Precap- Kajal sees something shocking.
Kajal- Daya ji ye aapka purse. Ye😨😨 ye kya hai. Oh my god mujhe Daya ji se baat karni hogi. (She runs towards her) Daya ji...
Daya- Kya hua Kajal??
Purvi- Di sab thik haina??
Kajal- Daya ji ye aapka wallet wahan bahar gir gaya tha.
Daya- Ohkay Thank you.
Pankaj- Par di aap itne ghabraye hue kyu ho??
Kajal- Woh maine aapka wallet ke mirror se maine kuch dekha.
Kavin- Kya dekha??
Kajal- Wahan us building ke upar se 4 log hain jinke paas badi banduk hai. Shayad woh log Mr. Shukla pe hi humla karne ko wahan hain.
Pankaj- Hume abhi chalna chahiye...
Kavin- Nahi Pankaj aise nahi agar unhe shak ho gaya toh woh Mr. Shukla par phirse humla kar sakte hain. Aur woh kaha karenge ye pata nahi hoga. So we cant take any risk.
Daya- Han. Kajal ek karo tum Aarav ke saath raho usko apne se bilkul dur mat karna.
Kajal- Par Aarav hai kahan??
Purvi- Woh Ishita ke saath hai.
Kavin- Bhaiya I think Mr. Shukla jahan bethe hain hume unke karib hi bethna chahiye.
Daya- Han tum sahi keh rahe ho. Kajal tum please ek favour karna sab bacchon ko beech mein mat bethana kyuki jyada chances saamne se attack ke hain.
Kajal- Ji.
Purvi- Hume shayad chalna chahiye warna unko shaq ho jayega.
(All of them goes and sit as they have decided... the event starts with some bhasanbaji.... after some time its the time to announce the winner of best designer)
Host- So its time for the best designer of the year Award and the Award goes to Ms. Kajal Mehra. (Everybody applause for the winner)
Aarav- Yayy mamma ko 1st prize mila. Yayy!!!!!!
Host- I would like to call our Cheif guest Mr. Vikram Shukla to come upon the dice and present this Award.
(He present the Award and they were posing for a picture when a gun shot was heard... before anyone could imagine it hit to the garland and then starts the fight of our CID v/s GUNDA)Daya- Ishita saare guests aur bacho ko bagar leke jao. (And finally those lafangas are caught)
EVENING TIME
KAJAL'S HOUSE
All were sitting in the drawing room and Daya talking with Acp.Daya- Han sir kaam khatm ho gaya hai. Hum kal nikal jayenge. Ji sir.
Kajal- Pata hi nahi chala aap sab se itni attachment ho gayi.
Pankaj- Hume bhi aapse milke bohut acha laga. Aur Aarav se bhi.
Kajal- Woh toh hai hi aisa.
Daya- Kajal tum bura na mano toh ek baat puchun??
Kajal- Puchiye na Daya ji.
Daya- Tumhara divorce ho chuka hai?? (Kajal, Purvi and Kavin looked to each other)
Kajal- Nahi Daya ji.
Daya- Toh jabse hum log aaye hain tumhare hushband ko dekha hi nahi.
Kajal- Actually maine shaadi nahi ki hai.
Pankaj, Daya and Ishita- What!!!
Ishita- Aap ye kya keh rahe ho??
Daya- Agar tumhari shaadi nahi hui toh Aarav... woh beta hai na tumhara?
Kajal- Woh mera apna beta nahi hai. Aur nahi mai Purvi ki cousin hun.
Daya- Kya!!!
Kavin- Han bhaiya ye sach keh rahi hai.
Daya- Tumhe kese pata chala??
Kavin- Kal raat ko Purvi ne hi bataya.
Purvi- Sir woh (she tells then all her house matters)
Daya- I'm sorry. Par Aarav tumhara apna beta hai toh woh kiska beta hai??
Kajal- Pata nahi.
Daya- Pata nahi!!
Purvi- Di sab bata do please.
Kajal- Ye baat tab ki hai jab mujhe yahan aake 2-3 mahine hue the. Ek din jan mai tutorial se hoke aa rahi thi tab maine dekha ek gadi ka accident hua hai. Us gaadi mein ek old couple the aur Aarav ke mom-dad bhi. Un old couple aur Aarav ke papa ki maut ho chuki thi par uski maa zinda thi. Police case hai ye jaan kar koi bhi unki help nahi kar raha tha. Police ke aane ke baad unke permission se mai hospital gayi wahan pata chal ki woh ladki pregnant hai 8 weeks ki use jyada chot nahi aayi thi par sar pe injury aane ki wajah se woh abhi memory gawa chuki thi. Use kuch yaad nahi tha. Mai usko apne paas leke aayi. Bohut koshish ki us se jaan ne ki woh kahan ki hai par koi fauda nahi raha. Usne toh jeene ki umeed hi chod di thi. Koi naam pata nahi tha isliye uska naam Priya rakha. Priya nature mai bohut achi ladki thi. Bohut close ho gaye the hum. Mujhe laga tha jese hi uska bacha is duniya mein aayega sab thik ho jayega uski life mein. Par mai galat thi. Aarav ko janm dete hue usne apni jeene hi umeed bhi hara di. Woh din aaj bhi mujhe yaad hai.....
FLASHBACK
OT OF HOSPITAL
Priya delivered the baby.Kajal- Dekha Priya maine kaha tha na tujhe beta hoga. Iski aakhein bikul tujhpe gayi hai. Aur iski naak shayad apne papa pe. Bohut pyara hai ye.
Priya- Kajal tune mera itne time tak khayal rakha. Agar aaj mai kuch maangu toh kya tu mujhe degi??
Kajal- Ye tu kesi baatein kar rahi hai. Bol kya chahiye??
Priya- Waada......
Kajal- Wada??
Priya- Han waada. Kya tu mere bacche ki maa banegi??
Kajal- Ye tu kya keh rahi hai. Tere hote hue mujhe iski maa ban ne ki kya zarurat hai??
Priya- Kiske sahare jiyun mai?? Mujhe kuch yaad hi nahi. Us accident se pehle kya hua tha mujhe pata hi nahi hai. Kajal mai apne bache ko kiska naam dungi?? Aur rahi baat meri jeene ki umeed toh kabse mar chuki hai. Agar tu nahi hoti toh shayad mai usi din mar jaati.
Kajal- Ye tu kesi baatein kar rahi hai. Kuch nahi hoga tujhe. Hum milke sambhalenge na ise.
Priya- Nahi Kajal tu mujhse waada jar ki tu mere bache ko palegi use saari khushiyan degi. Aur jab woh bada ho jayega na usko batana ki uski ek devki maa bhi thi.
Kajal- Tujhe kuch nahi hoga.
Priya- Promise me.......
Kajal- Acha okay I promise mai iski maa banungi.
Doctor- Oh my god BP is dropping... nurse jaldi...
Kajal- Priya... Priya dekh tujhe kuch nahi hoga...... Priya😢😭😭😭😭😭..
FLASHBACK ENDS....
The chapter ends here. Do vote comment and follow fore more updates.
Regards
Love💝
आप पढ़ रहे हैं
Manzeelein
FanfictionOn high demand I bring the unconditional love tale of #kaya and #kavi. Nothing more to summarise. Peep in to know about the story