Samajh Nahi Aata Itna Sab Kuch Kaise Kahu Bohot Saari Baatein Karni Hai Tumse Mujhe Nahi Pata Yeh Himmat Kab Juta Paunga Mein Par Ek Din Zaroor Kahunga Tumse
Main Bataunga, Tum Pheli Nazar Mein Toh Nahi Lekin Dheere Dheere Itni Pasand Aa Gayi Ki Jitni Bhi Mohabbat Thi Mujh Mein Who Bina Soche Samjhe Saari Tum Pe Hi Luta Di
Mujhe Acchi Lagti Ho Tum Kyunki Baatein Hi Itni Acchi Karti Ho Mere Khayaal Se Hatti Bhi Nahin Pata Nahi Aisa Kya Jaadoo Kar Deti Ho
Ek Din Jab Pucha Tha Tumne Ki Yeh Kavitaayein Main Kiske Liye Likhta Hoon Uss Din Sach Mein Main Dil Se Tumhara Naam Lena Chahta Tha Par Pata Nahi Naam Lena Chahta Tha Par Pata Nahi Koi Cheez Thi Jisne Rok Diya Mujhe Kehne Se Unn Baaton Ko Shayad Main Tab Aur Gehraayi Dena Chahta Tha
Tumse Pyar Paane Ki Ummeed Kabhi Ki Nahi Maine Bas Baatein Rozz Hoti Rahe Utna Hi Kaafi Hai
Inn Choti Choti Khushiyan Mein Hi Bohot Khush Ho Jaata Hoon Mein Hi Bohot Khush Ho Jaata Hoon Mein Tumhara Waqt Mil Jaaye Phir Kya Hi Maangna Baaki Hai
Tumhe Jo Baat Pasand Nahi Uske Zikra Se Main Door Hi Rehta Oon Main Thoda Sa Alag Hoon Tumhara Bina Tumhare Saath Kuch Alag Rehta Hoon
TO BE CONTINUED...
YOU ARE READING
Andekhi Jhalak
Poetry"Andekhi Jhalak" is a collection of heartfelt love poems that capture the beauty and complexity of romance. Each poem is a simple, honest expression of love, perfect for anyone who enjoys heartfelt and relatable poetry. Dive in and let the words spe...