Jabkehne ko to hum
Aazadi ki badi-badi baate
Keh jaate hain..
Par kya waakayi hum Aazadi ka mol samajh bhi paate hain??...Agar ye hindustan hamara hai or hum is desh ki shaan kehlate hain.....
To fir kyu Bhrastachar se apne hi desh ko khokhla banate hain??Hindu -Muslim -Sikh- Isayi
Aapas me sab bhai -bhai
Puri duniya ko ye batate
Hain...
Fir kyu un dango me...
Hamare hi bhai maare jate hain??Jab hamare jawaan Siachen ki thand me bhi apna dharm nibhate hain...
Bhishan tapti dhoop me bhi kabhi nahi katrate hain...
Apne watan ki raksha ke liye ek saans me kurbaan ho jaate hain....Jab kai neta unki iss kurbani pe apni raajneeti kar jaate hain....
To kyu hum chup reh jaate hain..???
Kyu hum maun ki chaadar odhkar gehri neend so jaate hain???Kaise ??
Are kaise uss tirange se nazrein bhi mila pate hain...
Jiss Stree ki puja karye hain..
Usi par kroorta barsaate hain... Huh...Kya hai keemat Aazadi ki??
Kya hai keemat Aazadi ki.. ye kahaan humne jana hai??
Ki hai chinta sirf adhikaron ki ...
Farz kahaan pehchaana hai.....Aazadi ka arth ab to ho gaya ghotala
hai..
Humne to Aazadi ka matalab apni man marzi nikala hai...!Thi sone ki chidiya jo usko kaala kr daala hai...
Aazadi ki aadh
Me humne kya kuch nhi kar dala hai....?Raajneeti , Kattarpanti aur Satta ki bhook ke liye na jaane kitne maasumo ki jaan le jate hai ...
To kis haq se??
Kis haq se hum apne aap ko hindustani kehlate hain??Aazadi koi mazak nhi..
Are Aazadi koi mazak nhi jisko hum apni Insta story
Ya WhatsApp dp par lagate hain....
Huh...
Ye to un saikdo Veer...un Deshbhakton ka balidan hai...
Jinki wajah se hum Aazad hindustan me saans le pate hai ...
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Jab kehne ko to hum Aazadi ki badi badi bate keh jaate hain.....Par asal me... Aazadi ka mol kabhi samajh hi nhi paate hain....
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.As we are born in Independent India.... We do not know about the struggles that our forefathers have been through.......
So enjoy the blessings of freedom but do not misuse it to snatch other's....
As at the end of the day we all are humans....
So we should co-operate to appreciate it .....____________________________
Hi lovely readers🥰
So,
Finally an update....
🌚🖤sakshixs
SYGVIPERI hope you like this piece of poetry ...🖌️🥀
Do hit the star button and comment your views..♥️🥰
YOU ARE READING
"Mytho Tales"
RandomMy first collection.....✨ A collection of several Mythological stories on Gods that we heard from our grandparents ..... And a collection of my personal favourite Quotations and Poetries from several books, novels, and writings...from Shakespeare to...