Next day......
Manav college jaane keliye niklta hai and wo rate pe rickshaw ka wait kar raha hota hai.
Manav : Are yaar Aaj koi rickshaw wala mil nahi raha hai yaar kahi late na hojau me.
Rickshaw..... Rickshaw...
Are yaar chali gai. Yeh na Mumbai me yahi hi takleef hai time pe rickshaw milti hi nahi.Finally usse ek rickshaw mil hi jaati hai.
Wo College keliye aaj late ho gaya tha. Jaldi se wo classroom me jaata hai. Waha pe jaake dekhta hai to sabhi seats bhari padi thi.
Tabhi usse ek awaz aati hai...
Manav idhar aaja yaha pe.
She was unnati. Wo apni baju wali seat pe Manav ki jagah rakhke bethi thi.
Manav unnati ke pass Jake beth jaata hai.
Unnati : Hii goodmorning.
Manav : Good morning.
Unnati : wese aaj tum itne late kyu ho gaye?
Manav : wo muje rickshaw nahi mil Rahi thi to thoda late ho gaya.
Unnati : ohh. Mumbai me na yeh takleef to bohat rehti hai. Wese me tumhe puchhna bhool gai thi ki tum rehte kaha ho?
Manav : Me malad me rehta hu.
Unnati : ohh me bhi wahi hi rehti hu yaar.
Manav : ohh wow.
Unnati : Malad me kaha rehte ho?
Manav : Wo silver stone hights hai na waha pe hi.
Unnati : What!! And me usske pass jo Rivera hights hai na waha pe rehti hu. Abhi bahi hi waha pe shift hue hu.
Manav : Tab to hum dono pass pass hi huae.
Unnati : Han yaar. Pehle bataya hota to tune. Me tuje Aaj raste se pick kar leti. Par koi na kal aajana mere saath.
Manav : Are nahi yaar tumhe kyu pareshan karna me aajaunga apne hisaab se.
Unnati : Are issme pareshani kesi han?Tu ab se mera dost hai to itna to banta hai. Ab mana mat kar itne pyaar se tuje bol rahi hu warna me kisi ko itne pyaar se nahi bolti.
Manav : Achha ok.
Unnati : Han to kal tu apne flat ke niche khade rehna me waha aajaungi tuje lene.
Manav : Han thik hai.
The next day......
Unnati Manav ke flat ke paas aati hai. Manav neeche usska hi intezar kiye huae khada tha.
Unnati : Hello.
Manav : Hi. How are you?
Unnati : I am fine. Chal aaja jaldi.
Manav Unnati ki car me beth jaata hai.
Dono college pohachte hai.
Wo teeno log waha campus me hi khade hote hai.
Unnati : Hello everyone.
Arsh : Kya baat hai Aaj dono saath me aaye.
Unnati : Han wo Manav ka ghar mere pass me hi hai to mene kal uss se kaha tha ki mere saath aajana kal se.
Arsh : Oh han tu bhi to Malad me rehti hai. Me to bhool hi Gaya tha.
Aashna : Tu hai hi bhulakkad.
Arsh : Chup.
Sanket : Achha Unnati sun ek baat batani thi.
Unnati : Han bol.
Sanket: Wo humare college me jo function hai na to ussme dance me mene tera naam bhi likhva diya hai. To tuje chalega na?
Unnati : Are issme puchhneki kya baat hai. Dance to zindagi hai meri.
Sanket : Muje pata tha iss liye hi mene likhvaya hai. Han to chal ab waha pe Hume sir ne bulaya hai.
Unnati : Abhi?
Sanket : Han abhi.
Unnati : To class ka kya hoga?
Sanket : Are aaj no class.
Unnati : Achha thik hai.
Sorry Manav aaj tuje akela hi rehna padega.Manav : Are it's ok. Koi na.
Sanket : Are Manav tu bhi chalna. Wahape aake bethna.
Manav : But class hai na and me waha pe aake kya karunga.
Sanket : Are class ek din bunk maarde. And aap sab bhi chalo na.
Arsh : Me to chal raha hu baakiyo ka nahi pata.
Aashna : Han to me bhi aa rahi hu.
Arsh : Deenu tu bhi aa raha hai na?
Manav : Are lekin class........
Arsh : Are class ko maar goli. Chal ab humare saath.
Unnati : Yaar Manav chana please.
Manav : Achha thik hai chalo.
Sabhi log college ke Dance room me jaate hai.
______________________________________
YOU ARE READING
Never wanna lose you
FanfictionThis is the story of two people who loves eachother so much but because of their career and other things, they can't adjust time for eachother and that's why they are always fighting with eachother. so they decided that they should separate now and...