8 years ago...........
(Manav's house at Chandigarh)
Suhani(Manav's mother) : Manav... beta chal jaldi se aaja mene tera breakfast laga diya hai.
Manav : Aaya mummy
Are wah aaj to mere favourite parathe bane hai wo bhi Desi makhkhan ke saath.
Suhani : Han beta kyuki aaj tu Jaa Raha hai na. To teri pasanka banaya mene.(she was too much sad)beta waha pe jaake na har roz muje call kariyo. Bhool na jaana apni maa nu.
Manav : Are mummy aapko lagta hai me kabhi aapko bhool sakta hu.
Suhani : Hay mera pyaara bachha.
Achha sun waha pe na koi soni kudi nu dekhke apna ghar basa lena.Manav : Kya yaar mummy har baar bas shadi ki hi baate karte rehte ho. Muje nahi karni kisi se bhi shadi vadi.
Suhani : Haan aese kese nahi karega tu han?dekhti hu me bhi kese nahi karda vyah tu.
Manav : Are yaar bas karo ab mummy. Achha chalo ab me jaata hu muje deri ho rahi hai.
Manav uthke apna saaman lene kamre ki tarf jaata hai.
Suhani : Han han jaa aur beta waha pe thik se time se khana kha liyo aur apna dhyan rakhiyo. Waha me nahi houngi Teri seva karne.
Manav : Are han mummy me dhyan rakhunga and mummy yaar me thodi na koi chhota bachha hu jo itna sab keh rahe ho. Me khud rakh sakta hu apna khyal.
Suhani : Achha... Dekhte hI kese rakhta hai tu khyal apna.
Manav room se pane bags leke bahar aata hai
Manav : Bye mummy me jaa raha hu.
Suhani dikhana nahi chahti thi lekin fir bhi usske aankho me aasu aa jaate hai.
Manav : Are mummy aap ro kyu rahe ho yaar? Me thodi na aapko humesha keliye chhodke jaa raha hu. Ek baar padhai puri ho jaaye aur me waha pe apna business satart kardu usske baad to hume saath me hi rehna hai na. To ab aese na rou aap. Warana me nahi jaaunga.
Suhani : Are nahi nahi beta tu Jaa han. Me nahi roungi ab bas.
Manav : Yehh that's my mom. Achha halo ab me jaata hu. Papa bahar mera intezar kar rahe hai.
Suhani : Han jaa betaa.
Manav jaata hai.
Suhani : Aur apna kyal rakhna aur muje har roz phone karna.
Manav : Han mummy karunga and khayal bhi rakhunga. Chalo bye.
Suhani : Bye.
Manav : Chalo papa chalte hai.
Sanjay(Manav's father) : Han chal.
Dono car me baate karte hai
(They reach airport)
Manav : Achha papa bye. Me chalta hu.
Sanjay : Han beta. Take care. And waha pohach ke phone karna muje aur koi bhi problem ho to call karna muje.
Manav : Han papa jaroor karunga. Chalo bye.
Manav chane lagta hai
Sanjay : bye beta...
Manav is going to Mumbai for complete his master degree for MBA. And also he wants to start a business their after his study.
After some time he reach Mumbai .
Manav : Haann finally Mumbai aa hi gya me.
Wo fir apne ek dost ke Ghar jaata hai. Kyuki wo abhi Naya tha iss wajah se usake pass koi Ghar nahi tha Mumbai me.
Next day he and his friend going to search a house for him.
2 days later.......
Manav : Yaar Arsh do din se ghar dekh rahe hai lekin ek bhi ghar pasand nahi aa raha hai.
Arsh : Han bhai ab yeh last wala bacha hai. I hope yeh achha ho. And tuje pasand aa jaye taki me to free ho jaau.
Manav( judha gussa dikhake) : Hmmmmmmmm
Itni jaldi tu free nahi hone wala ab me aa gaya hu na tuje busy rakhane.Arsh : Han pata hi tha muje tu aayega uss ke baad muje chain ki saas nahi lene dega.
Then they both are start laughing.
______________________________________
YOU ARE READING
Never wanna lose you
FanfictionThis is the story of two people who loves eachother so much but because of their career and other things, they can't adjust time for eachother and that's why they are always fighting with eachother. so they decided that they should separate now and...