Precap- Daya asks about Kajal's hushband.
Purvi- Sir woh..............
Kajal- Daya ji ye sab baatein toh hoti hi rahengi. Aap fresh ho jayiye thak gaye honge. Mai lunch lagati hun. Purvi tu bhi fresh hoja. (Daya leaves)
Purvi- Kya di aapne pura suspense bana diya.
Kajal- Nahi toh tu kya kehti?? Mere patidev kaun hai?
Purvi- Kyu sehti ho aap di? Duniya bhar ki baatein, taane??
Kajal- Mere Aarav ke liye.
Purvi- Di 5 saal pehle aapne jis maksad se ghar choda tha woh ab pura ho chuka hai. Aap ghar wapis kyu nahi aa jati. Sab kuch thik ho jayega.
Kajal- Kuch thik nahi hoga, balki baatein aur bigad jayengi. Tujhe kya lagta hai papa mujhe Aarav ke saath accept karenge?? Aur wese bhi unke liye toh mai mar chuki hun.
Purvi- Par di...............
Kajal- Yaad rakhna Purvi mai apni zindagi bhar duniya se ladh sakti hun. Par mere Aarav se dur nahi reh sakti jaan hai woh meri.
Purvi- Hmm (just then Ishita calls Purvi and she goes)
DINNING TABLE
Everyone waa having lunch. Specially our Pankaj sir.Kajal- Mai aap sab se sorry kehna chahti hun. Actually mera ghar itna bada hai nahi aur sabko ek ek room nahi mil saka.
Kavin- Arey nahi di aisi koi baat nahi. Hum kisi hotel mein thodi aaye hain.
Ishita- Aur wese bhi pura din toh kaan mein hi chala jayega bas raat ki hi baat hai.
Pankaj- Par mai is insaan ke saath nahi reh sakta (pointing Kavin)
Daya- Kyu... kya kar diya mere bhai ne??
Pankaj- Din bhar bas "Pankaj ye mat kro".... "Pankaj ye mat khana".... "Pankaj jaldi nahake aao" "Pankaj jaldi kapde badlo" had hoti hai sir.
(He realised that everyone was looking at him)Daya- Tum bohut khush kismat wale ho ki tumhe Kavin ke saath room share karna hai. Agar uski jagah mai hota toh......
Aarav- Aap bathroom ka darwaza tod dete. (Pankaj spilts water and everybody laughs)
Kajal- Aarav.... naughty boy.
Kavin- Toh thik hai mai Aarav ke saath reh jata hun. Tum aur bhaiya ek room mein rahoge. Right??
Purvi- Bolo na Pankaj.
Pankaj- Nahi nahi. Kavin sir aap bhi bura maan jate ho. Mai toh mazak kar raha tha.
Kajal- Kal ke function ka venue yahan se 2 ghante ki duri pe hai.
Daya- Kal ka function.
Kajal- Purvi tune bataya nahi. Mujhe laga tune keh diya hoga.
Kavin- Koi problem hai di??
Kajal- Arey nahi. Woh actually Mr. Shukla jo hai humare kalke event ke sponser hain.
Daya- Oh toh wahan pe hi unpe hunla hoga shayad.
Purvi- Wahan pe bohut log honge.
Kavin- Hn hume sambhal ke apna kaam krna hoga.
Ishita- Kajal di kya aap andaza laga sakti hai Mr. Shukla ki jaan ko kis se khatra hai.
Kajal- Ishita woh bohut ache insaan hai. Aur aaj kal ache kaam karne walon ke na jane kitne dushman hote hain.
Kavin- Hmm. Pankaj tum aur Ishita zara kaam pe lag jao. Mai aur bhaiya Mr. Shukla se milke aate hain.
Aarav- Mujhe bhi jana hai Kavin uncle ke saath.
Kajal- Arey bacha woh apne kaam se jaa rahe hain.
Kavin- Aarav hum shaam ko ghumne jayenge.
Pankaj- Hn (excitedly)
Kavin- Tum mai aur tumhari massi. Mai faltu ke paise kharch nahi karta (seeing Pankaj)
Pankaj- 😫😒😒😒😒😒😒
(All leave as per they have decided)EVENING TIME
KAJAL'S ROOM
Kajal- Purvi tu aaj apni dil ki baat Kavin ko bata de.Purvi- Nahi di mai ye nahi kar sakti. Friday ko mujhe ladke wal dekhne aa rahe hain.
Kajal- What!!!! Aur tu maan gayi. Tujhe papa ko kehna chahiye tha ki tu kisi aur se pyar karti hai.
Purvi- Di... aap kya bol rahe ho. Papa kabhi is baat ko nahi maanye. Ulta woh mera bahar jana band kar dete.
Kajal- Aur agar woh ladka tujhse shaadi karne ke liye haan kehde toh??
Purvi- Mai aur kya kar sakti hun.
Kajal- Kyu kar rahi hai tu aisa. Tujhe pata haina woh insaan apne guroor ke liye kuch bhi kar sakte hain. Teri zindagi pe tera haq hai. Mai toh kehti hun tu bhi sab kuch chod de.
Purvi- Man toh karta hai ki aisa hi karun. Par mummy ke baare mein sochke chup reh jaati hun.
Kajal- Tu pagal ho gayi hai. Purvi tu Kavin se baat kar. Kya pata woh teri help kare.
Purvi- Hmm. Wese aap kab shaadi kar rahi ho.
Kajal- Koi aisa insaan jo mujhe mere bache ke saath apnaye. Mere bache ko apna naam de.
Purvi- Aap bhi kamal ho di. Duniya ke itne taane sunti ho phir bhi.
Kajal- Mai jaanti hun mushkil hai par impossible nahi hai.
Purvi- Aarav ko bhi ek pita ka haq chahiye. Abhi woh chota hai di. Par aage jake use bhi mushkilen jhelni padengi.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.Tadaa the chappi is over. I hope you liked this chapter.
Do vote, comment and follow for more update.
Regards
Love💝
आप पढ़ रहे हैं
Manzeelein
FanfictionOn high demand I bring the unconditional love tale of #kaya and #kavi. Nothing more to summarise. Peep in to know about the story