liye humesha unka naam paisa ritwa aage raha hai.

Daya- Mai is ladai mein tumhare saath hun Kajal tum tension mat lo.

(Their eyes met for few seconds and they had a eyelock but were disturbed by Kavin)

Kavin- Bhaiya bhabi aap dono itne raat ho yahan!!?

Kajal- Woh hum toh bas.......

Kavin- Mere room mein ye sab nahi chalega. Aap log jaake apna ye nain mattaka apne room mein karo aur agar wahan Aarav hai toh kitchen mein nain mattaka chalu rakho aur agar wahan billi aa jati hai toh hall mein chale jao. Aur agar hall mein kiske dekhne ka dar hai toh storeroom is perfect.

Daya- Tum jyada nahi bol rhe ho.

Kavin- Jyada😒😒😒. Aap ye harkate yahan kyu kar rahe ho.

Kajal- Kavin😡😡😡.

Kavin- Acha ok 😌😌😌😌.

Kajal- Hum yahan tumhe dekhne aaye the.

Kavin- Achaaaa.... ab jao mujhe sona hai😩😩😴😴😴.

Daya- Han han jaa rahe hain. They leave.

Kavin- Jaanta hun aap dono ko meri chinta hai par is waqt aapko apna rishta sawarna chahiye naki mujhe. Sambhalna toh usi din seekh liya tha jis din bhabi Purvi se aakhri baar milne gayi thi.

KARAN'S HOUSE
Purvi- Kya yaad dilana padega Karan ji.

Karan- Wahi waada jo humne ek duje se do saal pehle kiya tha.

FLASHBACK
Purvi was sitting on her bed with her bridal lehenga. Karan entered.

Purvi- Karan ji mujhe aapse kuch baat karni hai.

Karan- Mujhe bhi.

Purvi- Ji????

Karan- Mujhe aunty ne sab bata diya hai.

Purvi- Kya bataya hai?

Karan- Wahi jo aapke saath hua hai. Aapki shaadi kin halaton mein hui aur sab kuch.

Purvi- Sab kuch!!?

Karan- Han bas ek cheez nahi batayi.

Purvi- Kaunsi?

Karan- Ki woh lucky insaan kaun hai jise aap bepannah pyar karti hain.

Purvi- Aapko ye sab kab pata chala??

Karan- Shaadi se 2 din pehle.

Purvi- Aur phir bhi aapne ye shaadi....

Karan- Han kyuki uncle jo ek baar than lete hain woh karke hi rehte hain. Aur agar mai shaadi se mana kar deta toh pata nahi woh kya karte.

Purvi- Karan ji aap......

Karan- Dariye mat mai uncle ko ye baat kabhi nahi kehne wala. Infact unhe ye sab kabhi pata nahi.

Purvi- Aap.....

Karan- Hum duniya ke liye pati patni bhale hi honge Purviji par asal mein bohut ache dost. Kya aap meri dost banengi??

Purvi- Hmm.

Karan- Par meri ek shart hai.

Purvi- Kesi shart??

Karan- Aapko dosti ke kuch usool maan ne honge.

Purvi- Jese ki??

Karan- Har baat hum ek dusre se share karenge aur kabhi bhi koi taqleef ho toh milke saamna karenge.

Purvi- Ok.

Karan- Ab boliye bhi us lucky insaan ka naam kya hai??

Purvi- Ab in sab baaton ka kya fayda Karan ji. Naam jaanke kya hoga.

Karan- Hmm ye bhi hai.

PRESENT TIME

Karan- Kuch yaad aaya!!?

Purvi- Hmm.

Karan- Wese kal shaam ko mujhe Mumbai ke liye nikalna hai so plzz aap meri packing kar dijiyega.

Purvi- Ji.































TO BE CONTINUED

STAY TUNED

Regards
Lovelyn💖

Manzeeleinजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें